SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byFitrat Ansari(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"un kaa manshaa hai na phaile khas-o-khaashaak mein aag aatish-e-dil na lagaa dida-e-namnaak mein aag barq-e-gham ban ke jo ehsaas-e-nazar phunk gai is qadar thi tire ik jumla-e-be-baak mein aag shoala-e-mai ki navaazish hai to lag jaaegi saaz-e-hasti ke har ik naghma-e-naapaak mein aag un ke aangan mein bhi angaare baras jaaeinge aah-e-sozaan na lagaa daaman-e-aflaak mein aag qaafile aur bhi manzil ki taraf aate hain tum sar-e-raah dabaao na abhi khaak mein aag shukr hai us ki tamannaa hui puuri yaarab tere divaane ki muddat se rahi taak mein aag chashm-e-fitrat se Tapaktaa hai mohabbat kaa jalaal phail jaae na kahin aalam-e-idraak mein aag"
Fitrat AnsariFitrat Ansari
Quote
"nae jahaan mein puraani sharaab le aae andheri raat mein ham aaftaab le aae mire yaqin mein gunjaaish-e-dalil nahin javaaz DhunDne vaale kitaab le aae paDe the ek hi aalam mein ahl-e-mai-khaana shikast-e-jaam se ham inqalaab le aae vo kaamyaab-e-mohabbat hain jo tire dar se khud apne aap ko naa-kaamyaab le aae tamaam umr jo chhaayaa rahegaa aankhon mein tumhaari bazm se ham aisaa khvaab le aae yahaan to ek bhi gham-aashnaa nahin apnaa farishte mujh ko kahaan be-naqaab le aae hayaat-e-ishq mein ham toD kar quyud-e-vafaa kisi bhi taur sahi inqalaab le aae vahi safine jo tufaan-shanaas the fitrat sukut-e-shahr mein ik iztiraab le aae"
Fitrat AnsariFitrat Ansari
Quote
"tasavvur mein jamaal-e-ru-e-taabaan le ke chaltaa huun andheri raah mein sham-e-farozaan le ke chaltaa huun shikasta-dil hujum-e-yaas-o-hirmaan le ke chaltaa huun huzur-e-husn main ye saaz-o-saamaan le ke chaltaa huun unhein shaayad yaqin aa jaae ab meri mohabbat kaa main un ke ru-ba-ru chaak-e-garebaan le ke chaltaa huun tumhaari yaad har ik gaam par mujh ko rulaati hai agar dil mein kabhi jiine kaa armaan le ke chaltaa huun Tapaktaa hai lahu ehsaas ke rangin darichon se main apne dil mein jab yaad-e-shahidaan le ke chaltaa huun use shaayad miri maasumiyat par rahm aa jaae khudaa ke saamne main fard-e-isyaan le ke chaltaa huun mujhe bhi apne ehsaas-e-vafaa ko aazmaanaa hai ba-zoam-e-ishq afkaar-e-pareshaan le ke chaltaa huun miri khuddaar 'fitrat' ki khudaa hi aabru rakkhe khizaan ke daur mein azm-e-bahaaraan le ke chaltaa huun"
Fitrat AnsariFitrat Ansari
Quote
"zauq-e-nazar ko jalvaa-e-be-taab le gayaa taabir ke nashaat ko ik khvaab le gayaa mauj-e-subuk-khiraam ki tahrik hi to thaa vo hausla jo mujh ko tah-e-aab le gayaa sar un ki baargaah mein jhuk to gayaa magar dil aabru-e-mimbar-o-mehraab le gayaa naghmaat-e-dil fazaa mein bikharne na paae the taar-e-nafas ko sadma-e-mizraab le gayaa dil irtiqaa-e-zehn kaa haasil to ho gayaa husn-e-yaqin ko aalam-e-asbaab le gayaa hairat-fishaaniyaan mujhe de to gayaa magar aaina zindagi ki tab-o-taab le gayaa ham ne mahal banaae the kuchh regzaar par jin ko bahaa ke vaqt kaa sailaab le gayaa"
Fitrat AnsariFitrat Ansari
Quote
"daaman-e-husn mein har ashk-e-tamannaa rakh do diin ki raah mein hangaama-e-duniyaa rakh do zulm ke saamne ikhlaas kaa parda rakh do nok-e-har-khaar pe barg-e-gul-e-raanaa rakh do apni taarikh ke auraaq ulaTnaa hain agar gulshan-e-aish pe taptaa huaa sahraa rakh do jis se vaabasta rahe Dubne vaale ki umiid ek tinkaa hi sahi tum lab-e-dariyaa rakh do tum jo chaaho ki mire lab bhi na khulne paaein mere aage miri taqdir kaa chehra rakh do roz-e-raushan ki tarah hongi munavvar raatein chand shoale jo sar-e-bazm-e-tamannaa rakh do ek aavaaz si aati hai haram se shaayad mai-kade vaalo zaraa saaghar-o-minaa rakh do"
Fitrat AnsariFitrat Ansari
Quote
"husn-e-fitrat ke amiin qaatil-e-kirdaar na ban shohrat-e-gham ke liye raunaq-e-baazaar na ban taarik-e-rasm-e-vafaa aur gunahgaar na ban mahram-e-ishq hai to mahram-e-asraar na ban apni gardan pe machalti hui talvaar na ban nang-e-imaan hi sahi surat-e-inkaar na ban bad-gumaani ko miri aur baDhaa detaa hai un kaa ye kahnaa ki daaman-kash-e-aghyaar na ban rahrav-e-manzil-e-hasti huun main ai yaad-e-habib dhuup mein mere liye saaya-e-divaar na ban dil ko takmil-e-tamannaa kaa ishaara de kar mujh se tu meri tamannaa kaa kharidaar na ban teri manzil hai ghubaar-e-rah-arbaab-e-vafaa rahrav-e-raah-e-talab qaafila-saalaar na ban jin ke daaman mein tamannaa ko sukun miltaa hai un ki nazron se mohabbat kaa talabgaar na ban vo tiri mast-nigaahi kaa uDaa leinge mazaaq ahl-e-daanish mein kabhi bhuul ke hoshiyaar na ban ho na jaae kahin masdud tiri raah-e-talab ai miri lauh-e-jabin sang-e-dar-e-yaar na ban"
Fitrat AnsariFitrat Ansari
Quote
"karam ke naam pe un kaa itaab chaahte hain nigaah-e-shauq ko ham kaamyaab chaahte hain sukun-e-dil mein gham-o-iztiraab chaahte hain ham aise log bhi kyaa inqalaab chaahte hain chaman mein ahd-e-bahaaraan ki aarzu kar ke qafas-nasib qafas par azaab chaahte hain ye aazmaaish-e-qalb-o-nazar maaaz-allaah tumhaare jalve ko ham be-naqaab chaahte hain mujhe raqib samajh kar jo mere mohsin hain miri nazar kaa hasin intikhaab chaahte hain jahaan khulus-e-tijaarat ke fan mein Dhal jaae ham aisi duniyaa se ab ijtinaab chaahte hain ye ahl-e-husn ki fitrat ajiib fitrat hai savaal karne se pahle javaab chaahte hain"
Fitrat AnsariFitrat Ansari
Quote
"baad muddat ke khayaal-e-mai-o-minaa aayaa zindagi phir mujhe jiine kaa qarina aayaa har nafas ziist ke maathe pe pasina aayaa ye bhi jiinaa hai ki aisaa hamein jiinaa aayaa kitne pahlu nazar aa jaaein na jaane dil ke aaina-saaz ke haathon mein nagina aayaa phir sar-e-bazm koi jaam-ba-kaf aataa hai tark-e-tauba ke tasavvur pe pasina aayaa tohmat-e-baada-parasti kaa sazaa-vaar huaa teraa mai-kash jise do ghunT na piinaa aayaa chehra-e-vaqt se ulTi na gai ham se naqaab kaam apne na kabhi dida-e-binaa aayaa tishna-lab rakkhaa tiri chashm-e-karam ne saaqi jab mujhe baada-parasti kaa qarina aayaa un ki aankhon mein chhalak aae hain aansu 'fitrat' mere daaman mein umidon kaa khazina aayaa"
Fitrat AnsariFitrat Ansari