SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byD. Raj Kanwal(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"ham ko chheDaa to machal jaaeinge armaan ki tarah ham pareshaan hain tiri zulf-e-pareshaan ki tarah har gali aai nazar kucha-e-jaanaan ki tarah ham ko duniyaa ye lagi shahr-e-nigaaraan ki tarah kam na hogi ye khalish dil ki kisi bhi surat dil mein sau gham hain makin khaar-e-mughilaan ki tarah log ruk ruk ke chale jaanib-e-manzil lekin ham rahe garm-e-safar gardish-e-dauraan ki tarah ab to har shakhs pe hotaa hai gumaan qaatil kaa koi miltaa hi nahin aadmi insaan ki tarah ham ne bakhshe hain andheron ko ujaale lekin ham hi be-nur rahe gor-e-gharibaan ki tarah ham 'kanval' aap mein rahte hain magar us se alag ham to gulshan mein bhi rahte hain bayaabaan ki tarah"
D. Raj KanwalD. Raj Kanwal
Quote
"kahne ko har qadam pe ujaalon kaa jaal hai phir bhi vo tirgi hai ki chalnaa muhaal hai dil kaa mu'aamla na jigar kaa savaal hai daur-e-junun mein jaan kaa bachnaa muhaal hai vo aaina bhi dekhte jaate hain saath saath kahte bhi jaa rahe hain ki vallah kamaal hai maail-ba-iltifaat unhein paa rahaa huun main is mein bhi lag rahaa hai zamaane ki chaal hai jis kaa javaab de na saki maut ki nami ye zindagi vo ek sulagtaa savaal hai ab rahbaron ke bas ki kahaan rah gai hai baat manzil se puchh leinge tiraa kyaa khayaal hai qaaem hamaare dam se 'kanval' hai vaqaar-e-'ishq har shai ko is jahaan mein vagarna zavaal hai"
D. Raj KanwalD. Raj Kanwal
Quote
"hosh mein aataa hai insaan Thokarein khaane ke baa'd din nikaltaa hai andheri raat Dhal jaane ke baa'd har koi duniyaa mein apne ko samajhtaa hai khudaa ek divaana paDaa hai ek divaane ke baa'd aap aankhon se pilaaein aur phir dekhein zaraa ek paimaana bharegaa ek paimaane ke baa'd kaun kahtaa hai nahin hai 'ishq meraa kaamyaab zikr karte hain vo meraa apne afsaane ke baa'd ek parda bhi rahegaa dil-lagi ki dil-lagi ek masjid bhi banaao ek maikhaane ke baa'd be-tuki kartaa hai baatein jab talak piitaa nahin hosh mein aataa hai vaa'iz jaam chhalkaane ke baa'd kyaa kare koi bharosa rahnumaaon par 'kanval' khud bahak jaate hain aksar ham ko samjhaane ke baa'd"
D. Raj KanwalD. Raj Kanwal
Quote
"khulti hai chaandni jahaan vo koi baam aur hai dil ko jahaan sukun mile vo to maqaam aur hai kahti hai ruuh jism se shaayad tujhe khabar nahin meraa maqaam tu nahin meraa maqaam aur hai sahmi hui ye khaamushi honTon ki tere kapkapi kahti hai saaf naama-bar kuchh to payaam aur hai shikva-e-be-rukhi pe vo kahne lage ki dekhiye nazron ki baat aur hai dil kaa salaam aur hai piite rahe hain umr-bhar lekin vahi hai tishnagi jis kaa nasha hai jaavedaan vo koi jaam aur hai vaqt-e-gunaah der tak kahtaa hai mujh se dil miraa kaar-e-hayaat-e-ishq mein teraa to kaam aur hai har shai pe is jahaan ki pardaa hai ik fareb kaa kahte hain sab 'kanval' mujhe go meraa naam aur hai"
D. Raj KanwalD. Raj Kanwal
Quote
"baarhaa jazbaat ki maujon mein bah jaate hain log choT kitni bhi kaDi ho dil pe sah jaate hain log manzilon kaa 'umr bhar miltaa nahin un ko nishaan kaarvaan se is qadar pichhe bhi rah jaate hain log vaqt se Takraa ke zinda rah nahin saktaa koi vaqt ki aankhon se aansu ban ke bah jaate hain log ik mo'amma hi rahaa ye ahl-e-duniyaa ke liye chhoD kar duniyaa ko aakhir kis jagah jaate hain log ham nahin karte gila shikva kisi se ai 'kanval' ghum-phir kar baat lekin dil ki kah jaate hain log"
D. Raj KanwalD. Raj Kanwal
Quote
"nuur hi nuur hai zulmaat ke aaine mein raqs karti hai sahar raat ke aaine mein thak gaiin DhunDh ke jab aap ko meri nazrein mil gae aap khayaalaat ke aaine mein jab bhi maangaa hai kabhi apni vafaaon kaa sila un ko paayaa hai savaalaat ke aaine mein yaad mahki jo tiri raat ki raani ban kar khil uThe phuul se jazbaat ke aaine mein aa giraa vaqt ke paani mein kahaan se kankar ek halchal si hai haalaat ke aaine mein dekh letaa huun main har roz hazaaron chehre apne guzre hue lamhaat ke aaine mein kyaa huaa shaam dhuaan ban ke jo aai hai 'kanval' chaand ubhregaa abhi raat ke aaine mein"
D. Raj KanwalD. Raj Kanwal
Quote
"pahunch kar mai-kade ke dar pe yuun aai hansi mujh ko ki le aai kahaan aakhir ye meri tishnagi mujh ko bahut sochaa hai lekin ye nahin samjhaa ki aakhir kyon andheron mein liye phirti hai aksar raushni mujh ko rah-e-ulfat mein samjhaate rahe ik dusre ko ham kabhi divaangi ko main kabhi divaangi mujh ko tujhe ai gardish-e-dauraan lagaa letaa gale lekin sanbhalne hi nahin deti hai meri be-khudi mujh ko main har ik raah-rau se puchhtaa huun raah manzil ki mujhe Dar hai ki le Dubegi meri saadgi mujh ko abhi to zakhm khaae hain abhi to dil hi TuuTaa hai khudaa jaane abhi kyaa kyaa dikhaae dil-lagi mujh ko hui muddat sukun-e-dil 'kanval' jaataa rahaa apnaa bahut mahngi paDi hai zindagi se dosti mujh ko"
D. Raj KanwalD. Raj Kanwal
Quote
"manzil dikhaai de na koi raasta mujhe le aae hain kahaan pe mire rahnumaa mujhe ai vaqt phir se denaa zaraa aaina mujhe hairat se tak rahaa hai jahaan-e-vafaa mujhe shikva rahaa kisi se na koi gila mujhe tum mil gae to saaraa jahaan mil gayaa mujhe main so chalaa thaa apne takabbur ki chhaanv mein achchhaa huaa jo aap ne chaunkaa diyaa mujhe kaise karun main dil se judaa ab mataa’-e-gham le de ke ik usi kaa to hai aasraa mujhe duniyaa mein har qadam pe nigaahon ki bhiiD thi rah rah ke yaad aayaa tiraa dekhnaa mujhe ik pyaar ki nazar se yunhi dekh kar 'kanval' phir gham se kar gayaa hai koi aashnaa mujhe"
D. Raj KanwalD. Raj Kanwal
Quote
"bashar ko jis se mayassar kabhi khushi na hui vo ik mazaaq huaa koi zindagi na hui nazar kisi ki ujaalon se bhar gai daaman charaagh ham ne jalaae to raushni na hui khudaa ki aaD mein kuchh log pujte hain sanam ise fareb kaho ye to bandagi na hui tumhaari yaad ke marham se bhi sukun na milaa kisi tarah bhi mire dard mein kami na hui vo jis pe ham bhi umidon ke gul khilaa sakte vo shaakh sahn-e-chaman mein kabhi hari na hui agar hai ‘ishq-e-haqiqi to jaan nisaar karo salib-o-daar se Darnaa to 'aashiqi na hui hazaar shikve gile lab pe raqs karte rahe vo jab mile to 'kanval' ham se baat bhi na hui"
D. Raj KanwalD. Raj Kanwal
Quote
"duniyaa patthar pheink rahi hai jhunjhlaa kar farzaanon par ab vo kyaa ilzaam dharegi ham jaise divaanon par dil ki kaliyaan afsurda si har chehra maayus magar baagh mahakte dekh rahaa huun ghaaTon par shamshaanon par patthar dil hain log yahaan ke ye patthar kyaa pighleinge kis ne baarish hote dekhi tapte registaanon par jin ki ek nazar ke badle ham ne duniyaa Thukraa di naam hamaaraa sun kar rakkhein haath vo apne kaanon par aahein aansu pesh kiye to ghabraa ke munh pher liyaa un ko shaayad ghussa aayaa mere in nazraanon par kyaa taqdir kaa shikva yaaro apni apni qismat hai apnaa haath gayaa hai aksar TuuTe se paimaanon par aaj 'kanval' ham kuchh bhi kah lein baat magar ye sachchi hai aaj kaa ik ik pal bhaari hai pichhle kai zabaanon par"
D. Raj KanwalD. Raj Kanwal
Quote
"phuul jo sahn-e-bayaabaan mein javaan hotaa hai ‘azmat-e-fasl-e-bahaaraan kaa nishaan hotaa hai qatra-e-ashk ko samjho na zaraa saa paani qatra-e-ashk gham-e-dil ki zabaan hotaa hai hain ye be-kaar sabhi dair-o-haram ke jhagDe laa-makaan ho jo kahin us kaa makaan hotaa hai jab bhi aati hai kabhi fasl-e-bahaaraan ai dost aas-paas us ke kahin daur-e-khizaan hotaa hai jaane kyaa soch ke ho jaataa huun main bhi ghamgin jab bhi mahfil mein kabhi zikr-e-butaan hotaa hai aaj ke daur mein insaan na DhunDo yaaro aaj ke daur mein insaan kahaan hotaa hai apni tahzib ki ye aakhiri manzil hai 'kanval' reg-zaaron pe bahaaron kaa gumaan hotaa hai"
D. Raj KanwalD. Raj Kanwal
Quote
"kisi ke honT jab Duube sharaab-e-arghavaani mein huaa mahsus jaise aag lapki sard paani mein bahut dilchasp hai lekin abhi tak naa-mukammal hai hamaaraa naam bhi likh do mohabbat ki kahaani mein karam kaa shukriya lekin hamein itnaa bataa do kyaa khulus-e-dil bhi shaamil hai tumhaari mehrbaani mein na dekho khaamushi meri ghalat-andaaz nazron se hazaaron dard goyaa hain miri ik be-zabaani mein kabhi dil chiir kar niklaa kabhi Tapkaa nigaahon se lahu mein kis balaa kaa josh thaa ‘ahd-e-javaani mein nahin kuchh boltin lekin inhein be-kaar mat samjho nigaahein kaam aati hain dilon ki tarjumaani mein kisi kaa dil jale jis se kisi ki aankh bhar aae lagaa do aag behtar hai 'kanval' us shaadmaani mein"
D. Raj KanwalD. Raj Kanwal
Quote
"kaandhon pe zindagi ki salibein liye hue gham phir rahe hain meraa pata puchhte hue rahbar bhi raahzan bhi hain logon ki bhiiD mein aao chalein idhar se udhar dekhte hue ho aae jab ghurur kabhi khud pe aap ko suraj ko dekh lenaa kahin Dubte hue pahli si anjuman mein rahi baat ab kahaan ji Dar rahaa hai ab to yahaan bolte hue afsos kaaT di hai yunhi zindagi tamaam duniyaa se jaa rahe hain yahi sochte hue aakhir yahin milegaa tumhein dil ke aas-paas sadiyon se phir rahe ho jise DhunDte hue lo vo bhi kah rahe hain 'kanval' bevafaa mujhe guzri hai ek 'umr jinhein pujte hue"
D. Raj KanwalD. Raj Kanwal
Quote
"chhiTke hain tirgi mein sitaare kabhi kabhi kaam aa gae hain gham ke sharaare kabhi kabhi tufaan ban gae hain kabhi mere vaaste maujon mein mil gae hain kinaare kabhi kabhi apnon ki be-rukhi se taghayyur ke khauf se begaane ban gae hain hamaare kabhi kabhi ai dost tum se tark-e-ta'alluq ke baavajud khvaabon mein kho gae hain tumhaare kabhi kabhi be-khauf ham qazaa ki hadon se guzar gae karti rahi hayaat ishaare kabhi kabhi rote rahe hain yaas ke maare tamaam raat din is tarah bhi ham ne guzaare kabhi kabhi tanhaa-ravi ki khair mohabbat mein ai 'kanval' Thukraa diye hain ham ne sahaare kabhi kabhi"
D. Raj KanwalD. Raj Kanwal
Quote
"chhoD kar jannat jidhar bhi hazrat-e-aadam gae saath saath un ke hazaaron kaarvaan-e-gham gae rafta-rafta jab miri aankhon par aansu jam gae yuun lagaa jaise musaafir manzilon par tham gae be-sabaati par tu jin ke raat bhar giryaan rahi phuul kab ke vo chaman se dekh ai shabnam gae mai-kada viraan saaghar sar-nigun saaqi udaas zindagi se ab surur-o-kaif ke 'aalam gae agle vaqton ki kahaan ab rah gaiin baatein huzur husn ki saada-mizaaji 'ishq ke dam-kham gae anjuman ki anjuman tasvir ban kar rah gai is adaa se aaj un ki anjuman mein ham gae rah gai ab chilchilaati dhuup nafrat ki 'kanval' chaandni raatein gaiin vo pyaar ke mausam gae"
D. Raj KanwalD. Raj Kanwal
Quote
"vafaa jis ki hasti mein shaamil nahin hai vo dil hi mohabbat ke qaabil nahin hai jo manzil pe le jaae tufaan kahaan kaa jo kashti Dubo de vo saahil nahin hai iraadon pe qaaem hai hasti hamaari agar jiinaa chaaho to mushkil nahin hai charaaghon ke badle yahaan dil jalaao ye duniyaa sitaaron ki mahfil nahin hai jidhar se vo guzre yahi shor uThThaa miraa dil nahin hai miraa dil nahin hai zamaane ki gardish mein uljhaa huaa huun miraa dil magar tujh se ghaafil nahin hai 'kanval' jis ko samjhaa hai tu apni manzil vo manzil kaa dhokaa hai manzil nahin hai"
D. Raj KanwalD. Raj Kanwal
Quote
"aankhon se koi mere kahin khvaab le gayaa yaa'ni tamaam halqa-e-ahbaab le gayaa chheDaa hi thaa sitaar pe ik naghma-e-hayaat haathon se vaqt chhin ke mizraab le gayaa aansu ki ek buund kaleja nigal gai patthar ko ek qatra-e-simaab le gayaa dil ki kitaab luTne vaalaa bhi khuub thaa dilchasp jo thaa sab se vahi baab le gayaa jal-bujh ke rah gayaa hai har ik yaad kaa charaagh chun chun ke vaqt gauhar-e-naayaab le gayaa har gaam par lagi thi yahaan rahzanon ki bhiiD jis ke lagaa jo haath vo asbaab le gayaa qaatil ke ruup mein vo kashish thi ki ai 'kanval' maqtal mein mujh ko phir dil-e-be-taab le gayaa"
D. Raj KanwalD. Raj Kanwal
Quote
"har gosha-e-chaman mein navaa-e-hazaar hai shaayad ki aaj aamad-e-fasl-e-bahaar hai daaim yahaan khushi hai na gham paaedaar hai phir kis liye jahaan mein bashar sogvaar hai vaise to zindagi se ta'alluq nahin rahaa zinda huun is liye ki tiraa intizaar hai hain un ke paas saare zamaane ki ne'matein le de ke mere paas dil-e-daagh-daar hai main jaantaa huun ab vo na aaeinge lauT kar vaa'de par un ke phir bhi mujhe e'tibaar hai lagtaa hai ab qarib hi manzil hai dosto chhaayaa huaa fazaa mein jo gard-o-ghubaar hai daa'vaa to kar rahe hain sabhi hosh kaa 'kanval' dekho to hosh mein bhi koi hoshiyaar hai"
D. Raj KanwalD. Raj Kanwal
Quote
"log jin ko aaj tak baar-e-garaan samjhaa kiye ham unhin lamhon ko umr-e-jaavedaan samjhaa kiye maut ko ham zindagi ki tarjumaan samjhaa kiye qatra-e-dariyaa ko bahr-e-be-karaan samjhaa kiye go haqiqat hi haqiqat thi saraapaa ham magar zindagi ko daastaan hi daastaan samjhaa kiye hasrat-e-sair-e-gulistaan khvaab ban kar rah gai vo qafas niklaa jise ham aashiyaan samjhaa kiye haan vahi ik shakhs niklaa be-muravvat bevafaa ham jise jaan-e-tamannaa jaan-e-jaan samjhaa kiye ho gae ik baar phir ham khud-farebi ke shikaar vo zamin nikli jise ham aasmaan samjhaa kiye haae vo niklin munazzam rahzanon ki Toliyaan aaj tak jin ko 'kanval' ham kaarvaan samjhaa kiye"
D. Raj KanwalD. Raj Kanwal
Quote
"aankhon se ho ke dil mein vo surat utar gai mumkin na thi jo baat vahi baat kar gai kyaa jaane kyaa vo gham thaa jo har dil ko chhu gayaa jo aankh bhi gai tiri mahfil se tar gai meraa hi aashiyaan thaa girin jis pe bijliyaan meri hi khaak thi jo havaa mein bikhar gai Tikti na thi kisi pe zamaane mein aaj tak dekhaa tumhein to phir na kisi par nazar gai jaate hue jahaan se yahi sochte hain log haae vo zindagi vo javaani kidhar gai daaman chhuDaa ke aap chale to gae magar ham kyaa kahein jo dil pe hamaare guzar gai roe shab-e-firaaq ham itnaa ki ai 'kanval' daaman nichoDti hui apnaa sahar gai"
D. Raj KanwalD. Raj Kanwal
Quote
"insaan nahin vo jo gunahgaar nahin hain vo kaun saa gulshan hai jahaan khaar nahin hain jo log mohabbat mein giraftaar nahin hain vo log haqiqat ke parastaar nahin hain duniyaa mein mayassar hai abhi jins-e-mohabbat sad haif ki pahle se kharidaar nahin hain TuuTe hain na TuTeinge kabhi bojh se gham ke naazuk hain magar ret ki divaar nahin hain dil shauq se dein aap magar soch samajh kar duniyaa mein sabhi log vafaadaar nahin hain jab azm-e-safar kar hi liyaa aao chalein ham tufaan ke thamne ke to aasaar nahin hain chaDhtaa hai 'kanval' kaun salibon pe khushi se sab log masihaa ke to autaar nahin hain"
D. Raj KanwalD. Raj Kanwal
Quote
"duniyaa mein dil lagaa ke bahut sochte rahe kaanTon ko gudgudaa ke bahut sochte rahe kal subh ek shaakh ye do adh-khilaa gulaab thoDaa saa muskuraa ke bahut sochte rahe kyaa jaane chaandni ne sitaaron se kyaa kahaa shab-bhar vo sar jhukaa ke bahut sochte rahe TuuTaa kahin jo shaakh se ghuncha to ham vahin pahlu mein dil dabaa ke bahut sochte rahe kyaa jaane kis liye vo nazar ke savaal par ham se nazar bachaa ke bahut sochte rahe itnaa to yaad hai ki mohabbat ke zikr par honTon ko vo dabaa ke bahut sochte rahe haathon se gir ke chuur huaa jaam jab 'kanval' TukDe uThaa uThaa ke bahut sochte rahe"
D. Raj KanwalD. Raj Kanwal
Quote
"kisi ne baa-vafaa samjhaa kisi ne bevafaa samjhaa mujhe ghairon ne kyaa samjhaa mujhe apnon ne kyaa samjhaa gham-e-paiham hui saabit jise main ne baqaa samjhaa hayaat-e-jaavidaan nikli jise main ne qazaa samjhaa ghalat samjhaa zamaane mein tujhe dard-aashnaa samjhaa miri nazron kaa dhokaa thaa main patthar ko khudaa samjhaa vafaa ki raah mein khaae hain aise bhi kabhi dhoke vo zaalim ibtidaa nikli jise main intihaa samjhaa use dil kaa junun kahiye ki meri saadgi kahiye main har ik rahguzar ko aaj us kaa naqsh-e-paa samjhaa bahut mumkin thaa maujon se miri kashti nikal aati magar vo raahzan niklaa jise main naakhudaa samjhaa rah-e-ulfat mein aise bhi 'kanval' aksar maqaam aae jahaan har dil ki dhaDkan ko main apni hi sadaa samjhaa"
D. Raj KanwalD. Raj Kanwal