SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAnjum Khaleeq(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"badal chuke hain sab agli rivaayaton ke nisaab jo the savaab-o-gunah ho gae gunaah-o-savaab numu ke baab mein vo bebasi kaa aalam hai bahaar maang rahi hai khizaan ruton se gulaab badal ke jaam bhi ham to rahe khasaare mein hamaare paas lahu thaa tumhaare paas sharaab mire kahe ko amaanat samajhnaa mauj-e-havaa main aane vaale zamaanon se kar rahaa huun khitaab so meri pyaas kaa donon taraf ilaaj nahin udhar hai ek samundar idhar hai ek saraab khud aagahi kaa saliqa sikhaa gayaa 'anjum' mire khilaaf mire doston kaa istisvaab"
Anjum KhaleeqAnjum Khaleeq
Quote
"khaak kaa rizq yahaan har kas-o-naa-kas niklaa ye badan sinchne vaalaa baDaa bebas niklaa vo jo kartaa thaa sadaa khirqa-e-darvesh ki baat vo bhi darbaar mein vaarafta-e-atlas niklaa zarfishaan hai miri zarkhez zaminon kaa badan zarra zarra mire punjab kaa paaras niklaa meri hairat ko bhi taarikh mein mahfuz karo mere ahbaab mein har shakhs buroTas niklaa titliyaan pyaar ki thak-haar ke lauT aai hain ghuncha-e-chashm hi us shakhs kaa be-ras niklaa ye qalam mujrim-e-tausif-e-ghazaalaan 'anjum' vaqt paDne pe to ye fiil kaa aankas niklaa"
Anjum KhaleeqAnjum Khaleeq
Quote
"mire junun ko havas mein shumaar kar legaa vo mere tiir se mujh ko shikaar kar legaa mujhe gumaan bhi nahin thaa ki Dubtaa huaa dil muhit jism ko ik roz paar kar legaa main us ki raah chalun bhi to faaeda kyaa hai vo koi aur ravish ikhtiyaar kar legaa fasil-e-shahr mein rukne ki hi nahin ye khabar jo kaam ham se na hogaa ghubaar kar legaa vo gul-badan kabhi niklaa jo sair-e-sahraa ko to apne saath havaa-e-bahaar kar legaa jahaan pe baat faqat naqd-e-jaan se banti ho vo khush-kalaam vahaan bhi udhaar kar legaa ham aise log bahut khush-gumaan hote hain ye dil zarur tiraa e'tibaar kar legaa khulegaa is pe hi 'anjum'-khaliq baab-e-qubul jo apnaa haqq-e-talab ustuvaar kar legaa"
Anjum KhaleeqAnjum Khaleeq
Quote
"kuchh 'uzr pas-e-vaada-khilaafi nahin rakhte ho kaise masihaa dam-e-shaafi nahin rakhte aise to na the zakhm ki jo bhar hi na paate ahbaab magar zarf-e-talaafi nahin rakhte is chain se jiine mein koi bhed nahin hai bas ye ki tamannaaein izaafi nahin rakhte is daur mein insaaf panap hi nahin saktaa ikhlaas-e-qalam jis mein sahaafi nahin rakhte hain aur bhi duniyaa mein sukhanvar bahut achchhe ham jaisaa magar zauq-e-qavaafi nahin rakhte ye mo'jiza mohtaaj hai pindaar-e-vafaa kaa sab teshe dam-e-koh-shigaafi nahin rakhte har baat mein kam-maaya nazar aate hain 'anjum' raahat to kujaa dard bhi kaafi nahin rakhte"
Anjum KhaleeqAnjum Khaleeq
Quote
"biite hue lamhaat ko pahchaan mein rakhnaa murjhaae hue phuul bhi gul-daan mein rakhnaa kyaa jaanein safar khair se guzre ki na guzre tum ghar kaa pata bhi mire saamaan mein rakhnaa kyaa din the mujhe shauq se mehmaan bulaanaa aur khud ko magar khidmat-e-mehmaan mein rakhnaa kyaa vaqt thaa kyaa vaqt hai is soch se haasil chhoDo jo huaa kyaa use mizaan mein rakhnaa insaan ki niyyat kaa bharosa nahin koi milte ho to is baat ko imkaan mein rakhnaa pursish hai bahut sakht vahaan fard-e-amal ki kuchh naat ke ashaar bhi divaan mein rakhnaa mukhlis ho raho Tokaa hai kis ne tumhein 'anjum' raftaar-e-zamaana bhi magar dhyaan mein rakhnaa"
Anjum KhaleeqAnjum Khaleeq
Quote
"jab tak fasil-e-jism kaa dar khul na jaaegaa is dil ki yurishon kaa tasalsul na jaaegaa khemon se taa-furaat jo dariyaa-e-khun hai ye us par se maslahat kaa koi pul na jaaegaa us ko gumaan nahin thaa ki ahd-e-khizaan mein bhi ye zauq-e-naghma-rezi-e-bulbul na jaaegaa ye abr-e-aagahi jo barastaa rahaa yunhi miTTi kaa ye vajud miraa ghul na jaaegaa girtaa rahegaa yunhi balaaon kaa aabshaar jab tak ghubaar-e-qalb-o-nazar dhul na jaaegaa vo shakhs to khudaai ke daave pe tul gayaa is had pe ham samajhte the bilkul na jaaegaa bas ai nigaar-e-zist yaqin aa gayaa hamein ye teri be-rukhi ye taammul na jaaegaa 'anjum' nigaar-e-zist ko phir chaahiye vahi ik sar jo khvaahishon ke evaz tul na jaaegaa"
Anjum KhaleeqAnjum Khaleeq
Quote
"sitamgaron se Darun chup rahun nibaah karun khudaa vo vaqt na laae main ye gunaah karun miri nazar mein anaa ke sharar salaamat hain inhein bujhaaun to taazim kam-nigaah karun miri zabaan ko saliqa nahin guzaarish kaa main apne haq se ziyaada na koi chaah karun pahaaD mere tahavvur kaa istiaara hai main pastiyon se bhalaa kaise rasm-o-raah karun masaaf-e-zist mein mujh ko bas aagahi de do haraam hai jo talab phir koi sipaah karun kisi ko khauf-e-salaasil kisi ko hirs-e-karam main apne haq mein khudaayaa kise gavaah karun sitam to ye hai ki fauj-e-sitam mein bhi 'anjum' bas apne log hi dekhun jidhar nigaah karun"
Anjum KhaleeqAnjum Khaleeq
Quote
"dastaar-e-hunar bakhshish-e-darbaar nahin hai sad shukr ki shaanon pe ye sar baar nahin hai ab to ye makaan qatl-gahein banne lage hain achchhaa hai vo jis kaa koi ghar-baar nahin hai tahris-o-sazaa se nahin badleinge bayaan ham ik baar nahin jab hai to har baar nahin hai har ek pe khul jaae bilaa farq maraatib aisaa ho to dahliz pe darbaar nahin hai aa jaae tavaazun mein ye maahaul ki mizaan insaaf ke palDe mein magar baar nahin hai zulmat se nikal aaein chamakte hue raste par mashal-e-ehsaas sharar-baar nahin hai haath aaegaa kyaa saahil-e-lab se hamein 'anjum' jab dil kaa samundar hi guhar-baar nahin hai"
Anjum KhaleeqAnjum Khaleeq
Quote
"har she'r se mere tiraa paikar nikal aae manzar ko haTaa kar pas-e-manzar nikal aae ye kaun nikal aayaa yahaan sair-e-chaman ko shaakhon se mahakte hue zevar nikal aae is baar bulaave mein kisi maah-jabin ke vo zor-talab thaa ki mire par nikal aae ye vasl sikandar ke muqaddar mein nahin thaa ham kaise muqaddar ke sikandar nikal aae shab aai to zulmat ki mazammat mein sitaare divaar-e-falak toD ke baahar nikal aae us baat kaa aandhi ko gumaan bhi nahin hogaa lo ek thi faanus bahattar nikal aae ilhaam kaa mausam utar aataa hai zamin par basti mein agar ek sukhanvar nikal aae un sang-zanon mein koi apnaa bhi thaa shaayad jo Dher se ye qimti patthar nikal aae pindaar-e-hunar zauq-e-nazar shiddat-e-ikhlaas duniyaa ke muqaabil mire lashkar nikal aae kuchh soch ke ummid-e-vafaa baandhte 'anjum' chashme ki jagah kaise samundar nikal aae"
Anjum KhaleeqAnjum Khaleeq
Quote
"chaahe tu shauq se mujhe vahshat-e-dil shikaar kar apnon se kaT chukaa huun main apni anaa ubhaar kar jin ko kahaa na jaa sakaa jin ko sunaa nahin gayaa vo bhi hain kuchh hikaayatein un ko bhi tu shumaar kar khud ko aziyyatein na de mujh ko aziyyatein na de khud pe bhi ikhtiyaar rakh mujh pe bhi e'tibaar kar us ke yaqin-e-husn kaa husn-e-yaqin to dekhiye aaina dekhtaa hai vo apni nazar utaar kar raahein rafiq-e-raah ke shauq kaa imtihaan hain jis mein safar tavil ho rasta vo ikhtiyaar kar teri zamin nasib ne tere hunar ko saunp di khvaah chaman banaa use khvaah tu regzaar kar 'anjum' abhi hain raah mein shab ki kaDi masaafatein mahr falak pe rah gayaa din kaa safar guzaar kar"
Anjum KhaleeqAnjum Khaleeq
Quote
"sadaaqaton ko ye zid hai zabaan talaash karun jo shai kahin na mile main kahaan talaash karun miri havas ke muqaabil ye shahr chhoTe hain khalaa mein jaa ke nai bastiyaan talaash karun aziyyaton ki bhi apni hi ek lazzat hai main shahr shahr phirun nekiyaan talaash karun makaan-fareb khushaamad maaash samjhaute baraae kashti-e-jaan baadbaan talaash karun to kab talak yunhi suraj tale rahegi dhuup tire liye bhi koi saaebaan talaash karun guhar-qnasib sadaf kaa to zikr kyaa 'anjum' main saahilon ke liye sipiyaan talaash karun"
Anjum KhaleeqAnjum Khaleeq
Quote
"palkon tak aa ke ashk kaa sailaab rah gayaa dariyaa darun-e-halqa-e-girdaab rah gayaa ye kaun hai ki jis ko ubhaare hue hai mauj vo shakhs kaun thaa jo tah-e-aab rah gayaa nakhl-e-anaa mein zor-e-numu kis ghazab kaa thaa ye peD to khizaan mein bhi shaadaab rah gayaa kyaa shahr par khuli hi nahin aayat-e-khulus kyaa ek main hi vaaqif-e-aadaab rah gayaa kuchh zikr-e-yaar jis mein thaa kuchh zikr-e-vasl-e-yaar tadvin-e-zindagi mein vahi baab rah gayaa jo shai yahaan ki thi vo yahin chhoD di magar aankhon ke biich ek tiraa khvaab rah gayaa dekhaa jo phir se jaanib-e-dariyaa ravaan mujhe bal khaa ke apne aap mein girdaab rah gayaa 'anjum' tiri zamin abhi kitni duur hai koson-pare to qariya-e-mahtaab rah gayaa"
Anjum KhaleeqAnjum Khaleeq
Quote
"ba-faiz-e-aagahi ye kyaa azaab dekh liyaa ki khud hi apne kiye kaa hisaab dekh liyaa ye nasl nasl masaafat bahal rahi hai yunhi saraab jaagte sote mein khvaab dekh liyaa dilon ki tirgi dhone ko log uThe hain jab chhaton par utraa huaa aaftaab dekh liyaa saron se taaj baDe jism se abaaein baDi zamaane ham ne tiraa intikhaab dekh liyaa vo faakhta jise laanaa thaa amn kaa paighaam uDi nahin thi ki us ne uqaab dekh liyaa kabhi vo khul ke kabhi sarsari milaa ham se kabhi hilaal kabhi maahtaab dekh liyaa kitaab paDhne ki fursat yahaan kise 'anjum' bahut huaa to faqat intisaab dekh liyaa"
Anjum KhaleeqAnjum Khaleeq
Quote
"tahayyur hai balaa kaa ye pareshaani nahin jaati ki tan dhakne pe bhi jismon ki uryaani nahin jaati yahaan ahd-e-hukumat ijz kaa kis taur aaegaa ki taaj-o-takht ki fitrat se sultaani nahin jaati bujhe suraj pe bhi aangan miraa raushan hi rahtaa hai dahakte hon agar jazbe to taabaani nahin jaati muqaddar kar le apni si ham apni kar guzarte hain muqaddar se ab aise haar bhi maani nahin jaati agar aataa huun saahil par to aandhi gher leti hai samundar mein utartaa huun to tughyaani nahin jaati ye kaise khurdure mausam guzaar aayaa huun main 'anjum' ki khud mujh se hi meri shakl pahchaani nahin jaati"
Anjum KhaleeqAnjum Khaleeq
Quote
"ham apne zauq-e-safar ko safar sitaaraa karein na koi zaaicha khinchein na istikhaara karein usi se lafz bane maan bhi ek hai jin mein to kaise harf ki be-hurmati gavaara karein usi sharar ko jo ik ahd-e-yaas ne bakhshaa kabhi diyaa kabhi jugnu kabhi sitaara karein shuur-e-sher ne vo aankh khol di dil mein ki ab to ham pas-e-imkaan bhi nazaara karein firaaq-rut mein bhi kuchh lazzatein visaal ki hain khayaal hi mein tire khaal-o-khad ubhaaraa karein ilaahi khol de ham par dar-e-madina-e-ilm ali ali isi ummid par pukaaraa karein asaa nahin na sahi ham faqir log magar hon mauj mein to talaatum ko hi kinaara karein khudaa kaa shukr hai sab zar-pasand jaah-talab hamaari sohbat-e-be-faiz se kinaaraa karein mile jo vaqt to 'anjum' ba-surat-e-divaan murattab apni riyaazat kaa goshvaara karein"
Anjum KhaleeqAnjum Khaleeq
Quote
"kahaan tak aur is duniyaa se Darte hi chale jaanaa bas ab ham se nahin hotaa mukarte hi chale jaanaa main ab to shahr mein is baat se pahchaanaa jaataa huun tumhaaraa zikr karnaa aur karte hi chale jaanaa yahaan aansu hi aansu hain kahaan tak ashk ponchhoge tum us basti se guzro to guzarte hi chale jaanaa miri khaatir se ye ik zakhm jo miTTi ne khaayaa hai zaraa kuchh aur Thahro is ke bharte hi chale jaanaa vafaa-naa-aashnaa logon se milnaa bhi aziyyat hai hue aise to is dil se utarte hi chale jaanaa"
Anjum KhaleeqAnjum Khaleeq
Quote
"kitnaa DhunDaa use jab ek ghazal aur kahi jab milaa hi nahin tab ek ghazal aur kahi ek ummid mulaaqaat mein likkhi sar-e-shaam aur phir aakhir-e-shab ek ghazal aur kahi ik ghazal likkhi to gham koi puraanaa jaagaa phir usi gham ke sabab ek ghazal aur kahi us ghazal mein kisi be-dard kaa naam aataa thaa so pae bazm-e-tarab ek ghazal aur kahi jaante bujhte ik misra-e-tar ki qimat dil-e-bedaad-talab ek ghazal aur kahi dil ki dhaDkan ko hi pairaaya-e-izhaar kiyaa sil chuke jab mire lab ek ghazal aur kahi dafatan khud se mulaaqaat kaa ehsaas huaa muddaton baad jo ab ek ghazal aur kahi vahshat-e-hijr bhi tanhaai bhi main bhi 'anjum' jab ikaTThe hue sab ek ghazal aur kahi"
Anjum KhaleeqAnjum Khaleeq
Quote
"yahaan jo zakhm milte hain vo silte hain yahin mere tumhaare shahr ke sab log to dushman nahin mere talaash-e-ahd-e-rafta mein ajaaib-ghar bhi dekhe hain vahaan bhi sab havaale hain kahin tere kahin mere zaraa si main ne tarjihaat ki tartib badli thi ki aapas mein ulajh kar rah gae duniyaa o diin mere falak had hai ki sarhad hai zamin maadan hai yaa madfan mujhe bechain hi rakhte hain ye vahm o yaqin mere main tere zulm kaise hashr tak sahtaa chalaa jaaun bas ab to faisle honge yahin tere yahin mere achaanak kis tarah aakhir ye duniyaa chhoD saktaa huun khazaane jaa-ba-jaa madfun hain zer-e-zamin mere to jab mere kiye par hai miraa anjaam phir anjaam ye maazi haal mustaqbil to hain zer-e-nagin mere"
Anjum KhaleeqAnjum Khaleeq
Quote
"ab shahr mein aqdaar-kushi ek hunar hai fan jurm hai meaar-kushi ek hunar hai dushman se to kyaa haq-e-adaavat kaa gilaa jab yaaron ke liye yaar-kushi ek hunar hai kyaa kyaa hai nadaamat unhein ab apni ravish par kahte the jo kirdaar-kushi ek hunar hai jis daur mein ho lafz ki hurmat ki tijaarat us daur mein afkaar-kushi ek hunar hai khaatir se jo karnaa paDi kaj-fahm ki taaid lagtaa thaa ki inkaar-kushi ek hunar hai hairat hai ki vo fan ke parastaar hain 'anjum' jin ke liye fankaar-kushi ek hunar hai"
Anjum KhaleeqAnjum Khaleeq
Quote
"ye kaisi baat miraa mehrbaan bhuul gayaa kumak mein tiir to bheje kamaan bhuul gayaa junun ne mujh se taaaruf ke marhale mein kahaa main vo hunar huun jise ye jahaan bhuul gayaa kuchh is tapaak se raahein lipaT paDin mujh se ki main to samt-e-safar kaa nishaan bhuul gayaa khumaar-e-qurbat-e-manzil thaa naa-rasi kaa javaaz gali mein aa ke main us kaa makaan bhuul gayaa har ik badalti hui rut mein yaad aataa hai vo shakhs jo miraa naam-o-nishaan bhuul gayaa kuchh aisi baat kabutar ki aankh mein dekhi uqaab khauf ke maare uDaan bhuul gayaa main sar-ba-kaf sar-e-maqtal kuchh is adaa se gayaa ki meraa dushman-e-jaan aan-baan bhuul gayaa qabaail aaj bhi shir-o-shakar nazar aate khatib-e-shahr magar vo zabaan bhuul gayaa zamin ki god mein itnaa sukun thaa 'anjum' ki jo gayaa vo safar ki thakaan bhuul gayaa"
Anjum KhaleeqAnjum Khaleeq
Quote
"kaar-e-hunar sanvaarne vaalon mein aaegaa jab bhi hamaaraa naam havaalon mein aaegaa Tilon ko saath le ke jo uDti rahi havaa sahraa kaa rang barf ke gaalon mein aaegaa jab aaftaab-e-umr ki Dhalne lagegi dhuup tab raushni kaa fan mire baalon mein aaegaa kaisaa firaaq kaisi judaai kahaan kaa hijr vo jaaegaa agar to khayaalon mein aaegaa insaan se pyaar husn-parasti vatan se ishq ham ne kiyaa hai yuun ki misaalon mein aaegaa 'anjum'-khaliq ik nae anjum ko dekhnaa jis din vo aagahi ke ujaalon mein aaegaa"
Anjum KhaleeqAnjum Khaleeq
Quote
"jahaan sinon mein dil shaanon pe sar aabaad hote hain vahi do-chaar to basti mein ghar aabaad hote hain bahut saabit-qadam niklein gae vaqton ki tahzibein ki ab un ke havaalon se khanDar aabaad hote hain buzurgon ko tabarruk ki tarah rakkho makaanon mein balaaein rad kiye jaane se ghar aabaad hote hain zabaan-bandi ke mausam mein gali-kuchon ki mat puchho parindon ke chahakne se shajar aabaad hote hain jo patthar ki silon ko taaj-mahalon mein badal Daalein yahaan kachche gharon mein vo hunar aabaad hote hain mire andoh mein muzmar hai us ki sarkhushi aise Dubo kar kashtiyaan jaise bhanvar aabaad hote hain miri taamir behtar shakl mein hone ko hai 'anjum' ki jangal saaf hone se nagar aabaad hote hain"
Anjum KhaleeqAnjum Khaleeq
Quote
"kaho kyaa mehrbaan naa-mehrbaan taqdir hoti hai kahaa maan ki duaaon mein baDi taasir hoti hai kaho kyaa baat karti hai kabhi sahraa ki khaamoshi kahaa us khaamushi mein bhi to ik taqrir hoti hai kahaa main ne ki ranj-e-be-makaani kab sataataa hai kahaa jab maqbare yaa qasr ki taamir hoti hai kahaa main ne hisaar-e-zaat mein ye nafs ki duniyaa javaab aayaa ki sab kuchh haar kar taskhir hoti hai kahaa ye khvaahish-o-targhib aur ye khuun ke rishte kahaa zindaaniyon ke paanv mein zanjir hoti hai kahaa vo jo savaali aankh ki putli pe likkhi thi kahaa sab se moassir to vahi tahrir hoti hai kahaa ahl-e-khirad 'anjum' tumhein be-kaar kahte hain kahaa sikke ki apne des mein tauqir hoti hai"
Anjum KhaleeqAnjum Khaleeq