SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byBadr Shamsi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"naadida manzilon ke payambar bahut mile ham ko hamaari raah ke patthar bahut mile dard-aashnaa khulus ke paikar bahut mile zakhmon ko DhunDte hue nashtar bahut mile siine se ham lagaae hue the mataa’-e-dard ham se mile bhi log to bach kar bahut mile kis kis ko apne dil mein ham aakhir utaarte jo ham pe mehrbaan the vo khanjar bahut mile yaadon ke zakhm dil kaa lahu dard-e-be-kasi kuche mein zindagi ke sitamgar bahut mile dekhaa jidhar lagi thi shikasta dilon ki bhiiD aabaadiyon mein ujDe hue ghar bahut mile palkon pe apni khuub ugi aansuon ki fasl in khushk Daaliyon pe gul-e-tar bahut mile bheje hain us ne kitne mohabbat-bhare khutut ham ko hamaare qatl ke mahzar bahut mile ai 'badr' dil ke daagh the raaton ko zau-fishaan tira-shabi mein chaand se paikar bahut mile"
Badr ShamsiBadr Shamsi
Quote
"har lamha bahr-e-vaqt ki tughyaaniyon mein huun Thahrun kahaan ki bahte hue paaniyon mein huun bikhraa huaa huun TuuTe hue khvaab ki tarah dekhaa gayaa huun jab se pareshaaniyon mein huun haalaat ki salib pe laTkaa huaa huun main masruf apne aap ki qurbaaniyon mein huun ye qaid Tuut jaae to shaayad sukun mile main apne hi vajud ke zindaaniyon mein huun ab zakhm zakhm hai mire ehsaas kaa badan shisha huun pattharon ki nigahbaaniyon mein huun aabaad mujh se hai mire khvaabon ki kaaenaat main vus’at-e-khayaal ki viraaniyon mein huun kyaa khush-libaas log hain shahr-e-libaas mein mahsus ho rahaa hai ki ‘uryaaniyon mein huun ai 'badr' soz-e-gham kaa ujaalaa hai har taraf main zulmaton mein rah ke bhi taabaaniyon mein huun"
Badr ShamsiBadr Shamsi
Quote
"tasvir-e-masarrat hai ki gham khoe hue hain kuchh ashk sar-e-dida-e-nam khoe hue hain mil kar bhi judaa rahnaa hai taqdir-e-mohabbat vo saamne aae hain to ham khoe hue hain hain zakhm-e-jigar mahv-e-munaajaat-e-mohabbat yaa zikr-e-ilaahi mein sanam khoe hue hain is vaqt na paaegi hamein gardish-e-dauraan is vaqt tiri yaad mein ham khoe hue hain in jaagti aankhon mein sulagte hain abhi tak kuchh khvaab jo khud apnaa bharam khoe hue hain khud se bhi mulaaqaat nahin tujh se bichhaD kar ham bhi tiri yaadon ki qasam khoe hue hain hai koi jo aa kar tire kuche kaa pata de kuchh log sar-e-dair-o-haram khoe hue hain ehsaas ko alfaaz kaa paikar nahin miltaa tahrir ki vaadi mein qalam khoe hue hain ab dil mein nahin 'badr' koi naqsh-e-tamannaa saae pas-e-divaar-e-haram khoe hue hain"
Badr ShamsiBadr Shamsi
Quote
"guzri hui bahaar kaa koi pataa nahin is peD mein to ek bhi pattaa haraa nahin main khud bhi apne gosh-e-samaa'at pe baar huun vo harf huun jise tiraa lahja milaa nahin is bhiiD mein hain sab vahi derina ajnabi mere liye to ek bhi chehra nayaa nahin naaraaz mujh se shahr ke bachche hain is liye main un ke haath ban ke khilaunaa rahaa nahin pheinkaa hai kis ke haath ne patthar mein dekh lo patthar se baDh ke aur koi aaina nahin kis hausle se khud ko sameTe hue huun main TuuTaa huaa zarur huun bikhraa huaa nahin us se bichhaD ke milti koi raushni to kyaa ai 'badr' mujh ko khud miraa saae milaa nahin"
Badr ShamsiBadr Shamsi
Quote
"aaina-e-khayaal mein khvaabon ke silsile dariyaa mein maujzan hain saraabon ke silsile mahke hain dil mein yuun tiri yaadon ke zakhm bhi jaise khile hon taaza gulaabon ke silsile phulon ki anjuman mein sitaaron ki chhaanv mein bikhre kahaan kahaan mire khvaabon ke silsile har shakhs hai khud apne khayaalaat kaa rasul chehre bhi hain khudaa ki kitaabon ke silsile ham bhi phire hain dasht-e-tamannaa mein sar-ba-kaf milte hain ham se khaana-kharaabon ke silsile ham hain savaal-e-‘arz-e-tamanna ki baazgasht ham par hue hain khatm javaabon ke silsile jaltaa huun zindagi ke jahannum mein raat-din jaari hain har nafas pe 'azaabon ke silsile apni haqiqaton ko chhupaae hue hain log chehre hain yaa hasin naqaabon ke silsile ai 'badr' zakhm-e-dil hain gham-e-dil pe khanda-zan dariyaa se khelte hain habaabon ke silsile"
Badr ShamsiBadr Shamsi
Quote
"karam huaa bhi to kitne takallufaat ke baa'd 'ataa huaa gham-e-jaanaan gham-e-hayaat ke baa'd tire sitam ki qayaamat bhi dil pe guzri hai tiri nigaah-e-'inaayat ke haadsaat ke baa'd nazar nazar tiraa jalva nafas nafas khushbu 'ajib haal hai tark-e-ta'alluqaat ke baa'd khud apni shakl nazar aai un ki surat mein nazar uThi jo hijaab-e-ta’yyunaat ke baa'd kahin milaa na vo saaya ki dil Thahar jaataa tumhaare gham ki kaDi dhuup se najaat ke baa'd ye raushni unhin taarikiyon se phuTi hai yaqin dil ko milaa hai tavahhumaat ke baa'd hui hai 'badr' unhein zahmat-e-taghaaful bhi magar mire dil-e-paamaal-e-iltifaat ke baa'd"
Badr ShamsiBadr Shamsi
Quote
"phir us nigaah kaa nashtar miri talaash mein hai sukun-e-dil kaa payambar miri talaash mein hai vo jis ne mujh ko kabhi aaine mein dekhaa thaa vo ek shakhs baraabar miri talaash mein hai main apni zaat mein bhaTkaa huaa musaafir huun har ek raah kaa patthar miri talaash mein hai ye zindagi kaa andheraa ye karb-e-tanhaai salib-o-daar kaa manzar miri talaash mein hai ba-naam-e-talkhi-e-dauraan ba-naam-e-zahr-e-hayaat sunaa hai phir koi saaghar miri talaash mein hai sukut-e-naaz ko andaaz-e-guftugu de kar kisi ki chashm-e-sukhanvar miri talaash mein hai milaa na chashma-e-haivaan se jis ko aab-e-hayaat nasib kaa vo sikandar miri talaash mein hai mujhe panaah de ai mere gham ki tanhaai umid-o-bim kaa lashkar miri talaash mein hai main 'badr' apne ujaale mein khud hi Duub gayaa tajalli-e-mah-o-akhtar miri talaash mein hai"
Badr ShamsiBadr Shamsi
Quote
"samundaron ke safar mein nadi ki pyaas bujhe hamaare khuun se shaayad kisi ki pyaas bujhe na jaane kitne ujaalon ko pi chuki lekin na jaane kab miri tira-shabi ki pyaas bujhe miraa sukut bhi aavaaz kaa samundar hai jo ik nazar mujhe chhu le usi ki pyaas bujhe mataa'-e-soz-e-nihaan aur bakhsh de mujh ko kisi tarah tiri dariyaa-dili ki pyaas bujhe savaad-e-manzil-e-jaanaan ki kucha-e-qaatil kahin to jaa ke gham-e-zindagi ki pyaas bujhe nasib-e-ahl-e-nazar hai safar saraabon kaa na bujh saki na kabhi jiite ji ki pyaas bujhe vo tere gaanv kaa panghaT thaa meraa shahr nahin ki lu chale to kisi ajnabi ki pyaas bujhe pighal bhi jaae jo ye barf us ke chehre ki yaqin nahin miri be-chehragi ki pyaas bujhe baraste tiron ki baarish mein ham hain sina-kushaa yahi vo rut hai ki dil ki lagi ki pyaas bujhe mile na jaane kahaan 'badr' chashma-e-zulmaat khabar nahin ki kahaan shab-ravi ki pyaas bujhe"
Badr ShamsiBadr Shamsi
Quote
"main us se bichhDaa to phir kis qadar akeli thi vo chaandni jo kabhi mere saath kheli thi kabhi kabhi baDi shiddat se yaad aati hai vo niind jo miri aankhon ki ik saheli thi qadam qadam pe the jangal mein saaebaan bahut magar vo chalti hui dhuup jo akeli thi jahaan se main ye kharaashein sajaa ke laayaa huun mire paDos mein phulon ki ik haveli thi badal gae the lakiron ke zaaviye varna vahi thaa haath hamaaraa vahi hatheli thi bhulaa diyaa use manzil ke paas suraj ne masaafaton ki kaDi dhuup jis ne jheli thi hamaare baare mein aaina sochtaa hi rahaa hamaari shakl mein shaayad koi paheli thi hamaare gaanv kaa naqsha badal gayaa varna jahaan babul hai pahle vahaan chanbeli thi khili hui hai vo ai 'badr' ek jangal mein mire vajud ne jo chaandni unDeli thi"
Badr ShamsiBadr Shamsi
Quote
"dil ke har zakhm ko honTon pe sajaayaa jaae kyaa zaruri hai ki haal apnaa sunaayaa jaae aansuon mein tiri surat ko sajaayaa jaae bahte paani pe bhi ik naqsh banaayaa jaae ab mujhe dekh ke kahte hain ye aaina-mizaaj ek shakhs aur thaa shaayad kahin paayaa jaae kis ke bas mein hai miri tarh salibon kaa safar apne har khvaab ko suuli pe chaDhaayaa jaae aaj ki raat mulaaqaat kaa jaadu na sahi aaj in aankhon mein nindon ko jagaayaa jaae dil ki aag aur baDhaa dete hain bahte aansu kyaa kare vo jise paani se jalaayaa jaae jurm saa jurm hai meraa ki huun ik naqsh-e-vafaa dosto mujh ko abhi aur miTaayaa jaae us ke honTon pe mire she'r ta'ajjub hai mujhe mere afkaar ko phulon mein basaayaa jaae 'badr' achchhaa hai numaaish na ho daagh-e-dil ki apne ghar mein hi charaagh apnaa jalaayaa jaae"
Badr ShamsiBadr Shamsi
Quote
"sukun-e-dil ki talab mein jo be-qaraar nahin vo apne dard-e-mohabbat se sharmsaar nahin khushi se kaun uThaataa hai gham zamaane mein ye jabr vo hai ki jis par kuchh ikhtiyaar nahin sab apni zaat ki jaanib hain aaj garm-e-safar koi kisi ke liye mahv-e-intizaar nahin kuchh is tarah tiri chashm-e-karam ne luuTaa hai mujhe khud apni tabaahi kaa e'tibaar nahin nazar-fareb bahaaron se khelne vaale tiri nazar mein abhi haasil-e-bahaar nahin har ek gham kaa mudaavaa hai khud-faraamoshi vo hoshiyaar bahut hai jo hoshiyaar nahin jalaao 'badr' shab-e-gham charaagh ashkon ke ki in chamakte sitaaron kaa e'tibaar nahin"
Badr ShamsiBadr Shamsi
Quote
"dil jin ko pujtaa thaa vo gham jaagte rahe kal raat but-kade mein sanam jaagte rahe us vaqt bhi ki saaraa zamaana thaa mahv-e-khvaab ham vaarisaan-e-lauh-o-qalam jaagte rahe luTte rahe hain shahr-e-nigaaraan mein raat bhar haalaanki ahl-e-dair-o-haram jaagte rahe aati rahi hamein tiri aahaT tamaam raat sunte rahe sadaa-e-qadam jaagte rahe un se chhiDi hui thiin unhi ki hikaayatein kal saari raat khvaab mein ham jaagte rahe uljhe rahe jo mere tasavvur se raat bhar khvaabida gesuon ke vo kham jaagte rahe raaton ko ham ne yuun bhi kiyaa din kabhi kabhi piite rahe sharaab-e-alam jaagte rahe chheDi jo 'badr' ham ne shab-e-gham ki daastaan taare qarib-e-dida-e-nam jaagte rahe"
Badr ShamsiBadr Shamsi
Quote
"ab un kaa gham bhi hamein dil-kushaa saa lagtaa hai ye ajnabi to hamein aashnaa saa lagtaa hai fareb-khurda-e-rasm-e-vafaa saa lagtaa hai ye zakhm-e-dil ki jo hanstaa huaa saa lagtaa hai khud apne dil se taraashaa hai jo sanam main ne khudaa nahin hai vo lekin khudaa saa lagtaa hai milaa hai jis ko miri bandagi kaa husn-e-khulus vo naqsh-e-sajda tire naqsh-e-paa saa lagtaa hai kabhi kabhi tiri yaadon ki anjuman mein ye dil khud apne aap se ruThaa huaa saa lagtaa hai rukh-e-hayaat ye halkaa saa ik tabassum bhi gham-e-hayaat kaa maaraa huaa saa lagtaa hai badal gai hai ye kis ki nazar khudaa jaane rukh-e-hayaat badaltaa huaa saa lagtaa hai ye daagh-e-dil hain ki ai 'badr' hasraton ke sanam khudaa kaa ghar hai magar but-kada saa lagtaa hai"
Badr ShamsiBadr Shamsi
Quote
"tum apne saath miri chashm-e-tar bhi le jaao safar tavil hai ik ham-safar bhi le jaao nazar mein raunaq-e-divaar-o-dar bhi le jaao ye kyaa ki dasht-navardi mein ghar bhi le jaao in aandhiyon mein bharosa hi kyaa charaaghon kaa sajaa ke apni hatheli pe sar bhi le jaao tum apni raat sajaao nae ujaalon se hamaaraa kyaa hai hamaaraa sahar bhi le jaao mileinge zakhm bahut zindagi ke mele mein tum apne saath hamaaraa jigar bhi le jaao main ek raah kaa patthar sahi magar logo kabhi mujhe kisi aazar ke ghar bhi le jaao tumhaare haath ki khushbu zarur mahkegi hamaari khaak se koi sharar bhi le jaao main zindagi ke andheron kaa dard sah lungaa tum apni yaad ke shams-o-qamar bhi le jaao main 'badr' khud hi masihaa huun apne zakhmon kaa ye jurm hai to mujhe daar par bhi le jaao"
Badr ShamsiBadr Shamsi
Quote
"na sochaa ye bhi qaatil ne ki us beva kaa kyaa hogaa jise ye aas thi ik din miraa beTaa baDaa hogaa agarche dekhne mein mere qad se baDh gayaa hogaa miraa saaya magar mere hi qadmon par giraa hogaa chalo chal kar javaani ki kunvaari laash par ro lein kisi muflis ki beTi kaa janaaza uTh rahaa hogaa salibon ke safar mein hai tabassum jis ke honTon par vo insaan intihaa-e-gham se paagal ho chukaa hogaa vo ho saktaa hai qaatil kab yaqin aaegaa logon ko hamaaraa khuun us ke haath mein rang-e-hinaa hogaa main jismon ki numaaish-gaah mein kyaa dekhne jaaun ki us ne har badan par apnaa chehra rakh diyaa hogaa bahut hassaas thaa ik shakhs jis ne khud-kushi kar li kisi akhbaar mein shaayad ye tum ne bhi paDhaa hogaa guzaari pattharon ke shahr mein kyon zindagi us ne ye socho kis qadar majbur aakhir aaina hogaa diye rakhte chalo ai 'badr' palkon ki munDeron par andheri raat mein aankhon kaa darvaaza khulaa hogaa"
Badr ShamsiBadr Shamsi
Quote
"mere gham ki manzil mein jaise vo bhi Thahre hain khvaab jo nahin dekhe kis qadar sunahre hain muddatein huiin un ko ek baar dekhaa thaa aaj tak nigaahon par aansuon ke pahre hain kab kisi ki sunte hain un ko dekhne vaale jin ki aankh raushan hai un ke kaan bahre hain kam nahin taghaaful se iltifaat bhi un kaa daagh vo bhi taaza hain zakhm ye bhi gahre hain kyaa khabar zamaane ko ham se kitne divaane zindagi ke daaman par ashk ban ke Thahre hain dil mein kyaa hai baaton se kuchh pata nahin chaltaa aaj-kal zamaane mein dost kitne gahre hain yaadgaar-e-maazi hain 'badr' apne daagh-e-dil qaafile bahaaron ke is jagah bhi Thahre hain"
Badr ShamsiBadr Shamsi
Quote
"aakhir-e-shab jo fazaaon mein chhiDaa hotaa hai vo bhi kyaa naghma-e-be-saaz-o-sadaa hotaa hai ham tiri bazm se uTThe to magar yuun uTThe jis tarah koi khud apne se judaa hotaa hai kyaa 'ajab shahr hai ye shahr-e-shanaasaai bhi jo bhi chehra nazar aataa hai nayaa hotaa hai tere haathon ki mahak aati hai un se aksar jin kitaabon pe miraa naam likhaa hotaa hai vaqt ki dhuup mein huun dasht-navard-e-haalaat apnaa saaya bhi jahaan qad se baDaa hotaa hai mere daaman pe jise kahte hain sab dil kaa lahu un ke haathon mein vahi rang-e-hinaa hotaa hai phir bahaar aai tiri yaad kaa mausam aaya phir mire dil kaa har ik zakhm haraa hotaa hai meri khaatir bhi zaraa logon ki jaanib dekho main vo katba huun jo chehron pe likhaa hotaa hai 'badr' yuun dil mein hai ab zakhm-e-tamannaa ki bahaar shaakh mein jaise koi phuul khilaa hotaa hai"
Badr ShamsiBadr Shamsi
Quote
"ab dil mein vo raa'naai-e-ehsaas nahin hai kis phuul mein varna tiri bu-baas nahin hai barbaad-e-mohabbat ki ye aasuda-mizaaji ab gardish-e-dauraan kaa bhi ehsaas nahin hai kaanTon pe guzaari hai sar-e-bazm-e-gulistaan ghunchon ko tabassum ki adaa raas nahin hai bakhshe hain tiri chashm-e-'inaayat ne vo nashtar is dil ko taDapne kaa bhi ehsaas nahin hai majburi-e-fitrat hai mire lab kaa tabassum mere dil-e-majruh kaa akkaas nahin hai ghunchon mein kahaan tere tabassum ki adaaein phulon mein tiri nikhat-e-anfaas nahin hai duniyaa-e-khalish ne’mat-e-gham yaas kaa 'aalam hai kaunsi daulat jo mire paas nahin hai aa jaaiye ab aap miri khalvat-e-gham mein is vaqt miraa dil bhi mire paas nahin hai har 'aks mein aa jaae nazar 'badr' vo lekin raushan abhi aaina-e-ehsaas nahin hai"
Badr ShamsiBadr Shamsi
Quote
"chupke chupke kaun ye dil par karam farmaae hai dard se taskin milti hai sukun taDpaae hai dushmanon se puchh kar dekho to az-raah-e-khulus mere baare mein mire ahbaab ki kyaa raae hai jaane kis 'aalam mein hain ehsaas ki majburiyaan main bhulaataa huun jise aksar vahi yaad aae hai ye mataa'-e-be-badal sab ke muqaddar mein kahaan gham 'ataa karne se pahle dil bhi dekhaa jaae hai chheD in taaron ko lekin haan zaraa aahista chheD yaad-e-jaanaan ab to dil kaa saaz TuuTaa jaae hai mere dil kaa haal koi puchhne vaalaa nahin aur meraa dil ki ghairon ke bhi gham apnaae hai main ne dekhaa hai vo 'aalam bhi nigaah-e-shauq kaa jab tiri tasvir mein bhi jaan si paD jaae hai jo mire dil par guzarti hai kisi ko kyaa khabar dekhne vaalaa miri surat se dhokaa khaae hai 'badr' har 'aalam mein hai 'aalam vahi pesh-e-nazar koi surat ho vahi surat nazar aa jaae hai"
Badr ShamsiBadr Shamsi
Quote
"jo chaand ko aaghosh mein lene pe aDaa thaa har chand vo bachcha thaa magar dil kaa baDaa thaa jab apni hi pahchaan se ran apnaa paDaa thaa ham aise jiyaalon pe bhi vo vaqt kaDaa thaa tufaan se laDne ki 'alaamat thaa jo socho yuun kahne ko miTTi kaa vo ik kachchaa ghaDaa thaa khul kar mujhe ik saans kaa lenaa bhi thaa mushkil haalaat kaa neza mire siine mein gaDaa thaa vo tiir chalaataa rahaa nazdik samajh kar lekin main nishaane se bahut duur khaDaa thaa dekhaa to hamein Tuut ke do TukDe hue the dushman ki safon mein bhi hamaaraa hi dhaDaa thaa har dhuup mein jalnaa hi rahaa us kaa muqaddar divaar kaa saaya pas-e-divaar paDaa thaa hangaama-e-jaan shor-e-anaa dil ki qayaamat main kitne mahaazon pe akelaa hi laDaa thaa har zakhm jo bakhshaa thaa mujhe us ki nazar ne ai 'badr' nagine ki tarah dil mein jaDaa thaa"
Badr ShamsiBadr Shamsi
Quote
"zindagi ki basti mein ham jahaan pe baste hain maut kitni mahngi hai zakhm kitne saste hain zakhm-e-zindagi le kar jis taraf bhi jaataa huun multafit nigaahon ke tiir se baraste hain mere ik tabassum ko muddatein huiin lekin aaj tak na jaane kyon log mujh pe hanste hain gham ke khushk sahraa bhi aansuon ke dariyaa bhi zindagi ki manzil tak manzilon ke raste hain vaadi-e-ta'alluq se ik dhuaan saa uThtaa hai aansuon ki baarish mein zakhm-e-dil jhulaste hain sirf mujh ko bakhshe hain jo tiri nigaahon ne un hasin zakhmon ko kitne dil taraste hain mujh se gham ke maare ko zindagi se kyaa matlab jaane kyon ye aavaaza log mujh pe kaste hain bhiig bhiig jaati hain kitni chaandni raatein un ki yaad ke baadal duur tak baraste hain ye bhi ik tasarruf hai un hasin nigaahon kaa 'badr' mere zakhm-e-dil phuul ban ke hanste hain"
Badr ShamsiBadr Shamsi
Quote
"main charaagh-e-shab-e-hasti huun ziyaa kyaa maangun zinda rahnaa hai to chalne ke sivaa kyaa maangun tohfa-e-chaak-e-garebaan ke sivaa kyaa maangun tujh se ai fasl-e-junun tu hi bataa kyaa maangun main ne chaahaa hai tujhe apne iraadon ki tarah aur main apne iraadon kaa sila kyaa maangun phuul mein nuur nahin chaand mein khushbu hi nahin in nazaaron se tiraa husn-e-adaa kyaa maangun kitne aansu hain mire gham ko sajaane ke liye aaj ki raat sitaaron se ziyaa kyaa maangun apne hi khuun mein Duubaa huaa paikar huun main main kisi aur se rangin qabaa kyaa maangun zakhm-e-ehsaas lahu de to bahaar aati hai ghuncha-e-dil ke liye mauj-e-sabaa kyaa maangun meri qismat mein to shaayad koi patthar bhi nahin vahshat-e-dil kaa kisi se main sila kyaa maangun dil kaa har daagh-e-tamannaa hai charaagh-e-manzil 'badr' main chaand-sitaaron se ziyaa kyaa maangun"
Badr ShamsiBadr Shamsi
Quote
"hamin se toD ke rishta safar pe niklaa hai hamaaraa saaya akelaa safar pe niklaa hai qadam qadam nae zakhmon ke phuul mahkaao ki koi rashk-e-masihaa safar pe niklaa hai hamaare gham ke sharik-e-safar hain aansu bhi charaagh le ke andheraa safar pe niklaa hai bataa rahaa hai havaaon kaa zor aaj ki shab koi charaagh akelaa safar pe niklaa hai samundaron se kaho farsh-e-raah ho jaaein sunaa hai aaj vo pyaasaa safar pe niklaa hai shikast-e-dil ke maraahil se pahle ham guzre hamaare baa'd zamaana safar pe niklaa hai tamaam 'umr jo ai 'badr' gardishon mein rahaa thakaa thakaa vo saveraa safar pe niklaa hai"
Badr ShamsiBadr Shamsi
Quote
"biite lamhon ki khushbuein zakhmon ki saughaat mili tanhaai ke sune-pan mein yaadon ki baaraat mili itne patthar barsaae hain phuul se naazuk honTon ne zakhmon ke ik Dher ke niche kuchli apni zaat mili TuuTe hain har ek qadam par bikhre hain har moD pe ham sang-dilon ke shahr mein ham ko shishe ki auqaat mili dil ke lahu ne aansu ban kar gham ko suhaanaa-pan bakhshaa jalte sahraa mein bhi ham ko rangon ki barsaat mili hans hans ke har zor-e-sitam ko ham ne dil par rok liyaa is shishe se jo Takraayaa us patthar ko maat mili yaadon kaa ban-baas likhaa thaa apne raam ki qismat mein ham ko bhari aabaadi mein bhi tanhaa apni zaat mili apne dil ko aur jalaa kar ham ne ujaalaa phailaayaa jis manzil par jis raste mein 'badr' jahaan tak raat mali"
Badr ShamsiBadr Shamsi