Quote
"hamaare dast-e-sakhaa kaasa-e-gadaai hain jo rahnumaa the vo muhtaaj-e-rahnumaai hain jo mil bhi jaae to kaise uThaaeinge talvaar ye bad-nasib to TuuTi hui kalaai hain harif jo bhi hain vo sab ke sab muqaabil hain jo vaar karte hain pichhe se apne bhaai hain bas ek naam ki tasbih roz-o-shab paDhnaa mujhe ye lagtaa hai ye dhaDkanein paraai hain ye aap hi ki navaazish hai mehrbaani hai hamaari palkon pe jo shamein jagmagaai hain main muntazir thaa bahaaron ke lauTne kaa magar mire dukhon ki rutein phir se lauT aai hain kahin bichhaDne ki saaat qarib hi to nahin 'niyaaz' aankhein achaanak jo DabDabaai hain"







