Quote
"thi umid-e-mahr un ko mehrbaan samjhaa thaa main vo sitam Dhaaeinge mujh par ye kahaan samjhaa thaa main arsh se baDh chaDh ke un kaa aastaan samjhaa thaa main un ke kuche ki zamin ko aasmaan samjhaa thaa main kyon na ho dushvaar jaanaa manzil-e-maqsud tak thaa bagulaa jis ko gard-e-kaarvaan samjhaa thaa main iztiraab-e-dil ne ifshaa dard-e-ulfat kar diyaa haae naadaani ki us ko raazdaan samjhaa thaa main ho gai tum par tasadduq ho gai tum par nisaar varna apni zindagi ko raaegaan samjhaa thaa main vo na is ghar mein mile mujh ko na us ghar mein mile kaaba bhi but-khaana bhi un kaa makaan samjhaa thaa main aaj vo ek ek ki sau sau sunaane baiThe hain jin ko kal tak be-dahaan-o-be-zabaan samjhaa thaa main kah rahe the jab vo mere dard-e-dil kaa maajraa goyaa un ke munh mein apni hi zabaan samjhaa thaa main bahr-e-aalam mein thi meri zindagi misl-e-habaab haif kyon is ko hayaat-e-jaavidaan samjhaa thaa main vahshat-e-dil baDh gai kyaa khaak bahle dil yahaan gulshan-e-aafaaq ko baagh-e-jinaan samajhtaa thaa main khaal-e-ru-e-dost ki midhat na tum se ho sake shaairon mein tum ko 'saabir' nukta-daan samjhaa thaa main"







