SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"khabar kuchh nahin mujh ko miraa anjaam kyaa hogaa vahi hogaa jo haathon ki lakiron mein likhaa hogaa tamaashaa jo dikhaanaa thaa vahi sab ko dikhaa aae nahin is se gharaz koi kisi ne kyaa kahaa hogaa ik aisaa vaqt bhi aaegaa is daur-e-ta'alluq mein hamaare aur us ke darmiyaan ik faasla hogaa abhi se dhuup ki shiddat se khaaif hain jahaan vaale savaa-neze pe jis din aa gayaa suraj to kyaa hogaa suno ab harf-giri kaa nahin hai faaeda kuchh bhi ki jo tum ne kahaa hogaa vahi ham ne sunaa hogaa"
Abdul Mannan SamadiAbdul Mannan Samadi
Quote
"kaise ruk saktaa thaa jo kaar-e-ziyaan hone ko thaa yaani sab kuchh tai-shuda thaa jo yahaan hone ko thaa kuchh badan ke the taqaaze kuchh sharaarat dil ki thi aaj lekin ishq apnaa jaavedaan hone ko thaa haan vahi jo shakhs mujh se bughz rakhtaa hai bahut raat meri zaat par vo meherbaan hone ko thaa main ne hi alfaaz mein us ko muqayyad kar liyaa varna vo lamha to kal hi raaegaan hone ko thaa main ne kal ishkaal saare khatm us ke kar diye varna meri zaat se vo bad-gumaan hone ko thaa"
Abdul Mannan SamadiAbdul Mannan Samadi
Quote
"kisi ke chhuT jaane kaa use kyon gham nahin hotaa tiraa dil hai ki patthar hai kabhi jo nam nahin hotaa parinde gungunaate hain tumhaare shahr mein lekin hamaare shahr kaa aisaa kabhi mausam nahin hotaa ba-zaahir jugnuon ki raushni se ghar to raushan hai magar phir bhi mire ghar kaa andheraa kam nahin hotaa khudaa se gar tujhe maangaa nahin hotaa du'aaon mein tujhe khone kaa phir ham ko zaraa bhi gham nahin hotaa nigaahon ne hamaari ek manzar vo bhi dekhaa hai jahaan apnon ke marne kaa koi maatam nahin hotaa"
Abdul Mannan SamadiAbdul Mannan Samadi
Quote
"haqiqat mein mare hain kuchh kahaani mein mare hain magar sab khvaab ulfat ke javaani mein mare hain parinde sab nahin zindaan mein maare gae hain qafas mein kuchh to kuchh naql-e-makaani mein mare hain mili hai maut kuchh khaamosh rahne ke sabab bhi magar kuchh log to shoala-bayaani mein mare hain jahaan kuchh log meri bad-zabaani se pareshaan vahin kuchh log meri be-zabaani mein mare hain hamaari tum faqat aatish-bayaani se khafaa ho magar ham to tumhaari bad-gumaani mein mare hain"
Abdul Mannan SamadiAbdul Mannan Samadi
Quote
"shanaasaa jis ko samjhe the vahi naa-aashnaa niklaa vo kaisaa yaar thaa jo yaar ban kar bevafaa niklaa bhaTaktaa chhoD aae the jise ham duur sahraa mein hazaaron qaafilon ke darmiyaan vo qaafila niklaa ulaT kar jab bhi dekhi hai kitaab-e-zindagi ham ne to har ik lafz ke pichhe koi ik haadisa niklaa bahut kuchh naaz thaa ham ko magar ab kyaa kahein yaaro hujum-e-dostaan mein vo akelaa bevafaa niklaa ki apne dukh-bhare naghme tumhein kaise sunaa paate hamaare haath jo bhi saaz aaya be-sadaa niklaa"
Abdul Mannan SamadiAbdul Mannan Samadi
Quote
"is qadar mashghul the ik ru-e-taabaan ki taraf ham ne dekhaa hi nahin is chaak-e-daamaan ki taraf jab muqaddar mein andheraa likh diyaa tu ne khudaa kaun dekhegaa bataa sham-e-farozaan ki taraf ham bhi teri hi mohabbat mein yahaan tak aae hain aur teri sab tavajjoh ek mehmaan ki taraf phir huaa yuun ham ne us se pher li nazrein tamaam kab talak ham dekhte us aafat-e-jaan ki taraf un ki har ik baat kaa aisaa asar mujh par huaa ruk gaiin nazrein miri shahr-e-nigaaraan ki taraf"
Abdul Mannan SamadiAbdul Mannan Samadi
Quote
"hukumat ko giraa kar hukmraani karne vaale the yahaan kuchh log sab kuchh zaafraani karne vaale the ki baarish ne yaqinan rok di hijrat parindon ki vagarna sab ke sab naql-e-makaani karne vaale the ishaaron ki zabaan shaayad samajh un ko nahin aati ki jin se guftugu ham be-zabaani karne vaale the vahi rusvaai kaa meri sabab aakhir bane maulaa vahi jo log kal shaamein suhaani karne vaale the vo sab chehre kisi ke ghar ki zinat ban gae aakhir mire ashaar ki jo tarjumaani karne vaale the"
Abdul Mannan SamadiAbdul Mannan Samadi
Quote
"siyaasi masnadon ki paasbaani kyon nahin karte ki sachche log aakhir hukmraani kyon nahin karte isi ik baat ne mujh ko pareshaan kar ke rakkhaa hai mire ashaar meri tarjumaani kyon nahin karte tumhaari shaan mein vo lab-kushaai kartaa rahtaa hai palaT kar tum kabhi aatish-bayaani kyon nahin karte bashar ke hi muqaddar mein likhin kyaa hijratein saari farishto tum kabhi naql-e-makaani kyon nahin karte agar kuchh bhi kaho un se nikal aati hain talvaarein khudaa vo guftugu aakhir zabaani kyon nahin karte"
Abdul Mannan SamadiAbdul Mannan Samadi
Quote
"abhi to saath rahtaa hai miri parchhaaiyaan ban kar bichhaDne par rahegaa vo miri tanhaaiyaan ban kar badan par is-qadar baarish mire hoti hai boson ki ki jab baanhein tiri mujh par khuli hon Daaliyaan ban kar yaqin hai jis taraf se teri aamad kaa mujhe jaanaan vahin aankhein bichhaa rakkhi hain ghar ki khiDkiyaan ban kar tiri yaadon se vaabasta miraa kamra miraa bistar vahi yaadein ubharti hain miri angDaaiyaan ban kar ba-zaahir to kabhi nazdik vo aataa nahin mere magar vo saath rahtaa hai miri tanhaaiyaan ban kar abhi to ishq baaqi hai adhuri hai mohabbat bhi khanaknaa hai abhi haathon mein teri chuDiyaan ban kar mohazzab jin ko samjhaa thaa saliqa jin mein jaanaa thaa vahi alfaaz nikle hain zabaan se gaaliyaan ban kar bahut khaamosh rahtaa hai kabhi dil kuchh nahin kahtaa akele mein dhaDaktaa hai magar sargoshiyaan ban kar ki aatish mein mohabbat ki badan us kaa jale kaise gale lagtaa hai maachis ki vo giili tiliyaan ban kar mohabbat se kabhi tum ne hamein jo phuul bheje the kitaabon mein vo hain mahfuz bikhri pattiyaan ban kar guzarte vaqt ne un kaa badan bosida kar Daalaa vahi jo laDkiyaan uDti thiin yaaro titliyaan ban kar jinhein sukhaa samajh kar tum ne jin par khaak Daali thi unhi patton ki rut gunji hai ghar mein taaliyaan ban kar vahi sab parchiyaan jin par tumhaaraa naam likkhaa thaa vahi aankhon mein chubhti hain hamaare kirchiyaan ban kar dahak uTThaa badan us kaa hamaare shoala-e-lab se jalaa lekin badan apnaa bhi aatish-baaziyaan ban kar masaail zindagi mein jo miri darpesh the ab tak vo kal shab hal hue lekin miri rusvaaiyaan ban kar"
Abdul Mannan SamadiAbdul Mannan Samadi
Quote
"badalte mausamon mein aab-o-daana bhi nahin hogaa ki peDon par parindon kaa Thikaana bhi nahin hogaa bahaa le jaaeingi maujein kitaab-e-zindagaani ko sunaane ke liye koi fasaana bhi nahin hogaa navaah-e-jaan mein ik din tum utar kar dekh bhi lenaa tumhaare paas yaadon kaa khazaana bhi nahin hogaa tasavvur ki hadon se duur jaa kar kaise dekheinge agar tum se taalluq ghaaebaana bhi nahin hogaa khulaa dar chhoD aae the ki hijrat kaa taqaaza thaa vahaan kyaa lauT kar jaaein Thikaana bhi nahin hogaa"
Abdul Mannan SamadiAbdul Mannan Samadi
Quote
"mere ghar se us ki yaadon ke makin jaate nahin chhoD kar jaise shajar apni zamin jaate nahin tere dar se hi milegaa jo bhi miltaa hai hamein ham tire dar ke alaava ab kahin jaate nahin tujh ko dekhe ik zamaana ho gayaa par kyaa kahin aaj bhi dil se tire naqsh-e-hasin jaate nahin gham diye hain zindagi ne gham se maayusi nahin chhoD kar ab zindagi ko ham kahin jaate nahin uDte phirte hain khalaaon mein sahaabon ki tarah ye vo naale hain ki jo zer-e-zamin jaate nahin"
Abdul Mannan SamadiAbdul Mannan Samadi