Quote
"dikhaa ke apni hasin aan-baan pal bhar mein vo duur kar gayaa meri thakaan pal bhar mein baghair aag lagaae bhi kuchh hasinon ne jalaa diye hain kai jism-o-jaan pal bhar mein tamaam log isi Dar mein mar rahe hain yahaan bichhaD na jaaein zamin aasmaan pal bhar mein namaaz-e-ishq bhi paDhtaa vo kaash ruk jaataa jo de gayaa mire dil mein azaan pal bhar mein vo be-zabaan thaa lekin ye vaaqia hai 'kanval' sunaa gayaa hai koi daastaan pal bhar mein"







