Quote
"musalsal aankh mein yuun aanaa jaanaa aansuon kaa hai miraa chehra hai aur mehmaan-khaana aansuon kaa hai bahut mushkil bayaan hai chashm-o-dil ke khuun hone kaa bahut aasaan palkon se giraanaa aansuon kaa hai paDe rahte hain us ki diid ke kuchh aks konon mein vagarna aankh mein saaraa Thikaana aansuon kaa hai faqat tajdid-e-nau ki baat hai har ahd mein varna tumhaare hijr se rishta puraanaa aansuon kaa hai bahut aasaan sahi daaman pe girnaa chand qatron kaa bahut mushkil sar-e-mizhgaan uThaanaa aansuon kaa hai khayaal-o-khvaab ko 'afroz' koi aa ke samjhaa de bulaanaa us ki yaadon kaa bulaanaa aansuon kaa hai"







