SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byDr. Azam(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"shauq baaqi nahin baaqi nahin ab josh-o-kharosh din vo pur-kaif the jab ham the saraasar madhosh maslahat josh-e-baghaavat ko dabaa deti hai dil dhaDaktaa hai magar dil ki sadaaein khaamosh ab koi surat-e-guftaar nazar aati nahin vo bhi khaamosh miraa radd-e-amal bhi khaamosh teri raftaar lagaataar ho kachhue ki tarah varna rah jaaegaa tu raah mein misl-e-khargosh ziist ki raah pe tanhaa na kabhi chal paayaa gham-e-jaanaan gham-e-dauraan bhi rahe dosh-ba-dosh saamnaa dahr kaa tanhaa use ab karne de paanv mein beTe ke aane lage teri paa-posh bazm-e-urdu se hui der bahut aae hue ab talak saans mein khushbu hai moattar hain gosh ab to ghar-baar mein lagtaa hi nahin dil 'aazam' aisaa lagtaa hai ki ho jaaeinge ham khaana-ba-dosh"
Dr. AzamDr. Azam
Quote
"pur-lutf sukun-bakhsh havaaein bhi bahut thiin gulshan mein taassub ki vabaaein bhi bahut thiin khud main ne hi rakkhaa na khayaal apnaa kabhi bhi ghairon ki kuchh apnon ki jafaaein bhi bahut thiin surat pe ujaale the agar shams-o-qamar ke zulfon ki siyaahi mein ghaTaaein bhi bahut thiin thi ahd-e-javaani mein mohabbat hi mohabbat naa-karda gunaahon ki sazaaein bhi bahut thiin mabhut the mashur the sab dekh ke us ko shaffaaf saraapaa thaa adaaein bhi bahut thiin har vaqt mire saath the asbaab-e-tabaahi qismat thi kharaab apni khataaein bhi bahut thiin ik roz qazaa le gai bimaar ko 'aazam' the jab ki masihaa bhi davaaein bhi bahut thiin"
Dr. AzamDr. Azam
Quote
"meri miTTi mein jab na thaa patthar kaise kah duun ki hai khudaa patthar shoala-e-ishq kaa asar tauba mom jaisaa pighal gayaa patthar jab bhi bazm-e-khirad mein aayaa main aql par meri paD gayaa patthar gul bichhaaun main tere qadmon mein meri raahon mein tu bichhaa patthar raah-e-haq mein yaqin thaa ham par sirf barseinge iinT yaa patthar lad gayaa jab shajar phalon se koi us pe sab ne uThaa diyaa patthar log toDeinge baar baar use shisha-e-dil ko tu banaa patthar narm rassi se ghis na jaae jo mujh ko aisaa nahin milaa patthar doston ke hadaf pe hai 'aazam' ab vo barsaaein phuul yaa patthar"
Dr. AzamDr. Azam
Quote
"ummid par hamaari ye duniyaa khari nahin phir bhi to us ko paane ki khvaahish miri nahin be-vajh gul-rukhon se miri be-rukhi kahaan mere junun-e-shauq ke qaabil pari nahin taskin mile bhi dida-e-hairaan ko kis tarah shishagari nahin kahin jalvagari nahin bad-rang si bahaar hai fasl-e-bahaar mein bashshaash dil nahin hai tabiat hari nahin lagtaa hai aaj shahr ke haalaat Thiik hain masjid vagarna kal ki tarah kyuun bhari nahin haalaanki mere jurm pe parde paDe rahe dil ki malaamaton se magar main bari nahin dharti pe dikh rahe hain gunaahon ke ab asar 'aazam' kahin to khushki kahin par tari nahin"
Dr. AzamDr. Azam
Quote
"main bazm ki mutahayyar samaaa kar duun kyaa ghazal ki sinf mein kuchh ikhtiraaa kar duun kyaa baghair us ke bhi zinda huun aur maze mein huun bichhaDne vaale ko ye ittilaaa kar duun kyaa mujhe pasand nahin izhdihaam logon kaa ye munkashif main sar-e-ijtimaaa kar duun kyaa mujhe to tum ne hi barbaad kar diyaa lekin tumhaare haq mein tumhaari difaa kar duun kyaa tumhein pasand nahin hai miraa ye kaar-e-sukhan tamaam ghazlein kaho nazr-e-jaan kar duun kyaa isi sabab to pareshaan-haal rahtaa huun anaa ke zo'm ko 'aazam' vidaa' kar duun kyaa"
Dr. AzamDr. Azam
Quote
"jo anaa ki sifat hai zaati hai ye na aati hai ye na jaati hai jab koi fikr chhaTpaTaati hai tab kahaan nind-vind aati hai aaj daanista bint-e-havvaa khud ishtihaaron ke kaam aati hai yuun dabe paanv aati teri yaad jis tarah subh dhuup aati hai main fidaain ho gayaa shaayad har qadam meraa aatm-ghaati hai ab mohabbat hai maslahat-aamez ab kahaan ju-e-shir laati hai log ab faisla bataate hain aur adaalat bhi maan jaati hai zindagi ki numud bhi 'aazam' saanihaati hai haadsaati hai"
Dr. AzamDr. Azam
Quote
"afsos bani hi nahin pahchaan abhi tak har ahl-e-nazar mujh se hai anjaan abhi tak sadiyon ke taghayyur se bani surat-e-insaan insaan nahin hai magar insaan abhi tak ilhaam se ibhaam se ihaam se chhuTe kitne hain khayaalaat pareshaan abhi tak kitne hi khule fahm-o-faraasat ke dariche hain qaid-e-jahaalat mein ham insaan abhi tak hain dair-o-haram kuchh ki nahin dair-o-haram kuchh Thahraa nahin meraa kahin imaan abhi tak ham ahl-e-tazabzub kaa fasaana bhi ajab hai kaafir hi bane hain na musalmaan abhi tak taskin ki surat koi milti nahin 'aazam' meri nigah-e-shauq hai hairaan abhi tak"
Dr. AzamDr. Azam
Quote
"ashk par zor kuchh chalaa hi nahin main ne rokaa bahut rukaa hi nahin aatish zer-e-paa sabab varna khaak sahraa ki chhaantaa hi nahin yaa to sab kaa khudaa hi sachchaa hai yaa to sachchaa koi khudaa hi nahin zehn kahtaa hai sar jhukaa le tu dil magar hai ki maantaa hi nahin baal-o-par hon qavi to kyaa haasil jab uDaanon kaa hausla hi nahin haae main ne pas-e-ghalat-fahmi vo sunaa main ne jo kahaa hi nahin maut kaa Dar ise dikhaaein kyaa zinda rahnaa jo chaahtaa hi nahin sirf ehsaas-e-kamtari hai tujhe aur tu hai ki maantaa hi nahin main hi main bazm mein rahaa maujud aur main bazm mein gayaa hi nahin meri ghibat mein vo bhi hain shaamil aaj tak jin se main milaa hi nahin jo ki pahchaan ho miri 'aazam' sher aisaa koi huaa hi nahin"
Dr. AzamDr. Azam
Quote
"misaal-e-aaina rahnaa koi mazaaq nahin ki sach ko munh pe hi kahnaa koi mazaaq nahin sunaa hai aansu to ghaDiyaal ke bhi bahte hain lahu kaa aankh se bahnaa koi mazaaq nahin abhi hai vaqt sambhaalo samaaj ko logo tamaam qadron kaa Dhahnaa koi mazaaq nahin mazaaq jis mein ki husn-e-mazaaq hi na mile mazaaq aisaa bhi sahnaa koi mazaaq nahin sukhan-varon ko mazaaq-e-sukhan kaa paas rahe ghazal sukhan kaa hai gahnaa koi mazaaq nahin chaman kaa ho ke bhi ahl-e-chaman se ai 'aazam' hamesha taane hi sahnaa koi mazaaq nahin"
Dr. AzamDr. Azam
Quote
"bulaanaa aur na jaanaa chaahtaa huun maraasim bhi nibhaanaa chaahtaa huun tiri qurbat se kuchh lamhe churaa kar main apne paas aanaa chaahtaa huun kahaan ye tai nahin kar paayaa lekin kahin main bhaag jaanaa chaahtaa huun kisi din gardish-e-ayyaam ko bhi main ungli par nachaanaa chaahtaa huun zarurat to nahin tu hai zaruri tujhe apnaa banaanaa chaahtaa huun bahut sahraa-navardi ho chuki ab Thikaane kaa Thikaanaa chaahtaa huun asar karti nahin hai narm-goi main ab naare lagaanaa chaahtaa huun"
Dr. AzamDr. Azam
Quote
"har shakhs mein kuchh log kami DhunD rahe hain naadaan hain musbat mein nafi DhunD rahe hain gul DhunD rahe hain na kali DhunD rahe hain gulshan mein bas ik shaakh hari DhunD rahe hain is yug mein kahaan ham bhi vali DhunD rahe hain insaan mein sifaat-e-bashari DhunD rahe hain baadal ki siyaahi mein kiran jaisi chamakti har gham mein chhipi ham bhi khushi DhunD rahe hain ik sher jo mauzun nahin kar paae hain ab tak 'ghaalib' ki ghazal mein bhi kami DhunD rahe hain muddat se taqaaza hai ki lauTaa do miraa dil muddat se bahaanaa hai abhi DhunD rahe hain tahzib-o-tamaddun ko khulus aur vafaa ko 'aazam' hi nahin aaj sabhi DhunD rahe hain"
Dr. AzamDr. Azam
Quote
"bikegi us ki hi dastaar tai hai ki jis ki qimat-e-kirdaar tai hai huaa thaa haadisa kuchh aur lekin likhegaa aur kuchh akhbaar tai hai baDe aangan pe itraao na itnaa uThegi us mein bhi divaar tai hai hai naalaaeq magar sardaar kaa hai banegaa beTaa hi sardaar tai hai hai munsif hi giraftaar-e-taassub adaalat mein hamaari haar tai hai na le jaa ham ko us mahfil mein ai dil jahaan honaa zalil-o-khvaar tai hai hunar hai aise rishton ko nibhaanaa jahaan har baat par takraar tai hai sadaa sach bolte ho tum bhi 'aazam' tumhaare vaaste bhi daar tai hai"
Dr. AzamDr. Azam
Quote
"khudaa bhi jaantaa hai khuub jo makkaar baiThe hain haram mein sar-nigun kuchh qaabil-e-finnaar baiThe hain gharon mein saath baiThe hain sar-e-baazaar baiThe hain naqaab apnon kaa oDhe aaj-kal aghyaar baiThe hain mohabbat ki nazar mein jiit li hai ham ne vo baazi zamaane ki nazar mein ham ki jis ko haar baiThe hain khataa ho jaae ham se jo koi to darguzar karnaa tumhaari bazm mein ham aaj pahli baar baiThe hain zamin se yaa falak se yaa ki apnon se ki ghairon se bataaein kis tarah kis kis se ham bezaar baiThe hain yahi jamhuriyat kaa naqs hai jo takht-e-shaahi par kabhi makkaar baiThe hain kabhi ghaddaar baiThe hain adab ki mahfilon mein ab kahaan jamm-e-ghafir 'aazam' yahaan do-chaar baiThe hain vahaan do-chaar baiThe hain"
Dr. AzamDr. Azam