SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byHina Ambareen(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"vahshat mein kyaa shak hai ji ham son ki lekhak hai ji nichon se rishte joDe naslan hi murakh hai ji is dil ke aaine mein vo surat ab tak hai ji us ke yaad aane kaa vaqt subh se shab nau tak hai ji aansu ke moti niklein yaadon ki gullak hai ji chehron kaa ujlaa-pan kyaa man mein to kaalak hai ji raj kar dil zakhmaati hai vo surat ghaatak hai ji ham ko pyaar kaa gham sab kuchh tum ko to naaTak hai ji aankhein hain mudraa us ki gham un kaa gaahak hai ji kaanon mein aavaaz us ki dil hai yaa dhak-dhak hai ji phal dekhein kyaa aataa hai mehnat to anthak hai ji"
Hina AmbareenHina Ambareen
Quote
"alag tum se huaa firqa hamaaraa tumhaaraa takht aur takhta hamaaraa hamaari shaan-o-shaukat yaad rakhnaa palaT kar aaegaa 'arsa hamaaraa tumhaaraa naam likh kar aa gae hain bahut achchhaa huaa parcha hamaaraa agar tum dam karo palkein hamaari na TuTegaa koi sapnaa hamaaraa hamaare baap daada chaand se the vahin par thaa kahin qasba hamaaraa chalo ham hijr ko taqsim kar lein tumhaaraa nisf aur aadhaa hamaaraa hamaari choT hai sadiyon puraani ziyaada zakhm hai gahraa hamaaraa mohabbat se bani miTTi hamaari nahin miltaa kahin lahja hamaaraa nayaa maan ne mohabbat se siyaa thaa puraane suiT se basta hamaaraa"
Hina AmbareenHina Ambareen
Quote
"tire bichhaDne kaa dukh apne khaandaan kaa dukh hamaari zaat ko hai saare kaarvaan kaa dukh huzur aap ko to 'ilm hai haqiqat kaa huzur aap to sunte the be-zabaan kaa dukh khamosh baiTh ke ik dusre ko sunte hain za'if peD samajhtaa hai naujavaan kaa dukh safar tavil hai aur zaad-e-raah bhi kam hai lagaa huaa hai mujhe nam-zada makaan kaa dukh safar mein tu hai magar paanv thak rahe hain mire thakaa rahaa hai mujhe yuun tiri thakaan kaa dukh kaniz-e-khaas banaa di gai thi shahzaadi use diyaa bhi gayaa to usi ki shaan kaa dukh gharib ke liye to dukh hi dukh hain duniyaa mein kabhi makaan kaa dukh hai kabhi dukaan kaa dukh nahin hai kuchh bhi yahaan is hisaar se baahar kahin khamoshi kaa gham hai kahin bayaan kaa dukh"
Hina AmbareenHina Ambareen
Quote
"kyon toD diye jaate hain samar kamzor shajar ki Daaliyon se maike se bhi dil kaT jaataa hai miltaa bhi nahin sasuraaliyon se aankhon mein utar aati thi nami ham mukhlis the par log nahin jazbaat sanbhal nahin paate the munh bhar jaataa thaa gaaliyon se ik kachchi 'umr ki laDki ke kuchh khvaab the kuchh aashaaein thiin aur 'ishq thaa us ke bachpan kaa is baagh mein rahne vaaliyon se aankhon mein lajjaa kaa surma thaa gaalon pe hayaa ki laali thi maathe pe safedi chaandi ki kaanon ki sundartaa baaliyon se 'izzat kaa kachumar bantaa hai miTTi mein milaati hai ghurbat paise ke pujaari jhukte hain karte hain suvaagat taaliyon se 'ushshaaq-e-azal ki qismat mein likkhi hai saraasar bezaari kyaa uns kisi but-khaane se kyaa nisbat un ki gaaliyon se dil lagti baat kahein to ye achchhaa jo lage vo achchhaa hai hote hain mubarraa 'ishq ke saalik goriyon se aur kaaliyon se Thukraae huon ke aaqaa hain taDpaae huon ke marham hain kabhi aa ke tasalli khvaab mein dein kabhi jhaankein sunahri jaaliyon se"
Hina AmbareenHina Ambareen
Quote
"rangat chehra aankhein 'aariz lab dhutkaaregaa fakhr takabbur 'aadat jis ki sab dhutkaaregaa us ne khubi de di hai to mat itraa kar chal us ke bande dhutkaare to rab dhutkaaregaa ghurbat to har haal mein rab kaa shukr sikhaati hai jis ko bhuuk ne Das rakkhaa ho kab dhutkaaregaa hirs-o-havas ke shaidaai aur matlab ke bande paaon se lipTeinge tere jab dhutkaaregaa maulaa ham par mat laanaa aise be-dide din jab har banda duuje kaa mazhab dhutkaaregaa 'ishq-navaaz ko kab hoti hai maal-o-zar ki chaah faqr chunegaa 'ohda aur mansab dhutkaaregaa dil us ko de baiThe hain aur ab ham khaali haath vo jab chaahe matlab bin matlab dhutkaaregaa"
Hina AmbareenHina Ambareen
Quote
"ujDe hue raste ham guzre hue lamhe ham rangon se muzayyan the chhu lene se bikhre ham naabud mukammal kar TuuTe nahin chaTkhe ham sairaab hui duniyaa ik buund ko tarse ham de dein ise ghairon ko duniyaa tire sadqe ham apni baDi qimat thi kitne hue saste ham us aankh mein ghar hotaa us dil mein dhaDakte ham ham bichhDi hui baanhein bhule hue lamhe ham lipTi hui fikrein hain kahte nahin dukhDe ham hujjat bhi agar karte kis shakhs ke karte ham ai yaad chal aahista gunge hain na bahre ham"
Hina AmbareenHina Ambareen
Quote
"be-shak apne zebaai par us ko naaz rahe lekin shaam savere yaad aane se baaz rahe ek muqaddas hasti ne ik roz duaa ye ki rab ki rahmat se duniyaa mein tu mumtaaz rahe qatra qatra duuri de kar jis ne maar diyaa apnon jaise us dushman ki umr daraaz rahe us kaa dhyaan kabhi naa bhule dil mein ho har pal soch usi ko sochti jaae narm gudaaz rahe ek qadam ke saath pe us ki laraz gai aavaaz saat janam tak ham jis jhuTe ki aavaaz rahe duniyaa us ke saath ho lekin us ke dil mein ham saare jag mein ham ko haasil ye eajaaz rahe us ne dekhaa khush ho ke aaina toD diyaa barson apne aap se lekin ham naaraaz rahe kabhi nahin aayaa vo kah kar us ko jaanti huun jhuTi aas ke us ke paas hamesh javaaz rahe"
Hina AmbareenHina Ambareen
Quote
"vo jald-baaz shakhs kaaenaat kaise ho gayaa nahin nahin ki guunj mein sabaat kaise ho gayaa mujhe to apni pyaas kaa shuur thaa ghurur thaa vo ek ghunT baDh ke yuun furaat kaise ho gayaa miri to dastaras mein khvaab tak rahe na the mire ye kyaa huaa zamaana mere saath kaise ho gayaa paDi hui khajur se nabiz kaise ban gai rukaa huaa khayaal harf-e-naat kaise ho gayaa bujhe hoi charaagh mein bani hai kaise raushni vo munjamid banaa havaa ke saath kaise ho gayaa sukhan sukhan mein kis tarah samundaron se baat ki paDe paDe qalam tiraa davaat kaise ho gayaa"
Hina AmbareenHina Ambareen
Quote
"khud ko pahron thakaati huun main yaad ke but banaati huun main dhyaan haTtaa nahin hai miraa dhyaan tujh se haTaati huun main kaun tere sivaa hai miraa tujh ko apnaa banaati huun main jab mujhe yaad aataa hai vo do-jahaan bhuul jaati huun main khvaab hai teri chaahat mujhe khvaab khud ko dikhaati huun main jal rahaa hai diye se diyaa baanTti huun to paati huun main aaj nau saal puure hue apni vahshat manaati huun main vaah vaa ki zarurat nahin zakhm likh kar dikhaati huun main"
Hina AmbareenHina Ambareen
Quote
"falak se un ko khudaa ke salaam aate hain jo dusron ki musibat mein kaam aate hain kabhi kabhi koi aataa hai un mein shahzaada vagarna sainkaDon bikne ghulaam aate hain haqiqi kaam ye hai vo dilon pe raaj kare use par is ke 'alaava bhi kaam aate hain mushaahide se na sikhein to tajraba kar lein jo subh aa nahin paate vo shaam aate hain hamaari jeb mein rakkhe hain tajrabe saare hamein ye khel zamaane tamaam aate hain ye duniyaa chhaan-phaTak kar banaaegi kundan yahaan pe pahle-pahal sab hi khaam aate hain vo khaas log unhi mein sharik hote hain tumhaari bazm mein aksar jo 'aam aate hain tujhe dikhaai na dete agar khudaa hote ham is liye tire aage mudaam aate hain kisi ne kyon na kahaa mominin hadd-e-adab husain jaise muqaddas imaam aate hain"
Hina AmbareenHina Ambareen
Quote
"vafur-e-rahmat-e-parvardigaar hotaa thaa ki sab kaa pahlaa aqida hi pyaar hotaa thaa darakht jhumte rahte du'aa ke dhaagon se gali gali koi mannat-guzaar hotaa thaa matab hakim davaai na kaargar hoti kisi ki yaad mein aisaa bukhaar hotaa thaa bas ek vaa'de pe ‘umrein guzaar di jaatin bichhaDne vaalon pe yuun e'tibaar hotaa thaa na jhuTe khvaab dikhaate the ek duuje ko na haath chhoD ke koi faraar hotaa thaa jo maan hai pahle saheli thi apni beTi ki to baap beTe kaa tab pahre-daar hotaa thaa"
Hina AmbareenHina Ambareen
Quote
"khud-saakhta sazaa ko jo ham chun liye gae hasrat ke jaal chaaron taraf bun liye gae phir ye bataa ki daa'vaa-e-sarf-e-nazar thaa kyaa sinon ke raaz tak bhi agar sun liye gae niklaa na koi hal bhi mohabbat ke jurm kaa ik ek kar ke jitne the sar dhun liye gae tufaan mein gharq ho gayaa jab shahr sab kaa sab tab jaa ke sirf hosh ke naakhun liye gae gadli paDi hai phir bhi koi jhiil zarf ki zarraat garche ret ke sab pun liye gae rach-bas gayaa thaa zehn mein ehsaas hijr kaa lekin khayaal she'r ke khush-kun liye gae jismon ke mail dhul gae dil ke na dhul sake jitne bhi besh-qimti saabun liye gae"
Hina AmbareenHina Ambareen
Quote
"khil uThe sukh ke phuul chaaron taraf aae jab jab rasul chaaron taraf phir mohabbat ne baanhein phailaain phir rahe the malul chaaron taraf maan ki aahein zarur lagti hain aah-e-bint-e-rasul chaaron taraf ek kun ki sadaa ki maar hain sab hogaa haq kaa nuzul chaaron taraf ham bagulon ki nazr ho gae the aur uDti thi dhuul chaaron taraf main ne phulon ke khvaab dekhe the kyon ug aae babul chaaron taraf us nazar ke javaab mein gunji ik sadaa-e-qubul chaaron taraf jaane vaalon ne 'ahd toD diye ban gae the usuul chaaron taraf adab-aadaab kho gae hain kahin ban rahe hain schōl chaaron taraf"
Hina AmbareenHina Ambareen
Quote
"chehron pe khaamushi ki lau ruuh se ham-kalaam hain yaani jo gharq-e-ishq hain un ko mire salaam hain khalvat-e-dil tire liye aaungi jald lauT ke milne ko aae mehmaan ghar ke do chaar kaam hain kaise hain mere aqrabaa kaisi huun main pataa nahin baatein hain khud se raat din bhule tamaam naam hain roz-e-azal se hain judaa aql-o-junun ke raaste yaani tire khayaal mein donon ke ek daam hain ishq ki avvalin shart hai kucha-e-yaar se nikal hosh se be-niyaaz ho bhuul jaa subh-o-shaam hain kaar-e-firaaq-o-hijr to ujlat kaa kaam hi nahin lamhe tire khayaal ke tujh se bhi tez-gaam hain"
Hina AmbareenHina Ambareen
Quote
"dil mulamma’-saaziyon se bhar gae baagh naqli titliyon se bhar gae aaiin jab stadium mein laDkiyaan hall yak dam siTiyon se bhar gae khokhle hone lage hain qahqahe aaine kaTh-putliyon se bhar gae kyaa banaa di aadmi ki zindagi shahr saare vahshiyon se bhar gae vo saDak par paanv dharti khub-ru sab gharaunde khiDkiyon se bhar gae kho gayaa ras jaadui aavaaz kaa kaan aise jhiDkiyon se bhar gae jin ke zakhmon par namak masle gae haspataal un zakhmiyon se bhar gae karvaTon se uubte pahlu rahe mez kitne shishiyon se bhar gae pheink diin baisaakhiyaan tairaak ne saare dariyaa kashtiyon se bhar gae raakh kaise phuul mein badli gai khvaab kis ki shokhiyon se bhar gae un labon se raat-bhar phuTe sukhan aur chashme motiyon se bhar gae dastakon ke zor se dar khul gae kaan bajti ungliyon se bhar gae"
Hina AmbareenHina Ambareen
Quote
"muntashir hote hue ambaar ko tasvir kar soch ki photo banaa afkaar ko tasvir kar sabr ko kar canvas jo yaar ki khaatir sahaa yaar ki photo banaa phir ghaar ko tasvir kar camere mein qaid kar tahrir ki taklif ko hijr mein likkhe gae ashaar ko tasvir kar raat din phir un se kar to ham-kalaami guftugu iinT kaa ik dil banaa divaar ko tasvir kar ik qayaamat dekh le rohingya par TuTti dard ko ik shakl de aazaar ko tasvir kar khvaahishon ke khubsurat qasr ki taamir kar kar mujassam khvaab ko meamaar ko tasvir kar"
Hina AmbareenHina Ambareen
Quote
"aap ke saath ho liye saahab boliye kuchh to boliye saahab ek ghanTe ke saaTh minton mein sainkaDon baar ro liye saahab log to log the magar ye kyaa aap bhi saath ho liye saahab khaamushi kaan khaa gai hai mire ras samaaat mein gholiye saahab band-e-gham se mujhe rihaai mile apni baanhon ko kholiye saahab ham ne aanchal pe hijr kaaDh liyaa aur aansu piro liye saahab aastin mein rahaa nahin kuchh bhi pal chuke hain sanpoliye saahab aap kaa dil hamaaraa maskan hai dhaDkanon ko TaToliye saahab mat aTakiye miyaan-e-goyaai har qadam par na Doliye saahab"
Hina AmbareenHina Ambareen
Quote
"vaqt ke kaan kaun bhar rahaa hai vaqt vaise bhi to guzar rahaa hai saal do chaar pichhe ho gae hain aaina dekh kar sanvar rahaa hai kaun rahtaa hai paar dariyaa ke ye jo paani hai kyon biphar rahaa hai ye udaasi bhi be-sabab to nahin dil kisi justuju mein mar rahaa hai thaam kar haath meraa haathon mein baat be-baat kyon mukar rahaa hai duur hi rahiye dur-tar rahiye aap se kaun baat kar rahaa hai meraa saaya bhi mere saath nahin kyaa koi meraa ham-safar rahaa hai kitne baune hue hain vo saabit khabt jin kaa hamaare sar rahaa hai ek vahshat kaa baab khatm huaa ek nashsha thaa jo utar rahaa hai"
Hina AmbareenHina Ambareen
Quote
"aisaa gham hai ki jo kar degaa mire baal safed aur vahshat bhi kuchh aisi ki hue gaal safed main ne pathraai hui aankh se ambar dekhaa aan ki aan huaa taaron-bharaa thaal safed laash us shakhs ne mehnat se banaayaa mujh ko surkh chaadar ko mire sar se haTaa Daal safed aur phir niilaa huaa saare kaa saaraa manzar main ne dekhaa thaa kisi phuul pe rumaal safed ajnabi bantaa hai kaise koi apnaa pal mein kaise hotaa hai ghaDi-bhar mein lahu laal safed kaale kavve to bahut jhuTi khabar dete hain to kabutar koi paighaam-rasaa paal safed haae in phulon ne khaa li mire ghar ki raunaq phuul bheje gae tohfe mein to har saal safed"
Hina AmbareenHina Ambareen
Quote
"tum kahaan mujh se mulaaqaat ko aa sakte ho chalti gaaDi se faqat haath hilaa sakte ho yuun nahin hai ki har ik khvaab ko taabir mile aisaa kab hai jise chaaho use paa sakte ho mere jaise ho to haazir hain mire qalb-o-nazar auron jaise ho to phir shauq se jaa sakte ho laazmi ye bhi kahaan hai ki hamaare hi raho dafatan aur kisi ko bhi to bhaa sakte ho aasmaanon se mire vaaste raushan taare baaton baaton mein sahi toD ke laa sakte ho tum ko to vusat-e-izhaar pe hai itnaa ubuur jam ke ik sher agar kah do to chhaa sakte ho main zamaane mein mohabbat ki sadaa baanTti huun meri aavaaz mein aavaaz milaa sakte ho"
Hina AmbareenHina Ambareen
Quote
"yaad par ungliyaan uThaati huun khvaab par tohmatein lagaati huun kyaa kahaa dasht kaa iraada hai to chalo saath main bhi aati huun vo jo mujh se kabhi milaa hi nahin main use raat din sataati huun us ko rakkhaa hai fikr se aazaad khud pe paabandiyaan lagaati huun naa kahin khvaab jaan jaaein miraa phuul se titliyaan uDaati huun dar kaa dastak ke saath rishta hai is liye roz khaTkhaTaati huun main tiraa khvaab dekhne ke liye niind ki raushni banaati huun aankh ko khushk kar liyaa main ne khvaab sailaab mein bahaati huun"
Hina AmbareenHina Ambareen