Quote
"uf intihaa-e-shauq mein ab kyaa kare koi kahte hain pahle apni tamanna kare koi bedaad-e-husn ye hai to phir kyaa kare koi rusvaaiyon ke baad bhi parda kare koi tum bhi kaho to dil ko bataa dein ab us kaa haal ab vaqt vo nahin hai ki parda kare koi khul jaaein husn-o-ishq ki nairangiyon ke raaz dekhun jo phir kisi ki tamanna kare koi bad-naamiyaan nasib mein hain sab ke varna yaan koi na kuchh miTaae na paidaa kare koi kuchh aisaa haal hai kisi bimaar-e-ishq kaa vo khud bhi kah rahe hain ki ab kyaa kare koi jhalkegaa ikhtiyaar mein mahbubiyon kaa rang meri nazar se gul kaa tamaashaa kare koi zarron mein gunjti hai sadaa-e-shikast-e-dil hai shart gosh-e-dil ko magar vaa kare koi jab kuchh samajhne dein na kisi ki tajalliyaan phir kyon mire khayaal ko rusvaa kare koi hai zarra zarra mahshar-e-aashob-e-shauq-e-der ab vaqt aagyaa hai ki pardaa kare koi gum ho chuki hai qudrat-e-abdaa-e-aarzu 'bekhud' harim-e-naaz to hai kyaa kare koi"







