SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"laakh bujhaao bujhti nahin hai khirman-e-jaan se madfan tak aatish-e-gul jab aa jaati hai baDhte baDhte daaman tak ik vaqt aisaa aaegaa zanjir-e-safar bhi TuTegi saath mire jab ruk jaaegaa 'umr-e-ravaan kaa tausan tak zarra zarra arz-o-samaa kaa apni qimat rakhtaa hai husn-e-nazar kaa khel hai saaraa viraane se gulshan tak khulte hi muTThi ham-safaron par sakte jaisaa 'aalam thaa dekh ke mere rakht-e-safar ko nam-dida thaa rahzan tak is duniyaa ne ham par us ke darvaaze jab band kiye ham ne khud ko khaak kiyaa aur uD kar pahunche rauzan tak"
G
Ghulam Mustafa Faraz
Quote
"numud-e-tegh hui paa-e-mo'tabar na bachaa vo ran paDaa kisi shaane pe koi sar na bachaa hikaayat-e-gham-e-duniyaa raqam lahu se hui hamaare zikr pe paani bhi buund bhar na bachaa ragon mein dauDte rahnaa lahu ki fitrat hai Thahar gayaa to koi mauqa’-e-safar na bachaa hazaar khvaabon ki duniyaa mein 'umr guzri ho haqiqatein hon muqaabil to phir nazar na bachaa bachaa na ghair bhi bargashta-taala'i se miri main jis ke saae mein baiThaa vahi shajar na bachaa har ek raah thi us ke nishaan-e-paa mein zam kahaan main jaaun ki jab naqsh-e-rah-guzar na bachaa"
G
Ghulam Mustafa Faraz
Quote
"mere sivaa sabhi ki thi yalghaar har taraf naadaan sirf main hi thaa hushiyaar har taraf baaqi bachegaa kuchh bhi na mujh ko nikaal ke hain mere dam se saabit-o-sayyaar har taraf sab dil pe choT khaae hain sab gham chhupaae hain aazaar-e-'ishq ke hain gunahgaar har taraf baazaar-e-misr mein koi yusuf nahin hai ab kis ki talaash mein hain kharidaar har taraf qasr-e-anaa ke takht kaa sultaan main hi huun main ne hi khud uThaai hai divaar har taraf bichh jaati hain safein ki safein ran mein chaar su jab ik taraf se kartaa huun main vaar har taraf khud chal ke koi jaataa nahin us ke naam par baiThe sabhi hain jaane ko tayyaar har taraf"
G
Ghulam Mustafa Faraz
Quote
"nikal paDe hain jo teri khaatir unhin pe teraa 'itaab kyon hai saron pe suraj dilon mein uljhan nazar saraasar saraab kyon hai tamaam samtein tamaam raste tamaam naqsh-o-nigaar tere zamin bhi teri falak bhi teraa to phir masaafat 'azaab kyon hai koi sikandar koi qalandar kabhi na pal bhar ko rok paayaa samand-e-'umr-e-ravaan hamesha se be-zamaam-o-rikaab kyon hai zamaane bhar ke dukhon ko baanTun ki apni bechaargi ko rouun mire hi daaman mein sab kaa sahraa mujhi se barham sahaab kyon hai siyaah baadal khunuk havaaein ghanaa andheraa tavil rasta abhi to 'azm-e-safar kiyaa hai abhi se mausam kharaab kyon hai"
G
Ghulam Mustafa Faraz
Quote
"hunar se jaae kisi ke na fan se jaataa hai lahu kaa daagh kahin pairahan se jaataa hai ba-sad adaa nigah-e-sim-tan se jaataa hai jigar ke paar har ik tiir san se jaataa hai numud-e-tegh-e-badan maa'rke kaa jauhar hai dikhaa ke piiTh kahin koi ran se jaataa hai ragon mein soz-e-gham-e-‘ishq se lahu hai ravaan so vahshi aage nikal kar hiran se jaataa hai mizha pe hotaa hai raushan charaagh-e-tanhaai asir-e-zulf agar anjuman se jaataa hai na koi tesha na sang-e-giraan na ju-e-shir junun-e-'ishq dil-e-kohkan se jaataa hai"
G
Ghulam Mustafa Faraz
Quote
"pas-e-ghubaar-e-taghaaful jo ik daricha thaa usi se hijr kaa suraj tulu' honaa thaa sukut-e-shab thaa dar-o-baam the siyaahi thi pae-shumaar bahut duur ik sitaaraa thaa mire hi dam se hain raushan ye mehr-o-maah nujum mujhe nikaal ke is kaaenaat mein kyaa thaa palaT na jaati agar raushni to kyaa karti fasil mein koi rauzan na koi rakhna thaa ba-in-dalil hue saare falsafe baatil kahin charaagh se pahle charaagh jaltaa thaa sharik ho ke bhi maa'dum thi miri shirkat jo main nahin to sar-e-bazm kaun tanhaa thaa jo zarra thaa to chhupaa thaa kahaan miraa jauhar darun-e-zaat ye aksar savaal uThtaa thaa"
G
Ghulam Mustafa Faraz
Quote
"main kyaa huun aur kyon huun use bhi khabar to ho is par bhi aaina kabhi meraa hunar to ho dar-parda vaapsi ko hain tayyaar anaa-parast gum-gashta manzilon ki magar rahguzar to ho betaab har nigaah hai uThne ke vaaste jaltaa huaa charaagh koi baam par to ho neze ki nok par jo na uchhle to kyaa kare dastaar ke liye kisi shaane pe sar to ho dekhun kahaan se main ravish-e-gul chaman chaman divaar mein kahin koi rauzan yaa dar to ho aakhir shanaavari kaa bhi rakhnaa hai kuchh bharam dariyaa mein Dubne ko kam-az-kam bhanvar to ho mehvar se haT ke aap hi gardish kare zamin thoDaa saa kaaenaat mein zer-o-zabar to ho"
G
Ghulam Mustafa Faraz
Quote
"chup rahun main to mire zer-o-zabar bolte hain TuuTi divaar ke sab rakhna-o-dar bolte hain laakh sannaaTaa ho milti nahin ghaughaa se najaat ran mein shamshirein jo rukti hain to sar bolte hain ham se shorida-saron ke liye anjaam bhi kyaa bolte sach hain bahar-haal agar bolte hain log vaaqif hain haqiqat se ab itnaa na uDo kitni parvaaz parinde mein hai par bolte hain sang se tesha jo Takraae sadaa uThti hai tez chalti hain havaaein to shajar bolte hain koi aavaaz nahin koi bhi uslub nahin be-zabaan hote hain din raat magar bolte hain"
G
Ghulam Mustafa Faraz
Quote
"sho'la-ba-kaf saa'aton ki surkhi nazar aa rahi hai zulmat-gazida nigaahein khush hain sahar aa rahi hai dariyaa ke tufaani dhaare gharqaab hote kinaare mauj-e-nafas saath le kar kyaa kyaa bhanvar aa rahi hai raahon mein divaar uThaati palkon pe kaanTe sajaati sau sau hunar aazmaati tanhaai ghar aa rahi hai khud-aagahi ki ye jurat ungli uThaae junun par shorida-sar ke muqaabil zanjir-e-dar aa rahi hai aflaak ki be-karaani saudaa-e-sar ki zabaani parvaaz ki lahr dil mein be-baal-o-par aa rahi hai shaakhon pe gul phir khileinge bichhDe hue phir mileinge mehvar pe apne ye duniyaa phir lauT kar aa rahi hai"
G
Ghulam Mustafa Faraz
Quote
"ek ik zarre ko jauhar-aashnaa main ne kiyaa sho’lagi ke band darvaazon ko vaa main ne kiyaa thi saraa-e-shaam mein saf tirgi ki jaa-ba-jaa Daal kar shab-khun kaar-e-be-bahaa main ne kiyaa main ne 'aalam ko kiyaa raaz-aashnaa-e-kaaenaat dida-o-naadida sab kuchh zer-e-paa main ne kiyaa chaand taaron se bhi aage pheink di main ne kamand khaak ko masnad-nashin-e-muntahaa main ne kiyaa munkashif pahle kiye kuchh lams-e-lazzat ke rumuz phir sharaab-e-vasl ko do-aatisha main ne kiyaa dekh kar auj-e-tajalli aankhein khira ho gaiin jis ghaDi duniyaa pe khud ko aaina main ne kiyaa main ne qudrat se liyaa husn-e-do-‘aalam kaa sabaq sho'la-e-takhrib ko be-maajraa main ne kiyaa vaz' kar ke aastaan-e-yaar par marne ke Dhang qissa-e-daar-o-rasan ko be-maza main ne kiyaa"
G
Ghulam Mustafa Faraz
Quote
"hunar se jaae kisi ke na fan se jaataa hai lahu kaa daagh kahin pairahan se jaataa hai ba-sad adaa nigah-e-sim-tan se jaataa hai jigar ke paar har ik tiir san se jaataa hai numud-e-tegh-e-badan maarke kaa jauhar hai dikhaa ke piiTh kahin koi ran se jaataa hai ragon mein soz-e-gham-e-ishq se lahu hai ravaan so vahshi aage nikal kar hiran se jaataa hai mizha pe hotaa hai raushan charaagh-e-tanhaai asir-e-zulf agar anjuman se jaataa hai na koi tesha na sang-e-giraan na ju-e-shir junun-e-ishq dil-e-kohkan se jaataa hai"
G
Ghulam Mustafa Faraz
Quote
"sab jhuuT hai is dasht mein jo kuchh bhi jahaan hai tapti hui retili zamin aab-e-ravaan hai khud ban ke bigaD jaataa huun manDlaati havaa mein pahchaan miri hai na koi naam-o-nishaan hai taqsim-e-javaahar ne tamaasha vo dikhaayaa taa-hadd-e-nazar zer-e-falak sirf dhuaan hai ye kaun si basti hai tah-e-khaak-e-tamannaa har aankh jahaan nam hai har ik chehra dhuaan hai ik rang ki bikhraa hai dar-o-baam pe har-su ik gardish-e-haalaat ki aankhon se 'ayaan hai haan jis ki tajalli se har ik zarra hai raushan vo aap pas-e-parda-e-aflaak nihaan hai"
G
Ghulam Mustafa Faraz
Quote
"koi saathi na koi hamdam-o-gham-khvaar main tanhaa fazaa mein tairti viraani-e-shab-taar main tanhaa bisaat itni kahaan mujh mein tiri qudrat ko main samjhun zamin-taa-aasmaan phaile tire aqdaar main tanhaa naqib-e-subh tere haath ab kuchh bhi na aaegaa savaad-e-shab mein sar-basta mire asraar main tanhaa khamir-e-aadam-e-khaaKi mein Dhal kar yaas ki surat uThaae huun azal se baar-e-yak-inkaar main tanhaa har ik chehre ke pichhe mun'akis hain sainkaDon chehre kahin gum ho na jaaun aaina-bardaar main tanhaa taghayyur ki sadaaein aa rahi thiin har dariche se bachaataa kis tarah girti hui divaar main tanhaa"
G
Ghulam Mustafa Faraz
Quote
"kis ki aankhon mein raqam dil ki hikaayat karte koi thaa hi nahin aisaa ki mohabbat karte itne masruf the ham khud mein ki fursat na mili dost karte jo kisi ko to 'adaavat karte jab rasaai nahin mumkin thi tiri khalvat tak aur kyaa karte agar ham na siyaasat karte tum ne chaahaa na mudaavaa-e-gham-e-shaam-e-firaaq varna tum kuchh to na aane ki vazaahat karte zer-e-lab nim-tabassum se vo detaa thaa javaab aankhon aankhon mein kabhi ham jo sharaarat karte muntazir rahti miri khaak bhi sar-taa-ba-qadam tum kabhi aankh uThaane ki to zahmat karte shaayad agli kisi manzil pe kushaada ho zamin kaT gai 'umr isi soch mein hijrat karte"
G
Ghulam Mustafa Faraz
Quote
"iraada pukhta safar kaa jo kar liyaa ab ke na koi khatra kisi se na Dar lagaa ab ke daricha hi nahin rauzan na dar khulaa ab ke nazar bachaa ke vo phir se guzar gayaa ab ke guzar ke tauba se aayaa to khalq bol uThi qubul hoti hui dekh har du'aa ab ke yahi nahin ki vahi ran mein kaamyaab rahaa har ek maa'raka main ne bhi sar kiyaa ab ke tamaam raat havaaon ko kuchh khabar na hui tamaam raat diyaa baam par jalaa ab ke koi to hai jise ummid ki kiran main kahun koi to hai jo sar-e-rahguzar milaa ab ke"
G
Ghulam Mustafa Faraz
Quote
"falak mein uDuun paanv mein zamin bhi rahe zabaan se haan bhi kahun zehn se nahin bhi rahe tire sivaa bhi kisi aur ki zamin thi kyaa chaman mein dasht mein sahraa mein yaa kahin bhi rahe miri hi khaak sar-e-tur ham-kalaam bhi ho miri hi khaak mein aazar panah-guzin bhi rahe vo jis ke dar pe hai ye kaaenaat sajda-rez usi ke dar pe khamida miri jabin bhi rahe nahin ye baat to mumkin nahin ki surat mein ki laa-makaan bhi rahe dil mein aur makin bhi rahe vo jis ki lahr pe lahraae aalam-e-imkaan usi ko haq hai vahi zer-e-aastin bhi rahe"
G
Ghulam Mustafa Faraz
Quote
"ek zamaane mein jab ham tum donon hi joshile the is duniyaa ke saare mausam ThanDe the barfile the dekhne vaale maal-o-zar kyaa jaan luTaayaa karte the khadd-o-khaal badan ke kitne mahnge the kharchile the saamne us ke jaate the to mohr-ba-lab rah jaate the baahar se ham shokh bahut the andar se sharmile the qismat kaa ye khel bhi dekho khel ki jab tak umr rahi kuza-gar ke chaak se utre saare khilaune giile the phuul si baatein phuul saa lahja phuul se lab the phuul se gaal lekin shaakh-e-badan ke saare khaar bahut nokile the un aankhon mein sahraa ki ab ret chamakti rahti hai un aankhon mein jin aankhon ke khvaab bahut chamkile the"
G
Ghulam Mustafa Faraz
Quote
"kaif-o-surur-o-masti ham se khud mein hain mai-khaana ham shisha saaghar saaqi miinaa jaam-o-subu paimaana ham ek zaraa si der hui kyaa us ki gali tak jaane mein tanhaai ki shakl mein ab tak bharte hain jurmaana ham jaane kaun saa jaadu thaa us jhiil si gahri aankhon mein dil jaisi naayaab si shai tak de aae nazraana ham jis ne chaahaa jaisaa chaahaa joD liyaa ik rishta phir ishq mein tere bhuul gae jab apnaa aur begaana ham ru-e-zamin kaa ik ik manzar apni nazar ke dam se hai sahraa aur samundar ham hain gulshan aur viraana ham rafta rafta miT jaaeinge naqsh hamaari hasti ke dhire dhire ho jaaeinge duniyaa mein afsaana ham"
G
Ghulam Mustafa Faraz
Quote
"chaman kyaa hai ye aankhein bhuul jaati hain gulon ki kaj-kulaahi bhi sar-e-mizhgaan 'ajab shai hai rag-e-sahraa ki be-aab-o-giyaahi bhi main apne aap se saare mahaazon par jidaal-o-jang kartaa huun ki apne lashkar-e-tanhaa-nafar kaa miir bhi huun main sipaahi bhi hayaat-e-jaavedaan bakhshi hai jin ki sho'lagi ne mehr-e-taabaan ko kise maa'lum thaa un munqasim zarron se aaegi tabaahi bhi nahin aisaa nahin hai raushni hi raushni karti nahin har-su diye ki lau ugalti hai dhuein ki shakl mein pinhaan siyaahi bhi"
G
Ghulam Mustafa Faraz