SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byGhalib Ahmad(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"zanjir mein hain dair-o-haram kaun-o-makaan bhi hai ishq hamein un se nahin jin kaa gumaan bhi jo jism ke zarron mein khudaa DhunD rahi hai yusuf ki zulekhaa mein hai vo ruh-e-tapaan bhi is mohr-e-khamoshi mein nihaan ruh-e-takallum is soe hue shahr ki hai apni zabaan bhi har lahr ke siine se lipaTtaa hai miraa dil manjdhaar ke is paar ho saahil kaa nishaan bhi kyon vaqt ki lahrein mujhe le jaaein kisi or daaim dil-e-dariyaa huun main maujon mein ravaan bhi ham ziist ki sarhad pe mile maut se lekin hai dasht-e-talab bhi vahi aur manzil-e-jaan bhi"
G
Ghalib Ahmad
Quote
"manzar-e-hosh se aage bhi nazar jaane de jaa rahaa hai ye musaafir to udhar jaane de teri aavaaz ki parvaaz mein hai meraa vajud apni guftaar ke pardon mein bikhar jaane de na koi chashm-e-tamannaa na koi dast-e-duaa zindagi tu mujhe be-laus guzar jaane de tere qaabil bhi nahin tere muqaabil bhi nahin ham-safar saath mujhe apne magar jaane de tu to hai husn-e-azal aur miraa rang-e-ghazal meri aavaaz mein bhi kuchh to asar jaane de mere ashaar mein sadiyon ke talaatum kaa shuur kaash tu un ko zaraa dil mein utar jaane de"
G
Ghalib Ahmad
Quote
"ahd-e-ghazab hai shor bahut qil-o-qaal kaa ye daur hai bahaa-e-adab ke zavaal kaa ghaaron mein chhup ke so raho ai sakinaan-e-dil sadiyon talak na aaegaa jhonkaa khayaal kaa viraan apne haath se ki kaar-gaah-e-zist zarre se khuub kaam liyaa hai kamaal kaa aae the is zamin pe jaaeinge ab kahaan degaa javaab kaun hamein is savaal kaa ye sai-e-raaegaan to na thi apni justuju ai zul-jalaal ham ko dikhaa rukh jamaal kaa baiThe hain sau baras se tire intizaar mein aao bhi ab to faasla hai ek saal kaa"
G
Ghalib Ahmad
Quote
"patte nahin kahin hari shaakh-e-shajar nahin is shahr mein bahaar ki koi khabar nahin rang-e-khizaan mein laakh milaaun dilon ke rang mauj-e-sharaab-o-sher mein koi asar nahin Duube paDe hain qulzum-e-khvaab-o-khayaal mein mauj-e-ravaan kahaan hai kisi ko khabar nahin dariyaa mein mauj ban ke kahaan tak rahe koi mauj-e-ravaan ba-surat-e-divaar-o-dar nahin ab manzil-e-vajud nahin dil ki kaaenaat is ghar mein ek main huun koi baam par nahin tu raahat-e-vajud hai tu ruh-e-kaaenaat is ghar mein tu nahin hai to ye meraa ghar nahin dasht-e-talab hai khatm yahaan naaqa-e-nigaah ye vo zamin hai jis mein tumhaaraa guzar nahin"
G
Ghalib Ahmad
Quote
"dekhaa nahin vo aadmi tanhaa kahun jise vo aaj tak milaa nahin apnaa kahun jise sadiyon se intizaar hai us ek shakhs kaa aae ho kitni der se itnaa kahun jise nazrein taras ke rah gaiin taa-aks-e-aabshaar dekhaa nahin hai paani kaa qatra kahun jise kaun-o-makaan mein maujzan hai teri aagahi ik lamha bhi milaa nahin teraa kahun jise dariyaa huun mauj ban ke ravaan huun tiri taraf us paar koi ghar bhi hai apnaa kahun jise afsun-e-intizaar tamannaa kaa naam hai husn-e-talab mein aarzu goyaa kahun jise"
G
Ghalib Ahmad
Quote
"apne ghar se mere ghar tak kuchh lamhon mein aaegaa itni masaafat mein logon ko kitne rang dikhaaegaa dhuup thi sarson ki kyaari mein donon mil kar soe the ye manzar bhi saath hamaare dar dar Thokar khaaegaa phir vo shaair raat gae us shahr mein tanhaa phirtaa hai us ko kahnaa sabr kare milne kaa mausam aaegaa saari raat vo saath rahe saae ki tarah ham se duur ham bhi saath lage rahte hain kabhi to mil hi jaaegaa raat ki kaali chaadar le kar din bhar soe rahte hain dekhein kab vo suraj ban kar hamein jagaane aaegaa"
G
Ghalib Ahmad