SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"hai muamma miri mohabbat bhi shukr ke saath hai shikaayat bhi dil ko pyaari hai jis ki nafrat bhi kyaa ho gar vo kare mohabbat bhi dushman-e-e'tibaar hoti hai baaz haalaat mein haqiqat bhi isi maamure mein banaa li hai saada-lauhon ne apni jannat bhi is mohabbat pe naaz kyaa kiije ho mili jis mein kuchh muravvat bhi aag dil ki kisi tarah na bujhi pi ke dekhi mai-e-mohabbat bhi tere kuche mein jaaein kis munh se kho chuke ham tiri amaanat bhi ho basaarat se kyaa umiid 'razaa' dhoke deti hai jab basirat bhi"
Ameer Raza MazhariAmeer Raza Mazhari
Quote
"sunein bahaar ki rangin-bayaaniyaan kyaa kyaa kahin tabassum-e-gul ne kahaaniyaan kyaa kyaa dayaa javaab na kuchh muskuraa ke rah gae phuul zabaan-e-khaar ne kiin bad-zabaaniyaan kyaa kyaa baDhaa na naaqa-e-lailaa baghair naala-e-qais hunar dikhaati rahin saarbaaniyaan kyaa kyaa mizaaj-e-sang na pighlaa ki thaa na soz-e-kalim asaa paTakti rahin qahar-maaniyaan kyaa kyaa zabaan-e-aql pe kuchh hai zabaan-e-ishq pe kuchh tire sukut se niklin kahaaniyaan kyaa kyaa na detaa husn agar dil ko ishq kaa shoala khud apni aag mein jaltin javaaniyaan kyaa kyaa mizaaj-e-ishq ne pakDaa na e'tibaar kaa rang sharik-e-vahm rahin khush-gumaaniyaan kyaa kyaa jaras bhi chup rahaa TuuTi na kaarvaan ki bhi niind sukut-e-dasht ne kiin nauha-khvaaniyaan kyaa kyaa pukaarti hai 'razaa' gard-e-kaarvaan lekin bani hain baar-e-safar sargiraaniyaan kyaa kyaa"
Ameer Raza MazhariAmeer Raza Mazhari
Quote
"idhar se bhi to havaa-e-bahaar guzri hai kuchh ek baar nahin baar baar guzri hai gilaa nahin ye faqat arz-e-haal hai ai dost tire baghair bahut be-qaraar guzri hai vahi to meri hayaat-e-safar ki punji hai vo zindagi jo sar-e-rahguzaar guzri hai qalam liye hue sochaa kiye ki kyaa likhein kuchh is tarah bhi shab-e-intizaar guzri hai bhulaa sakeinge na us ko qafas mein ai sayyaad vo do ghaDi jo sar-e-shaakh-saar guzri hai kabhi kabhi to miri bar-mahal khamoshi bhi unhein fughaan ki tarah naagavaar guzri hai huiin jo dil se mire bad-gumaaniyaan un ko to shaairi bhi miri naagavaar guzri hai khizaan mein bhi na kisi ki khudaa kare guzre vo jis tarah miri fasl-e-bahaar guzri hai ubhar gai hai kahin par 'razaa' jo talkhi-e-fikr mire mizaaj-e-ghazal par vo baar guzri hai"
Ameer Raza MazhariAmeer Raza Mazhari
Quote
"rahguzar-baashon ko saae ki bhi kyaa haajat nahin puchhte hain aalam-e-nau tere meamaaron se ham kyaa khabar thi aa ke manzil par vo hogaa chaak chaak jo bachaa laae the daaman raah ke khaaron se ham jaise saaya bhi gunaahon kaa nahin ham par paDaa kis qadar daaman-kashida hain gunahgaaron se ham dam na leinge jab talak ye saamne se haT na jaaein Takkarein lete raheinge unchi divaaron se ham aap gham-khvaari ki zahmat mat gavaaraa kijiye iltijaa karte hain ab ye apne gham-khvaaron se ham apni naadaari se khud apni nazar mein hain subuk is qadar marub hain daulat ke ambaaron se ham ho rahe hain hausle puure mashiyyat ke 'razaa' le rahe hain baaj mehr-o-maah se taaron se ham"
Ameer Raza MazhariAmeer Raza Mazhari
Quote
"mire sajda-e-haa-e-niyaaz ko tire aastaan ki talaash hai kisi fard ki ye talab nahin ye to ik jahaan ki talaash hai nai sarzamin ki hai justuju nae aasmaan ki talaash hai jo makaan bhi Thiik na rakh sake unhein laa-makaan ki talaash hai mire paa-e-shauq-e-safar mein hain abhi raah-o-rasm ki bandishein mujhe naqsh-e-paa ki hai justuju mujhe kaarvaan ki talaash hai jo khizaan-nasib azal ke hain unhein fasl-e-gul ki hai aarzu vo jo thak chuke hain bahaar se unhein ab khizaan ki talaash hai ye miraa kamaal-e-musavvari ye miraa shuur-e-sanam-gari abhi zauq husn-e-kasif hai ise jism-o-jaan ki talaash hai miri zindagi kaa fasaana kyaa jo sinaaon shauq se aap ko kisi mehrbaan ki talaash thi kisi mehrbaan ki talaash hai jo qafas se chhuT ke aae ham kisi shaakh ne bhi jagah na di hain chaman mein aa ke bhi be-navaa hamein aashiyaan ki talaash hai abhi qarz un ki nazar pe hai tire jalva-haa-e-majaaz kaa jo haqiqaton se guzar chuke unhein daastaan ki talaash hai tire dushmanon ki safon pe ye kisi daur mein na chamak saki tiri tegh-e-naaz ki aaj tak sar-e-dostaan ki talaash hai khas-o-khaar ko bhi jo diye 'razaa' tar-o-taaza rahne kaa hausla usi baaghbaan ki hai aarzu usi gulsitaan ki talaash hai"
Ameer Raza MazhariAmeer Raza Mazhari
Quote
"agarche sho'la ayaan nahin hai agarche lab par dhuaan nahin hai nihaan jise ham samajh rahe hain vo aag dil ki nihaan nahin hai ye raah vo hai ki har musaafir ke tajrabe jis mein mukhtalif hain vo kaun insaan hai zindagi jis ki ik nai daastaan nahin hai kidhar ko jaaein kise pukaarein muDein ki aage hi baDhte jaaein ghubaar kaa bhi tire sahaaraa hamein to ai kaarvaan nahin hai zaraa ye sahraa ko jaane vaalon se koi puchhe kahaan chale tum kahin hai koi zamin aisi jahaan pe ye aasmaan nahin hai vo mehrbaan ho to vasvasa ye ki mehrbaani ye dafatan kyon vo sargiraan hai to hai ye hasrat ki haae vo mehrbaan nahin hai ye dil ki paiham si be-qaraari nazar ki harkaat-e-iztiraari aur us pe israar-e-parda-daari ki jaise vo raaz-daan nahin hai vahi hikaayat dil-o-nazar ki vahi kahaani hai chashm-e-tar ki 'razaa' ye meri ghazal-saraai nai koi daastaan nahin hai"
Ameer Raza MazhariAmeer Raza Mazhari
Quote
"soz-e-dil sham-e-tapaan ho jaise aag chulhe mein nihaan ho jaise kaisi afsurda bahaar aai hai ab bhi gulshan mein khizaan ho jaise mujh pe mahfil mein tabassum ki nazar ba-tufail-e-digraan ho jaise aap ki chashm-e-inaayat kaa yaqin dil-fareb ek gumaan ho jaise yuun vo sunte hain kahaani meri ik hadis-e-digraan ho jaise chaunk uThe ham to qayaamat hogi zindagi khvaab-e-giraan ho jaise dil se ik aah to nikli thi magar sham-e-kushta kaa dhuaan ho jaise saamne un ke ye aalam hai 'razaa' ek aalam nigaraan ho jaise"
Ameer Raza MazhariAmeer Raza Mazhari
Quote
"kise khabar thi ki jiite ji bhi vo daur aayegaa zindagi kaa ki hogaa mahsus har nafas ye na koi meraa na main kisi kaa hudud-e-vahm-o-gumaan se guzraa makaan to kyaa laa-makaan se guzraa rukegaa aakhir kahaan pahunch kar ye kaarvaan zauq-e-aagahi kaa jo mere dil se thaa un ko karnaa na kar sakin aap ki nigaahein miri tabiat mein naqs jo hai qusur hai vo bhi aap hi kaa hai qaabil-e-rahm un ki haalat na kijiye aap un se nafrat dar-asl ehsaas-e-kamtari hai jinhein hai kuchh naaz bartari kaa sikhaane vaale to aae paiham har ik zamin par har ik zamaan mein magar ham aise hi bad-guhar the saliqa aayaa na zindagi kaa ye ham ne maanaa ki is jahaan mein khulus-e-jins-e-garaan hai lekin kabhi to yaaro khulus barto bharam to rah jaae dosti kaa jo husn-e-pur-kaar par fidaa hain unhein 'razaa' kaun ye bataae vo husn hai fitna-e-qayaamat lagaae ghaaza jo saadgi kaa"
Ameer Raza MazhariAmeer Raza Mazhari
Quote
"ghairon se bhi dhoke khaae hain apnon se bhi dhoke khaae hain tab jaa ke kahin is duniyaa ke andaaz samajh mein aae hain vo apni jafaa-e-paiham par dam bhar bhi agar sharmaae hain ehsaas-e-vafaadaari ko mire pahron pachhtaave aae hain ham mein na mohabbat ki garmi ham mein na sharaafat ki narmi insaan kahein kyon sab ham ko ham chalte phirte saae hain kuchh phuul gulon ke haar bane kuchh jins sar-e-baazaar bane in phulon ki qismat kyaa kahiye shaakhon hi pe jo murjhaae hain sahraa-e-khirad mein hairaan hain kal qaafila-haa-e-raahravaan munh moD liyaa hai suraj ne har samt andhere chhaae hain ehsaan ba-har-haalat ham par hai un ki badalti nazron kaa jiine ke sahaare ulfat mein kuchh khoe hain kuchh paae hain ummid ne phir karvaT li hai badle hain fazaa ke phir tevar ab dekhiye kyaa barsaate hain kuchh baadal ghir kar aae hain ham dost nahin dushman hi sahi bhaai na sahi beri hi sahi hamsaae kaa haq to do ham ko ham kuchh bhi na ho hamsaae hain vo qadr karein yaa Thukraa dein ye ahl-e-nazar ki marzi hai ambaar se khaar-o-khas ki 'razaa' kuchh moti chun kar laae hain"
Ameer Raza MazhariAmeer Raza Mazhari
Quote
"vo jo din hijr-e-yaar mein guzre kuchh taDap kuchh qaraar mein guzre vahi haasil the zindagaani ke chaar din jo bahaar mein guzre kyaa kiyaa tum se kaise kaise vahm dil-e-be-e'tibaar mein guzre kitni kaliyon ke kitne phulon ke qaafile nau-bahaar mein guzre zindagi ke liye mile the jo din maut ke intizaar mein guzre hasraton ke hujum mein tiri yaad jaise mahmil ghubaar mein guzre ham chaman mein rahe to aise rahe jaise din khaarzaar mein guzre gham-e-jaanaan se bach rahe the jo din vo gham-e-rozgaar mein guzre zindagi ki yahi tamannaa thi aap ki rahguzaar mein guzre jaan-nisaaron kaa jaaeza thaa vahaan ham bhi pichhli qataar mein guzre kaaTe kaTtaa nahin vo vaqt 'razaa' jo kisi intizaar mein guzre"
Ameer Raza MazhariAmeer Raza Mazhari
Quote
"yuun vafaa aazmaai jaati hai dil ki rag rag dikhaai jaati hai apni surat ke aaine mein mujhe meri surat dikhaai jaati hai ek halki si muskuraahaT se nai duniyaa banaai jaati hai na bane baat kuchh to hans denaa baat yuun bhi banaai jaati hai jalne vaalaa jale dhuaan bhi na ho aag yuun bhi lagaai jaati hai jaane vaale tujhe khabar bhi hai ik qayaamat si aai jaati hai chashm-e-umnid tujh ko us ki shakl duur se phir dikhaai jaati hai dil ki chhoTi si ik kahaani thi khatm par vo bhi aai jaati hai vo jo chamkaa thaa ik sitaaraa saa ik ghaTaa us pe chhaai jaati hai dil pe ubhri thi vo jo ik tasvir kitni jaldi miTaai jaati hai lau lagaai thi sham-e-mahfil se vo bhi ab jhilmilaai jaati hai dusron se 'razaa' kisi ki yaad kis tarah se bhulaai jaati hai"
Ameer Raza MazhariAmeer Raza Mazhari
Quote
"hazaar sheva-e-rangin hai ik jafaa ke liye nigaah chaahiye nairangi-e-adaa ke liye savaad-e-fikr se ubhri tiri hasin nigaah main sham' DhunDh rahaa thaa rah-e-vafaa ke liye vo ranj-e-raah ho yaa khauf-e-gumrahi ai dost jo raah-rau ke liye hai vo rahnumaa ke liye ye bandagi ye riyaazat ye zohd ye taqvaa ye sab khudi ke liye hai ki hai khudaa ke liye ye vaqt vo hai ki divaana toD de zanjir ki khul rahi hai vo zulf-e-siyah du'aa ke liye miTaa miTaa ke banaae gae kham-e-gesu paDi girah pe girah ek mubtalaa ke liye sukut-e-shab mein ki Thahri hai kaaenaat ki nabz dil aashnaa kaa dhaDaktaa hai aashnaa ke liye bas ek nigaah ne donon ko de rakhaa hai fareb 'razaa' tumhaare liye hai na tum razaa ke liye"
Ameer Raza MazhariAmeer Raza Mazhari