SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAteeq Ahmad Ateeq(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"intihaa-e-yaas-o-gham se jab guzar jaataa huun main har qadam par ik sukun-e-qalb saa paataa huun main saaz-e-gham par jab kabhi koi ghazal gaataa huun main ik saraapaa soz ki tasvir ban jaataa huun main har qadam par ek aafat har qadam par ik balaa phir bhi manzil ki taraf baDhtaa chalaa jaataa huun main phir kisi taaza pareshaani ko hai meri talaash phir kisi ko multafit apni taraf paataa huun main allah allah maslak-e-mehr-o-mohabbat ai 'atiq' aah koi bhi kare lekin taDap jaataa huun main"
Ateeq Ahmad AteeqAteeq Ahmad Ateeq
Quote
"aib-o-hunar se khelne vaalon ke shahr mein main ghir gayaa huun tang khayaalon ke shahr mein ham to siyaah-bakht hain lekin khataa muaaf jo log gum hue hain ujaalon ke shahr mein yaa-rab ye kyaa ki aur bhi begaana ho gae aa kar vo apne chaahne vaalon ke shahr mein vo ik javaab-e-talkh dil-e-be-qaraar ko uljhaa gayaa hai kitne savaalon ke shahr mein meraa hi zikr kyaa hai koi mutmain nahin is zindagi se khelne vaalon ke shahr mein kyaa baat hai har ek yahaan tira-zehn hai baste hain kaise log ujaalon ke shahr mein aataa nahin hai kucha-e-dil kaa bhi kuchh khayaal rahtaa huun mahv kis ke khayaalon ke shahr mein chhaai hai murdani si ye kyon har taraf 'atiq' jaam-e-hayaat baanTne vaalon ke shahr mein"
Ateeq Ahmad AteeqAteeq Ahmad Ateeq
Quote
"vo ham nahin hain ki gulshan par ikhtiyaar ke baad bahaar ko bhi taraste rahein bahaar ke baad nizaam-e-dahr jo hai muntashir to hone do ki nazm-e-dahr sanvartaa hai intishaar ke baad abhi to subh ki pahli kiran hi phuTi hai jamaal-e-subh zaraa dekhnaa nikhaar ke baad qadam qadam pe milegaa hayaat-e-nau kaa suraagh balaa-kashaan-e-mohabbat ko sair-e-daar ke baad unhin se puchhiye kaif-e-hayaat kyaa shai hai jo mutmain hain gham-e-zindagi se pyaar ke baad dar-e-habib pe baiThaa huun sar jhukaae hue tamaam silsila-e-tark-o-ikhtiyaar ke baad gham-e-hayaat-o-gham-e-kaaenaat bhi hai aziiz kuchh apni fikr bhi lekin khayaal-e-yaar ke baad ujaal de jo rukh-e-shaam-e-zindagi ko 'atiq' vo subh aaegi kis subh-e-intizaar ke baad"
Ateeq Ahmad AteeqAteeq Ahmad Ateeq
Quote
"mire labon pe gham-e-zindagi ki baat nahin kuchh mujh ko fikr-e-ilaaj-e-gham-e-hayaat nahin main aashnaa-e-gham-e-kaaenaat huun lekin mire malaal se aagaah kaaenaat nahin gham-e-hayaat ko siine se jo lagaa na sake miri nazar mein vo shaaista-e-hayaat nahin binaa-e-husn-e-rukh-e-kaaenaat ham bhi hain tumhin se dilkashi-e-bazm-e-kaaenaat nahin hain zindagi ki bahaarein unhein nasib to kyaa jinhein shuur-e-chaman-bandi-e-hayaat nahin kise sunaaein gham-e-zindagi ke afsaane yahaan koi bhi to aasuda-e-hayaat nahin tiri jafaaein bhi mujh ko aziiz hain lekin ye kyaa ki mujh pe tiri chashm-e-iltifaat nahin balaa se ishrat-e-imroz khvaab ho ki khayaal 'atiq' raahat-e-fardaa to be-sabaat nahin"
Ateeq Ahmad AteeqAteeq Ahmad Ateeq
Quote
"maut sirf is liye gavaaraa hai zindagi ki taraf ishaara hai raahat-e-gham na raas aai mujhe jab se ehsaas-e-gham ne maaraa hai zindagi bhi aziiz hai lekin teraa gham zindagi se pyaaraa hai dil ko ummid ne Duboyaa thaa tark-e-ummid ne ubhaaraa hai zindagi kaa kuchh eatibaar nahin zindagi subh kaa sitaaraa hai jo Thahar jaae un ke jalvon par vo nazar khud bhi ik nazaaraa hai talkhi-e-gham buri balaa hai magar talkhi-e-gham mujhe gavaaraa hai vaqt ki dhaDkanon kaa raaz 'atiq' mere sheron se aashkaaraa hai"
Ateeq Ahmad AteeqAteeq Ahmad Ateeq
Quote
"fughaan ki rahbar-e-raah-e-talab hain khud kaj-rau mile to kaise mile ab suraagh-e-manzil-e-nau ye rang-o-nur kaa aalam ye mehr-o-maah ki zau dar-asl hai mire husn-e-khayaal kaa partau jo zindagi thi halaak-e-fusun-e-rasm-e-kuhan sanvar rahi hai ba-faiz-e-shuur-e-aadam-e-nau rah-e-talab mein kisi raahzan kaa zikr hi kyaa jo raahbar hain guzar un se bach ke ai rahrau hamein to manzil-e-maqsud tak pahunchnaa hai savaad-e-shaam kare rahbari ki subh-e-nau vo baat jis kaa haqaaeq se vaasta bhi na thaa khushaa ki ban gai unvaan har fasaana-e-nau taras rahaa huun main takmil-e-aarzu ke liye ye aashiqi kaa sila hai ki haasil-e-tag-o-dau 'atiq' maut hai sirf is liye aziiz mujhe ki zindagi hai bhaDakte hue charaagh ki lau"
Ateeq Ahmad AteeqAteeq Ahmad Ateeq
Quote
"bhaTak rahaa huun man mein teri aas liye kitne sundar sapnon kaa ban-baas liye tujh bin manvaa jal darshan ko tarse hai saat samundar khushk labon ke paas liye chaaT rahaa huun barson se apnaa hi lahu pal do pal ki raahat kaa vishvaas liye sonaa saa Dhalkaa ke ufuq mein Duub gayaa ghaayal panchhi khuun mein lithDi aas liye auron ko sairaab kare hai meraa vajud apne andar janam janam ki pyaas liye dil par ubhraa ek anokhaa ghaav 'atiq' kitne puraane zakhmon ki bu-baas liye"
Ateeq Ahmad AteeqAteeq Ahmad Ateeq
Quote
"mujhi se puchh rahe hain vo meraa haal-e-zabun to kyaa main apni tabaahi pe raushni Daalun zabaan-e-haal se de kar mujhe payaam-e-sukun tire khayaal ne kuchh aur kar diyaa mahzun sunaa ki vajh-e-tulua-e-sahar hain ahl-e-junun to khud hi TuuT gayaa tirgi-e-shab kaa fusun tire sukut kaa mafhum kaun samjhegaa tire sukut pe main bhi agar khamosh rahun junun-e-shauq ki azmat pe tanz farmaa kar baDhaa gae hain vo kuchh aur bhi vaqaar-e-junun gham-e-hayaat se paamaal ho ke bhi ham ne gham-e-hayaat ko hone diyaa na khvaar-o-zabun jo tum ko fikr-e-nizaam-e-chaman nahin yaaro to laao main hi bahaaron kaa ehtimaam karun hai jab se gardish-e-haalaat par nigaah miri main khud bhi gardish-e-haalaat ki nigaah mein huun 'atiq' shaair-e-imroz hi kaho na mujhe ki main to shaair-e-mustaqbil-e-hayaat bhi huun"
Ateeq Ahmad AteeqAteeq Ahmad Ateeq
Quote
"ye kahkashaan ye sitaare ye chaandni ye bahaar nigaah main na uThaaun to sab ke sab bekaar ye maantaa huun ki aai chaman mein fasl-e-bahaar liye hue magar apne jilau mein barq-o-sharaar payaam-e-daur-e-khizaan hai varud-e-fasl-e-bahaar khudaa ke vaaste ahl-e-chaman zaraa hushiyaar abhi nigaah se kuchh aur kaam lene hain khudaa kare ki na ho aap kaa mujhe didaar abhi to kaakul-e-geti mein zehn ghaltaan hai tumhaari zulf se uljhein bhi kyon mire afkaar unhin ko baais-e-zulmat qaraar dete ho hai jin ke dam se munavvar fazaa-e-tira-o-taar fusun-e-tirgi-e-shab hai TuTne vaalaa vo subh-e-nau ke nazar aa rahe hain kuchh aasaar ye ikhtiyaar-e-vafaa hai mujhe pashemaani tumhaare jabr-e-musalsal se main nahin bezaar 'atiq' meri pareshaaniyaan maaaz-allaah ki jaise ek masihaa hazaar-haa bimaar"
Ateeq Ahmad AteeqAteeq Ahmad Ateeq
Quote
"ai gham-e-zist tire chaahne vaale kitne pi gae zahr se labrez piyaale kitne ham siyah-bakht sahi phir bhi hamin ne ai dost kiye takhliq andheron se ujaale kitne paasbaan-e-mah-o-khurshid hi ban kar tum ne vaqt ke gosha-e-taarik ujaale kitne ai nigahbaan-e-haram ham ko khabar hai is ki hain nihaan teri nigaahon mein shivaale kitne shukriya aap ki isaa-nafasi kaa lekin paD gae aur miri jaan ke laale kitne aur kuchh roz abhi zulm ravaa rakhnaa thaa hausle tum ne abhi dil ke nikaale kitne kitne to naan-e-javin ko bhi taras jaate hain hazm kar jaate hain sone ke nivaale kitne tum to karte rahe nazzaara-e-tufaan hi 'atiq' ho gae shauq se tufaan ke havaale kitne"
Ateeq Ahmad AteeqAteeq Ahmad Ateeq
Quote
"dil-o-nigaah ki saari lataafatein bhi gaiin basiraton ki talab mein basaartein bhi gaiin gae dinon ki jahaan tak amaanatein bhi gaiin nai ruton ki mahakti bashaaratein bhi gaiin samaaaton ki fasilein to phaand aai sadaa kabhi hisaar-e-sadaa tak samaaatein bhi gaiin miri kathaa jo gai taa-dayaar-e-shisha-o-sang lahuluhaan dilon ki hikaayatein bhi gaiin haraa-bharaa mujhe rakhti thiin jo har ik rut mein vo shaakh-saar-e-badan ki haraaratein bhi gaiin ghazal kaa sadiyon puraanaa libaas yuun badlaa ki fikr-o-fan ki mohazzab rivaayatein bhi gaiin ba-naam-e-dard mire dil ko jo mayassar thiin 'atiq' ab to vo be-naam raahatein bhi gaiin"
Ateeq Ahmad AteeqAteeq Ahmad Ateeq
Quote
"dil hai masarrat-e-gham-e-jaanaan liye hue lekin malaal-e-talkhi-e-dauraan liye hue ai dil na ho udaas khudaaraa na ho udaas ehsaas-e-tishna-kaami-e-armaan liye hue har mushkil-e-hayaat hai khud apni aaD mein aasaani-e-hayaat kaa saamaan liye hue har kam-nazar ko de ke zamaane ki raahatein main khush huun apnaa qalb-e-pareshaan liye hue ai rahravaan-e-saahil-e-ummid hoshiyaar saahil hai apni god mein tufaan liye hue ai dost apne aap pe naazaan rahaa huun main ik azm-e-sar-bulandi-e-insaan liye hue ummid-e-iltifaat pe baiThaa huun mutmain sarmaaya-e-nadaamat-e-isyaan liye hue us anjuman mein jaa to rahaa huun magar 'atiq' dil mein kashaakash-e-gham-e-dauraan liye hue"
Ateeq Ahmad AteeqAteeq Ahmad Ateeq