SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byBartar Madrasi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"kaTne ko 'umr kaT gai puchho na kyaa milaa apni khabar na mujh ko na apnaa pataa milaa gandum ki fasl ho nahin sakti javaar se mujh ko bure 'amal kaa natija buraa milaa sho'la ho yaa hubaab ho yaa ho gul-e-chaman koi na is jahaan mein hamein der-paa milaa ik ham hain jin ko zindagi-e-mukhtasar mili ik khizr-e-paak hain jinhein aab-e-baqaa milaa achchhaa samajh rahaa huun har ik aadmi ko main haalaanki jo milaa vo bure se buraa milaa gham mein giraa na aankh se ashkon ki qadr kar miTTi mein tu na aise dur-e-be-bahaa milaa mujh par khulaa jo man-‘arafa-nafsahu paDhaa pahchaanaa jis ne aap ko us ko khudaa milaa tauba hui qubul ba-vaqt-e-akhir bhi baab-e-karam khudaa kaa hamesha khulaa milaa jis ko vafaa kaa paas ho jis mein khulus ho aisaa na koi aadmi is daur kaa milaa de saaghar-e-tahi bhi to kuchh gham nahin mujhe aankhein uThaa nazar se nazar saaqiyaa milaa ab aarzu rahi na kisi aur chiiz ki sad-shukr hai ki mujh ko dar-e-mustafaa milaa kyaa kyaa milaa na baab-e-rasul-e-karim se 'izzat mili farogh milaa mudda'aa milaa khaaqaan-e-chin-o-qaisar-o-kisraa ki kyaa bisaat in se sivaa rasul ke dar kaa gadaa milaa rif’at mein martabe mein buzurgi mein yaa-nabi baa’d-e-khudaa na ham ko koi aap saa milaa mahshar mein aaftaab ki hiddat se bach gayaa daamaan-e-mustafaa kaa mujhe aasraa milaa duniyaa mein apni apni paDi hai har ek ko 'bartar' na koi banda-e-be-mudda’aa milaa"
Bartar MadrasiBartar Madrasi
Quote
"hoti hai hasinon se jo jafaa 'ushshaaq gavaaraa karte hain ye shauq se qurbaan hote hain vo naaz se maaraa karte hain haathon mein nahin shamshir magar ye qatl-e-‘aalam kaisaa hai jaati hain hazaaron ki jaanein vo khud ko sanvaaraa karte hain sikhaa hai gulistaan mein ham ne kaanTon se sabaq khuddaari kaa phulon ki tarah shabnam ke liye daaman na pasaaraa karte hain daaraai mubaarak ho tum ko ham mast hain apni gudDi mein qatre pe qanaa'at karte hain dariyaa se kinaaraa karte hain jab un se ye puchhaa jaataa hai vahshat hai kise is mahfil mein vo ek adaa se meri taraf aankhon se ishaaraa karte hain is mein bhi khudaa ki hikmat hai duniyaa mein nahin jo ham-rangi kuchh log ba-sehhat jiite hain kuchh dukh mein guzaaraa karte hain daulat thi lagaav rakhte the hai tark-e-ta'alluq ghurbat mein jab dil mein biThaate the vo hamein ab dil se utaaraa karte hain ik daur vo thaa sab mil-jul kar dukh-dard baTaayaa karte the ik daur ye hai ham aapas mein parkhaash gavaaraa karte hain din-raat taDaptaa rahtaa huun hai meri khabar un ko 'bartar' karne ko vo parda karte hain chhup-chhup ke nazaaraa karte hain"
Bartar MadrasiBartar Madrasi
Quote
"khair guzri tiri nazar na hui meri duniyaa tah-o-zabar na hui raah takte tamaam 'umr kaTi shaam-e-gham ki abhi sahar na hui mujh ko taDpaa ke khud taDapte ho bekali meri be-asar na hui hanste hanste hi pi liye main ne aankh ashk-e-alam se tar na hui kaise saamaan-e-'aish jam' kiye maut sar par thi ye khabar na hui laakh chaahaa ki zarb-e-gham se bachun koi tadbir kaargar na hui mausam-e-gul to baarhaa aayaa shaakh-e-dil meri baarvar na hui khauf thaa qabr kaa qayaamat kaa dil ko taskin 'umr-bhar na hui lag gai 'umr-e-khizr kyaa us ko kyon shab-e-hijr mukhtasar na hui vo maze kyaa hain jo idhar na uDe vo khalish kyaa hai jo udhar na hui is qarine se de diyaa tu ne lene vaale ko kuchh khabar na hui hai khataa dil ko Thes pahunchaani ye khataa mujh se bhuul kar na hui main ne dekhe 'uyub auron ke haal-e-khud par miri nazar na hui aazmaaish qadam qadam par thi 'ishq ki raah be-khatar na hui khuub the she'r to sataaish ki mujh se naa-qadri-e-hunar na hui kyaa gae saath aaftaab gayaa vo na aae abhi sahar na hui jis tarah kaaTni thi ai 'bartar' us tarah zindagi basar na hui"
Bartar MadrasiBartar Madrasi
Quote
"makaan hai kisi kaa sukunat kisi ki miraa dil hai aur hai mohabbat kisi ki jo vaaqif nahin khud haqiqat se apni vo kyaa khaak jaane haqiqat kisi ki yahaan ek muhtaaj hai dusre kaa yahaan hai kisi ko zarurat kisi ki idhar ham pe zulm-o-sitam TuTte hain udhar hai kisi par 'inaayat kisi ki jo honi hai vo ho ke rahti hai ik din chali hai kahaan pesh-e-qismat kisi ki sabab kyaa hai vo mehr se dekhte hain samajhtaa huun aai hai shaamat kisi ki bure se buraa hai vo meri nazar mein jo insaan kartaa hai ghibat kisi ki khudaa ne hamein di hai aisi tabi'at ki dekhi na jaati hai aafat kisi ki zabaan apni qaabu mein rakkhi na jaae to jaati hai 'izzat ki 'izzat kisi ki hazaaron mein do ek aise bhi honge kisi ki si hogi shabaahat kisi ki na jab tak ho qaul-o-'amal mein tataabuq karegi asar kyaa nasihat kisi ki karo justuju apni manzil milegi na bekaar jaati hai mehnat kisi ki yahi hoti aai hai bazm-e-jahaan mein hai aamad kisi ki to rukhsat kisi ki nahin imtiyaaz-e-bad-o-nek mushkil Tapakti hai surat se sirat kisi ki na tan hai hamaaraa na jaan hai hamaari ye sab kuchh hai 'bartar' amaanat kisi ki"
Bartar MadrasiBartar Madrasi
Quote
"ik umr se dil mein hai nihaan chaah kisi ki vo dekhte baiThe hain abhi raah kisi ki auron ko sataane se tire haath uThaa le Dar hai ki na lag jaae tujhe aah kisi ki rakkhaa na karo daulat-e-duniyaa pe bharosa ye gaah tumhaari hai to hai gaah kisi ki girdaab-e-havaadis se ubharnaa nahin mushkil le Dubti hai himmat-e-kotaah kisi ki hai qahr-e-ilaahi kaa sabab kibr kisi kaa hai vajh-e-tabaahi havas-e-jaah kisi ki ai maah-e-munavvar rukh-e-raushan hai kisi kaa ai kaahkashaan tu hai guzargaah kisi ki maangaa hai saliqe se bhi 'bartar' kabhi tum ne kahte ho ki suntaa nahin allaah kisi ki"
Bartar MadrasiBartar Madrasi
Quote
"is mohabbat mein kuchh mazaa bhi nahin jis mein ranjish nahin balaa bhi nahin chal diye kyaa jahaan se ahl-e-vafaa aaj un kaa kahin pataa bhi nahin aisaa insaan bhi ghanimat hai jo bhalaa bhi nahin buraa bhi nahin mujh se mil kar vo chal diye chup-chaap kuchh kahaa bhi nahin sunaa bhi nahin ai gulo muskuraae jaate ho tum ko khauf-e-khizaan zaraa bhi nahin jis ne duniyaa mein dauD-dhup na ki us ko duniyaa se kuchh milaa bhi nahin apni apni lagi hai sab ko yahaan ek ko ek puchhtaa bhi nahin"
Bartar MadrasiBartar Madrasi
Quote
"khalq ki khalq chali aati hai maikhaane mein aisi kyaa chiiz hai saaqi tire paimaane mein kaun kahtaa hai gulistaan hi mein aati hai bahaar phuul khilte hue dekhe gae viraane mein teri mahfil ke vo aadaab bajaa laae kyaa itni tahzib kahaan hai tire divaane mein lauT jaaeinge taDap jaaeinge sunne vaale dard hai soz hai gham hai mire afsaane mein shoala-e-shama se jalne ki nahin kuchh parvaa vaah kyaa himmat-e-mardaana hai parvaane mein mukhtalif Dhab se ibaadat hai khudaa ki har jaa kaaba-e-paak mein girjaa mein sanam-khaane mein"
Bartar MadrasiBartar Madrasi
Quote
"shab-e-furqat mein aankhon se miri ashk-e-alam nikle andheraa bhi ziyaada thaa sitaare bhi na kam nikle hamaare ghar mein Daaka Daal kar Daaku pashemaan hain shikasta saaz-o-saamaan aur kuchh phuTe diram nikle main aisaa sakht-jaan huun aazmaa kar dekh le qaatil nahin mumkin ki teri burrish-e-khanjar se dam nikle nahin jaah-o-nasab se naamvar 'iqbaal' yaa 'ghaalib' ‘alam-bardaar-e-shohrat un ke rashhaat-e-qalam nikle kisi par hai karam apnaa kisi se raah rakhte ho bataao ek ham kyon takhta-e-mashq-e-sitam nikle huaa haq jalva-gar jis dam rafu-chakkar huaa baatil khudaa kaa ghar banaa kaa'ba to kaa'be se sanam nikle miri taqdir bhi yaarab hai koi kaakul-e-jaanaan agarche laakh suljhaayaa na is ke pech-o-kham nikle mujhe rakkhaa andhere mein sar-o-saamaan-e-'ishrat ne charaagh-e-raah gar nikle to mere daagh-e-gham nikle kisi se ham-sukhan hote lagaa kartaa hai Dar mujh ko kahin aisaa na ho ik baat mein pahlu-e-dam nikle jahaan kaanTe vahaan gul hain ye duniyaa mazhar-e-azdaad 'adaavat karne vaalon mein mohabbat-kesh ham nikle liyaa un kaa sahaaraa Dubne vaalon ne ai 'bartar' jinhein naakaara ham samjhe vahi tinke aham nikle"
Bartar MadrasiBartar Madrasi
Quote
"jise na hijr ne maaraa 'azaab kyaa jaane jo muztarib na ho vo iztiraab kyaa jaane tajalli-e-rukh-e-mahtaab par hai apni nazar zamaana daagh-e-dil-e-maahtaab kyaa jaane ye laazmi hai ki sikhe vo chashm-e-tar se miri tariq-e-aab-fishaani sahaab kyaa jaane 'alam se tegh se hai vaasta mujaahid ko vo tabl-o-barbat-o-chang-o-rabaab kyaa jaane judaa ho aab se jab ho khabar tujhe maahi darun-e-bahr hai to pech-o-taab kyaa jaane khabar fanaa ki jo hoti na sath par aataa numud-e-khud kaa natija hubaab kyaa jaane galim-e-kohna hai jhuggi hai rukhi-sukhi hai faqir-e-gosha-nashin ro’b-o-daab kyaa jaane khudaa-e-paak hidaayat na de use jab tak vo ru-siyaah siraat-e-savaab kyaa jaane ho tul-e-umr to hotaa hai tajraba vaafar jo kuchh hai shaikh ko maa'lum shaab kyaa jaane raheinge bheDiye bheDon ki khaal mein kab tak jhalak paDegi haqiqat naqaab kyaa jaane hijaab-e-ghaib mein kyaa hai kisi ko kyaa maa'lum koi ba-parda nihaan inqalaab kyaa jaane tumhaare naaz na apni nazir rakhte hain tumhaari shokh-mizaaji javaab kyaa jaane baraah-e-raast pahunchti hai arsh-e-aa’laa tak fughaan-e-zulm-rasida hijaab kyaa jaane paDe na jis ki nazar husn-e-she’r par mere vo kor-chashm hai moti ki aab kyaa jaane judaa hai raah kisi ki kisi se ai 'bartar' janaab-e-shaikh ki rind-e-kharaab kyaa jaane"
Bartar MadrasiBartar Madrasi
Quote
"rukhsat hui javaani naqsha badal rahaa hai thaa naaz tum ko jis par vo husn Dhal rahaa hai ho jaae kuchh se kuchh to kyaa hai maqaam-e-hairat ik ek pal mein rang-e-duniyaa badal rahaa hai hai dil-lagi kisi ki haal-e-zabun kisi kaa hansti hai sham'-e-mahfil parvaana jal rahaa hai vo aaj-kal tavajjoh karte hain meri jaanib dil is liye khushi se baanson uchhal rahaa hai puchho usi ke dil se kyaa vaqt ki hai qimat ghaflat mein 'umr kho kar jo haath mal rahaa hai dekhaa hai mai-kade mein ye rang shaikh ji kaa pagDi uchhal rahi hai paanv phisal rahaa hai kis kis tarah se mujh ko vo aazmaa rahe hain main mar rahaa huun un kaa armaan nikal rahaa hai is ki nahin khabar kuchh ghaTti hai 'umr apni ham ye samajh rahe hain bas vaqt Tal rahaa hai gardan miri uDaa kar qaatil hai aabdida dekho miri karaamat lohaa pighal rahaa hai aankhon pe teri zaalim kyaa paD gayaa hai parda ghuncha samajh ke mere dil ko masal rahaa hai kyaa chiiz zindagi hai kahte hain maut kis ko ye masala abhi tak mohtaaj-e-hal rahaa hai qimat mein qadr mein hain anmol she'r mere dariyaa-e-tab' apnaa moti ugal rahaa hai jis daur mein thaa raaij guzraa vo daur 'bartar' is daur mein vafaa kaa sikka na chal rahaa hai"
Bartar MadrasiBartar Madrasi
Quote
"dard-e-tanhaai alag hai shaadmaani hai alag meraa qissa aur hai un ki kahaani hai alag ek hai mausam khizaan kaa ek hai fasl-e-bahaar daur-e-piri hai alag ahd-e-javaani hai alag jaam-e-sahbaa mein kahaan aisaa maza hai saaqiyaa teri aankhon ki sharaab-e-arghavaani hai alag hashr mein pesh-e-khudaa khulte hain sab aib-o-hunar duudh kaa duudh aur hai paani kaa paani hai alag vo hai maidaan-e-jazaa ye aazmaaish ki jagah daar-e-uqbaa aur hai duniyaa-e-faani hai alag hukm kaa sikka chalaanaa mulk mein hai aur baat mulk vaalon ke dilon par hukmraani hai alag"
Bartar MadrasiBartar Madrasi
Quote
"taqdir badalni naa-mumkin bande se khudaai kyaa hogi jaisi hai guzarni guzregi dushman se buraai kyaa hogi jab fasl-e-bahaaraan aai thi khushiyon mein parinde gaate the gulshan mein khizaan kaa 'aalam hai ab naghma-saraai kyaa hogi be-‘aql hain vo naadaan hain vo jo aas lagaae baiThe hain jab khud na sudhaarein haal apnaa auron se bhalaai kyaa hogi ruk jaate hain dil hi dil mein mire kyaa khaak bulandi par pahunchein naale na zabaan tak aate hain taa-‘arsh rasaai kyaa hogi mehnat se bachaate hain daaman piiri pe utar aae hain shaikh aasaan kamaai haath lagi dushvaar kamaai kyaa hogi bachne ki nahin surat ai dil bekaar hain teri tadbirein nazron se tahaffuz kyaa hogaa zulfon se rihaai kyaa hogi kyaa khuub nibhaai shart-e-vafaa 'bartar' ko akelaa chhoD gae ru-posh hue ho zer-e-lahad ab jalva-numaai kyaa hogi"
Bartar MadrasiBartar Madrasi
Quote
"karun bayaan agar us ki bevafaai kaa zabaan se naam na le koi aashnaai kaa na ishva-saazi na ghamze na naaz phulon mein hai saada husn mein andaaz dilrubaai kaa badan se jaan nikalti hai ye khabar de kar kabhi hai vasl kaa mausam kabhi judaai kaa huaa halaak jo haabil to kiyaa kis ne shurua-e-dahr se qaatil hai bhaai bhaai kaa habaab sath pe aate hi phuuT jaate hain jigar-kharaash hai anjaam khud-numaai kaa jahaan mein koi kisi ki khabar nahin letaa sunaaun haal kise apni be-navaai kaa dikhaa ke aaina kah do ki main muqaabil bhi buton ke munh se ho daavaa agar khudaai kaa"
Bartar MadrasiBartar Madrasi
Quote
"na jaantaa huun ki kyaa kyaa hain khaamiyaan meri samajh rahaa huun ki duniyaa hai qadr-daan meri na nikli aah labon se na aankh se aansu kabhi 'ayaan na hui sozish-e-nihaan meri abhi chhalakne lage un ki aankh se aansu abhi kahi na gai mujh se daastaan meri bahaal-e-taish kisi ko buraa-bhalaa na kahun khudaa kare mire qaabu mein ho zabaan meri ho laa-javaab agar tum to be-misaal huun main sitam sitam hai tumhaaraa fughaan fughaan meri khudaa ki den hai sab kuchh vo chaahe jab le le na ghar miraa hai na daulat miri na jaan meri koi sune na sune is se kyaa gharaz mujh ko ye chaahtaa huun sune khaaliq-e-jahaan meri mujhe na Dar hai dikhaayaa kare falak aankhein agarche piir huun himmat abhi javaan meri yahaan kabhi na bani hai kisi ki ai 'bartar' kaTegi chain se kyaa zer-e-aasmaan meri"
Bartar MadrasiBartar Madrasi