Quote
"shisha lab se judaa nahin hotaa nashsha phir bhi sivaa nahin hotaa dard-e-dil jab sivaa nahin hotaa ishq mein kuchh mazaa nahin hotaa har nazar surmagin to hoti hai har hasin dilrubaa nahin hotaa haan ye duniyaa buraa banaati hai varna insaan buraa nahin hotaa asr-e-haazir hai jab qayaamat-khez hashr phir kyuun bapaa nahin hotaa paarsaa rind ho to saktaa hai rind kyuun paarsaa nahin hotaa sher ke fan mein aur bayaan mein 'aziz' 'momin' ab dusraa nahin hotaa"







