SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAbdullateef Shauq(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"mat puchh ki ulfat mein jafaa kaun karegaa ye kaam bhi apnon ke sivaa kaun karegaa bakhshaa na gayaa tujh ko agar soz-e-mohabbat aaina-e-dil tujh pe jilaa kaun karegaa mahkaa na agar gul to phir ai bulbul-e-betaab gulshan mein tujhe naghma-saraa kaun karegaa taa'mir to ho sakte hain kuchh daar-o-rasan aur hasti ko mohabbat mein fanaa kaun karegaa sar le ke hatheli pe na ghumeinge kabhi ham par shart hai takmil-e-vafaa kaun karegaa us moD pe ham sab hain jahaan khud kaa nahin hosh khoi hui manzil kaa pata kaun karegaa ham hi na hue 'shauq' to khuun de ke jigar kaa phir tez tiraa rang-e-hinaa kaun karegaa"
Abdullateef ShauqAbdullateef Shauq
Quote
"chaDh ke daar-o-rasan par ye kyaa de gayaa ek divaana dars-e-vafaa de gayaa us ko qaatil kahun yaa masihaa kahun zahr de kar jo mujh ko davaa de gayaa raah-e-ulfat mein jab gul khilaanaa paDaa kaam talvon kaa har aabla de gayaa ham ne maangaa thaa ulfat-bharaa ek dil koi TuuTaa huaa aaina de gayaa aansuon ke samandar nahaanaa paDaa koi hansne ki aisi sazaa de gayaa naz' ke vaqt ki de ke bechainiyaan mujh ko jiine ki zaalim du'aa de gayaa 'shauq' chhu luun to miTTi bhi sonaa bane 'ishq vo nuskha-e-kimiyaa de gayaa"
Abdullateef ShauqAbdullateef Shauq
Quote
"laghzish-e-saaqi-e-mai-khaana khudaa khair kare phir na TuuTe koi paimaana khudaa khair kare har ghaDi jalva-e-jaanaana khudaa khair kare teraa dil hai ki sanam-khaana khudaa khair kare log kar Daalein na khud apne jigar ke TukDe be-naqaab un kaa chale aanaa khudaa khair kare dil ki baat un se abhi kah to gae ho lekin koi ban jaae na afsaana khudaa khair kare sham' bechain hai badnaam na ho jaaun kahin par jalaa baiThaa hai parvaana khudaa khair kare kaun guzregaa tire daar-o-rasan se hans kar gham hai jaane kahaan divaana khudaa khair kare paanv uThte hi nahin 'shauq' jabin hai betaab saamne hai dar-e-jaanaana khudaa khair kare"
Abdullateef ShauqAbdullateef Shauq
Quote
"but yahaan milte nahin hain yaa khudaa miltaa nahin azm mustahkam to ho duniyaa mein kyaa miltaa nahin ham-safiraan-e-junun yuun ham se aage baDh gae qaafila kyaa hai ghubaar-e-qaafila miltaa nahin apni surat dekhnaa ho apne dil mein dekhiye dil saa duniyaa mein koi bhi aaina miltaa nahin de diyaa hai aap ko dil ab hifaazat kijiye har khazaane mein ye laal-e-be-bahaa miltaa nahin DhunDhtaa phirtaa hai mujh ko kyuun fareb-e-rang-o-bu main vahaan huun khud jahaan apnaa pata miltaa nahin"
Abdullateef ShauqAbdullateef Shauq
Quote
"hain us ke saamne ai 'shauq' kis shumaar mein phuul khile hon jis ke kaf-e-paa se regzaar mein phuul main ek khaar huun lekin nasib dekho to liye hain chaaron taraf se mujhe hisaar mein phuul milaa bhi kaam to aaraaish-e-chaman kaa milaa tamaam umr rahe mere kaarobaar mein phuul kabhi jo main ne manaayaa junun mein jashn-e-bahaar piro liye hain garebaan ke taar taar mein phuul mire lahu se hai rang-e-bahaar maqtal mein luTaae jaate hain jashn-e-salib-o-daar mein phuul chaman ko de ke lahu 'shauq' main ne kyaa paayaa na ikhtiyaar mein kaanTe na ikhtiyaar mein phuul"
Abdullateef ShauqAbdullateef Shauq
Quote
"kaaba hai kabhi to kabhi but-khaana banaa hai ye dil bhi ajab chiiz hai kyaa kyaa na banaa hai jis roz se dil aap kaa divaana banaa hai ek lafz bhi niklaa hai to afsaana banaa hai ye aaj kaa din hashr kaa din to nahin yaarab apnaa thaa jo kal tak vahi begaana banaa hai tinkon kaa to bas naam hai sachchaai yahi hai ik jehd-e-musalsal hai jo kaashaana banaa hai takhrib ke parde mein hi taamir hai saaqi shisha koi pighlaa hai to paimaana banaa hai takmil-e-vafaa hosh mein mumkin hi nahin thaa divaana samajh buujh ke divaana banaa hai duniyaa mein koi mol na thaa 'shauq' kaa lekin qismat hai jo sang-e-dar-e-jaanaana banaa hai"
Abdullateef ShauqAbdullateef Shauq
Quote
"ruThe hain ham se dost hamaare kahaan kahaan TuuTe hain zindagi ke sahaare kahaan kahaan duniyaa ki baazgasht mein apni hi hai sadaa aise mein koi tujh ko pukaare kahaan kahaan kaabe mein thaa sakun na kalisaa mein chain thaa tujh se bichhaD ke din ye guzaare kahaan kahaan tu thaa rag-e-gulu se ziyaada qarib-tar DhunDh aae tujh ko diid ke maare kahaan kahaan taare kahin hain phuul kahin hain guhar kahin bikhre hue hain ashk hamaare kahaan kahaan shama bhi muztarib hai patangaa bhi muztarib pahunche hain soz-e-gham ke sharaare kahaan kahaan fursat mile kabhi to shab-e-gham se ponchhnaa TuuTe hain chashm-e-'shauq' se taare kahaan kahaan"
Abdullateef ShauqAbdullateef Shauq
Quote
"dil diyaa vahshat liyaa aur khud ko rusvaa kar liyaa mukhtasar si zindagi mein main ne kyaa kyaa kar liyaa dil ki khaatir kufr bhi us ne gavaaraa kar liyaa ek patthar khud taraashaa khud hi sajda kar liyaa aap ki chaahat kaa milnaa jaan lungaa muft hai jaan de kar bhi agar main ne ye saudaa kar liyaa baal-o-par apne salaamat Dar andheron kaa nahin chaar tinke jab bhi phunke hain ujaalaa kar liyaa dard bakhshaa chain chhinaa dil ke TukDe kar diye haae kis zaalim pe main ne bhi bharosa kar liyaa 'shauq' jab tak saans hai tab tak hai ummid-e-hayaat kyuun abhi se aap ne dil apnaa chhoTaa kar liyaa"
Abdullateef ShauqAbdullateef Shauq