SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAshraf Ali Fughan(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"ai tajalli kyaa huaa sheva tiri takraar kaa mar gayaa aakhir ko ye taalib tire didaar kaa kyaa binaa-e-khaana-e-ushshaaq be-buniyaad hai Dhal gayaa sar se mire saaya tiri divaar kaa roz beh hotaa nazar aataa nahin ye zakhm-e-dil dekhiye kyaa ho khudaa haafiz hai is bimaar kaa nau-mulaazim laal-e-lab ko le gae tankhvaah mein be-talab rahtaa hai ye naukar tiri sarkaar kaa dekh naiin saktaa 'fughaan' shaadi dil-e-aafat-talab ye kahaan se ho gayaa maalik mire ghar-baar kaa"
A
Ashraf Ali Fughan
Quote
"bas-ki didaar tiraa jalva-e-quddusi hai daaman-e-vasl bhi aaluda-e-maayusi hai hai kahaan bu-e-vafaa us dahan-e-shirin mein ghuncha-lab teri zabaan ham ne bahut chusi hai yaar go khuun miraa misl-e-hinaa ho paamaal lekin apne taiin manzur qadam-bosi hai dil miraa khaak shagufta ho chaman mein jaa kar gul mein ye rang kahaan ek tiri bu si hai ek din zulf ke munh par na chaDhi ye kaafir yaad-e-kaakul ko faqat sheva-e-jaasusi hai vo saji tegh ki dam mein kare laakhon ko qatl kaun kahtaa hai miyaan teri kamar mu si hai shaikh rotaa hai ise sun ke brahman yaksu pur-asar bas ki miraa naalaa-e-naaqusi hai chashm-e-namnaak ne az bas-ki bujhaayaa us ko aatish-e-'ishq kahaan dil mein magar lu si hai ai 'fughaan' ishq kahaan dil mein ba-qaul-e-'minnat' haan ye sach milne ki khubaan se to ik khu si hai"
A
Ashraf Ali Fughan
Quote
"khuun aankhon se nikaltaa hi rahaa kaarvaan-e-ashk chaltaa hi rahaa is kaf-e-paa par tire rang-e-hinaa jin ne dekhaa haath maltaa hi rahaa subh hote bujh gae saare charaagh daagh-e-dil taa shaam jaltaa hi rahaa kab huaa bekaar putlaa khaak kaa ye to sau qaalib mein Dhaltaa hi rahaa beh hue kab daagh mere jism ke ye shajar har vaqt phaltaa hi rahaa kab thamaa aankhon se meri khun-e-dil josh khaa khaa kar ubaltaa hi rahaa kyaa huaa marham lagaane se 'fughaan' zakhm-e-dil siine mein saltaa hi rahaa"
A
Ashraf Ali Fughan
Quote
"is jaur o jafaa se tire zinhaar na TuuTe ye dil to kisi tarah se ai yaar na TuuTe ghairon ko na kar mujh dil-e-bismil ke muqaabil chau rang lagaate tiri talvaar na TuuTe vo shisha-e-dil hai ki isi sang-e-jafaa par sau baar agar pheinkiye yak-baar na TuuTe rakh qais qadam vaadi-e-lailaa mein samajh kar is dasht-e-mohabbat kaa koi khaar na TuuTe jumbish mein na laa subha-e-islaam ko ai shekh naazuk hai miraa rishta-e-zunnaar na TuuTe shaana se 'fughaan' phir ulajhtaa hai miraa dil us kaakul-e-mushkin kaa koi taar na TuuTe"
A
Ashraf Ali Fughan
Quote
"dekhiye khaak mein majnun ki asar hai ki nahin dasht mein naaqa-e-lailaa kaa guzar hai ki nahin vaa agar chashm na ho us ko na kahnaa pi ashk ye khudaa jaane sadaf biich guhar hai ki nahin ek ne mujh ko tire dar ke upar dekh kahaa ghair is dar ke tujhe aur bhi dar hai ki nahin aakhir is manzil-e-hasti se safar karnaa hai ai musaafir tujhe chalne ki khabar hai ki nahin tosha-e-raah sabhi ham-safaraan rakhte hain tere daaman mein 'fughaan' lakht-e-jigar hai ki nahin"
A
Ashraf Ali Fughan
Quote
"aalam mein agar ishq kaa baazaar na hotaa koi kisi bande kaa kharidaar na hotaa hasti ki kharaabi nazar aati jo adam mein us khvaab se hargiz koi bedaar na hotaa kahtaa hai tujhe khaak na duun ghair-e-aziyat ye dil mein agar thi to miraa yaar na hotaa maalum kise thi ye tiri khaana-kharaabi main jaantaa aisaa to giraftaar na hotaa aalam ko jalaati hai tiri garmi-e-majlis marte ham agar saaya-e-divaar na hotaa ai shaikh agar kufr se islaam judaa hai pas chaahiye tasbih mein zunnaar na hotaa zaalim mire haasid ki to shaadi thi isi mein yaani mujhe dar tak bhi tire baar na hotaa dete tiri majlis mein agar raah 'fughaan' ko us shakhs se hargiz koi be-zaar na hotaa"
A
Ashraf Ali Fughan
Quote
"bahaar aai hai sote ko Tuk jagaa denaa junun zaraa miri zanjir ko hilaa denaa tire labon se agar ho sake masihaai to ek baat mein jiitaa huun main jilaa denaa ab aage dekhiyo jitun na jitun yaa qismat miri bisaat mein dil hai ise lagaa denaa rahun na garmi-e-majlis se main tiri mahrum sipand-vaar mujhe bhi zaraa tu jaa denaa khudaa kare tiri zulf-e-siyah ki umr daraaz kabhi balaa mujhe lenaa kabhi duaa denaa ba-rang-e-ghuncha zar-e-gul ke taiin girah mat baandh 'fughaan' jo haath mein aave use uDaa denaa"
A
Ashraf Ali Fughan