Quote
"kisi bhi chaal mein nahin aaya main tire jaal mein nahin aaya bas vahi sab se khubsurat thaa misra jo taal mein nahin aaya tu muqaddar mein aa gayaa kaise tu kabhi faal mein nahin aaya mujh ko dil mein basaaiye ki main luuT ke maal mein nahin aaya us ko inaam se navaazaa gayaa jo ki pinDaal mein nahin aaya jis taghayyur ki thi umiid bahut vo nae saal mein nahin aaya ye bhi maalik kaa hai karam 'aabid' ki main janjaal mein nahin aaya"







