Quote
"ukhaDti saans ki antim pukaar ho jaaun zamin pe khuun na gire ungliyaan bhigo jaaun havaaein DhunD rahi hain kise chahaar taraf main kis dishaa mein chalun kis dayaar ko jaaun ye lamha lamha manaazir ki titliyaan uD kar chali na jaaein kahin yuun ki main bhi kho jaaun akele rah ke bhi qimat na lag saki us ki to ab ye buund samandar mein hi Dubo jaaun tu phuul hai na guhar kis tarah sajaaun tujhe har ek saans mein dhaDkan tiri piro jaaun bulaa rahi hai mujhe meri khaak apni taraf main apne aap se niklun tamaam ho jaaun bichhi hui hai zamin mere vaaste 'nashtar' yahin kahin isi miTTi kaa ang ho jaaun"







