Quote
"koi ho dard-e-musalsal to niind aati hai badan mein ho koi halchal to niind aati hai hamein sukun mayassar nahin hai ik pal bhi tumhaari yaad ho pal-pal to niind aati hai talab nahin hai kisi aur khush-badan ki hamein tumhaaraa paas ho aanchal to niind aati hai kabhi na tum se rahi guftugu adhuri si ghazal ho jab bhi mukammal to niind aati hai ajiib khauf saa laahaq hai bastiyon se hamein qarib ho koi jangal to niind aati hai pasand hai hamein shorish fasaad gird-o-navaah agar ho shahr moattal to niind aati hai badal diyaa hai zamaane ne yuun hamaaraa mizaaj sajaa huaa ho jo maqtal to niind aati hai kaDak rahi ho jo bijli to Dar nahin lagtaa garaj rahe hon jo baadal to niind aati hai koi bhi khvaab Daraataa nahin hai ab 'aatir' dikhaai de hamein daldal to niind aati hai"







