SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAijaz Asad(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"yaar tujh ko miraa khayaal to hai ishq mein itni dekh-bhaal to hai gham nahin gar khushi nahin haasil furqat-e-dost kaa malaal to hai tujh pe guzri hai kyaa khabar hai mujhe tere jaisaa hi meraa haal to hai meraa haami jahaan nahin to kyaa shukr hai rabb-e-zul-jalaal to hai hai agar zoam-e-bartari tum ko ye bhi ik surat-e-zavaal to hai mere pahlu mein tu nahin na sahi mere shaane pe teri shaal to hai zindagi mein yahi tamannaa thi dam-e-aakhir tiraa visaal to hai us ki tamsil hi nahin hai 'asad' meraa mahbub be-misaal to hai"
Aijaz AsadAijaz Asad
Quote
"kisi ghar kaa bahut nuqsaan hotaa hai to daulat-mand kaa saamaan hotaa hai darun-e-dil agar imaan hotaa hai to phir jiinaa baDaa aasaan hotaa hai hatheli par jo sar rakkhe laDaai mein usi ki jiit kaa imkaan hotaa hai badan kaa bojh ham Dhote hi rahte hain marein to ghair kaa ehsaan hotaa hai pate ki baat kah saktaa hai vo paagal koi hushiyaar bhi anjaan hotaa hai gharibi haath par rakhti hai khaane ko amiron kaa hi dastar-khvaan hotaa hai 'asad' aa jaa ki ham ko chain aa jaae ye ghar tere binaa sunsaan hotaa hai"
Aijaz AsadAijaz Asad
Quote
"gham-e-vafaa ko pas-e-pusht Daalnaa hogaa khaTak rahaa hai jo kaanTaa nikaalnaa hogaa faqir-e-ishq huun kuchh de ke Taalnaa hogaa bas ik nigaah kaa sikka uchhaalnaa hogaa savaal dosto azmat kaa hai saron kaa nahin hamein vaqaar kaa parcham sambhaalnaa hogaa ghazab ki pyaas lagi saamnaa saraab kaa hai so reg-e-sahraa se paani nikaalnaa hogaa use bataao ki faaqa hai aaj apnaa bhi magar faqir ko izzat se Taalnaa hogaa ye intizaar salaamat rahe vo aaegaa magar hai shart ki dil ko sambhaalnaa hogaa tumhaare dil ki zamin jal chuki magar 'aijaaz' isi se nakhl-e-mohabbat nikaalnaa hogaa"
Aijaz AsadAijaz Asad
Quote
"duniyaa mein kise aag lagaani nahin aati afsos magar sab ko bujhaani nahin aati taa-hadd-e-nazar dasht hai kyuun baiThe hue ho lagtaa hai tumhein khaak uDaani nahin aati vo shokh hai baaton mein lagaa rahtaa hai aksar suntaa huun mujhe baat banaani nahin aati bistar ki zarurat hi nahin niind ko pyaare kyaa jism ki chaadar hi bichhaani nahin aati bujhti hi nahin aag lagi hai jo jigar mein lekin mire ashkon mein ravaani nahin aati khushbu se mahakti hi nahin raat hamaari khvaabon mein agar raat ki raani nahin aati naadaan miri mez ke shishe pe gire hain ashkon ko bhi tasvir banaani nahin aati main khud bhi khilaunon kaa taraf-daar rahungaa jab tak mire bachchon pe javaani nahin aati main sirf haqiqat hi bayaan kartaa huun 'aijaaz' afsaana nahin aataa kahaani nahin aati"
Aijaz AsadAijaz Asad
Quote
"mire zehn-o-dil par jo chhaayaa huaa hai mujhe us ne yaksar bhulaayaa huaa hai har ik naqsh-e-duniyaa miTaayaa huaa hai use main ne dil mein basaayaa huaa hai bahut duur mahsus hotaa hai mujh ko gale jis ko main ne lagaayaa huaa hai mujhe khauf hai silvaTein paD na jaaein badan us ne apnaa bichhaayaa huaa hai tumhein DhunDne se nahin milne vaalaa nishaan apnaa main ne miTaayaa huaa hai bhaTakte hain sahraa mein kitne musaafir har ik naqsh-e-paa kaa safaayaa huaa hai yahi jaa-nashin hai miri mumlikat kaa baghal mein jo bachcha sulaayaa huaa hai"
Aijaz AsadAijaz Asad
Quote
"chaar su intishaar hai kyaa hai ye khizaan hai bahaar hai kyaa hai sab ko mashkuk tum samajhte ho khud pe bhi e'tibaar hai kyaa hai savaa neze pe chaahiye suraj jism mein barf-zaar he kyaa hai mujh ko manzil nazar nahin aati duur tak rahguzaar hai kyaa hai koi aahaT talak nahin hoti mere andar mazaar hai kyaa hai ek pal bhi nahin miraa apnaa zindagaani udhaar hai kyaa hai mere hamdam zaraa bataa mujh ko ye javaani khumaar hai kyaa hai hai jo mujh se 'asad' gurezaan saa maslahat kaa shikaar hai kyaa hai"
Aijaz AsadAijaz Asad
Quote
"miri tum se shanaasaai bahut hai magar ehsaas-e-tanhaai bahut hai bikhar jaaun to khud hi hai simaTnaa ki ye duniyaa tamaashaai bahut hai mujhe gharqaab ho jaane kaa hai Dar saraab-e-dasht dariyaai bahut hai chalo ab sach bhi kah kar dekhte hain yahaan shor-e-paziraai bahut hai nahin vusat tire dariyaa-e-dil mein magar aankhon mein gahraai bahut hai yahaan se kuuch karnaa hi paDegaa tire kuche mein rusvaai bahut hai 'asad' mushkil se ghabraataa nahin huun dimaagh-o-dil mein yaktaai bahut hai"
Aijaz AsadAijaz Asad
Quote
"divaar-e-takalluf hai to mismaar karo naa gar us se mohabbat hai to izhaar karo naa mumkin hai tumhaare liye ho jaaun main aasaan tum khud ko mire vaaste dushvaar karo naa gar yaad karoge to chalaa aaungaa ik din tum dil ki guzargaah ko hamvaar karo naa baahar ke mahaazon ki tumhein fath mubaarak ab nafs ke shaitaan ko giraftaar karo naa kahnaa hai agar kuchh to pas-o-pesh karo mat khul ke kabhi jazbaat kaa izhaar karo naa har rishta-e-jaan toD ke aayaa huun yahaan tak tum bhi miri khaatir koi isaar karo naa 'aijaaz' tumhaare liye saahil pe khaDaa huun dariyaa-e-vafaa mere liye paar karo naa"
Aijaz AsadAijaz Asad
Quote
"ishq mein aisi paaedaari hai teri laghzish bhi ham ko pyaari hai us kaa munh moDnaa qayaamat thaa dil taDaptaa hai zakhm kaari hai teraa kirdaar to hai maamuli aur dastaar kitni bhaari hai aaj din bhar udaas udaas rahaa tum ne kaise nazar utaari hai zindagi khel hai Daraame kaa har khilaaDi pe zimmedaari hai koi apnaa nahin lagaa mujh ko aashnaa sab hain sab se yaari hai sar-bulandi ataa karegi tumhein ye jo fitrat mein inkisaari hai is kaa jannat se vaasta hi nahin husn-e-akhlaaq se vo aari hai khiDkiyaan khol do zaraa 'aijaaz' us ne shishe pe chonch maari hai"
Aijaz AsadAijaz Asad