SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byImran Aami(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"tujh se ik haath kyaa milaa liyaa hai shahr ne vaaqia banaa liyaa hai ham to ham the ki us pari-ru ne aaine kaa bhi dil churaa liyaa hai varna ye sail-e-aab le jaataa shahr ko aag ne bachaa liyaa hai aisi naav mein kyaa safar karnaa jis ne dariyaa ko dukh sunaa liyaa hai kuza-gar ne hamaari miTTi se kyaa banaanaa thaa kyaa banaa liyaa hai dekhiye pahle kaun martaa hai saanp ne aadmi ko khaa liyaa hai jaane vaalon ko ab ijaazat hai ham ne apnaa diyaa bujhaa liyaa hai jab koi baat hi nahin 'aami' aasmaan sar pe kyuun uThaa liyaa hai"
Imran AamiImran Aami
Quote
"zakhm ab tak vahi siine mein liye phirtaa huun kuufe vaalon ko madine mein liye phirtaa huun jaane kab kis ki zarurat mujhe paD jaae kahaan aag aur khaak safine mein liye phirtaa huun ret ki tarah phisalte hain miri aankhon se khvaab aise bhi khazine mein liye phirtaa huun ek naakaam mohabbat miraa sarmaaya hai aur kyaa khaak dafine mein liye phirtaa huun dil pe likkhaa hai kisi aur pari-zaad kaa naam naqsh ik aur nagine mein liye phirtaa huun is liye sab se alag hai miri khushbu 'aami' mushk-e-mazdur pasine mein liye phirtaa huun"
Imran AamiImran Aami
Quote
"is dasht se aage bhi koi dasht-e-gumaan hai lekin ye yaqin kaun dilaaegaa kahaan hai ye ruuh kisi aur ilaaqe ki makin hai ye jism kisi aur jazire kaa makaan hai kartaa hai vahi kaam jo karnaa nahin hotaa jo baat main kahtaa huun ye dil suntaa kahaan hai kashti ke musaafir pe yunhi taari nahin khauf Thahraa huaa paani kisi khatre kaa nishaan hai jo kuchh bhi yahaan hai tire hone se hai varna manzar mein jo khiltaa hai vo manzar mein kahaan hai is raakh se uThti hui khushbu ne bataayaa marte hue logon ki kahaan jaa-e-amaan hai ye kaar-e-sukhan kaar-e-abas to nahin 'aami' ye qaafiya-paimaai nahin husn-e-bayaan hai"
Imran AamiImran Aami
Quote
"jitne paani mein koi Duub ke mar saktaa hai utnaa paani to miri ok mein bhar saktaa hai ye to main roz kinaare pe khaDaa sochtaa huun pyaas baDh sakti hai dariyaa bhi utar saktaa hai ik diyaa aur to kuchh kar nahin saktaa lekin shab ki divaar mein darvaaza to kar saktaa hai husn-e-tartib se rakkhi hui yaadon ki taraf dekhne vaalaa kisi roz bikhar saktaa hai is kaa titli saa badan duur se dekhaa jaae vo kisi haath mein aate hue mar saktaa hai tum zaraa soch ke us shakhs pe takiya karnaa vo farishta nahin vaade se makr saktaa hai dil ko aankhon se ulajhne nahin detaa 'aami' varna dariyaa se samundar bhi guzar saktaa hai"
Imran AamiImran Aami
Quote
"baat dil ko mire lagi nahin hai mere bhaai ye shaaeri nahin hai jaanti hai mire charaagh ki lau kaun se ghar mein raushni nahin hai vo taalluq bhi mustaqil nahin thaa ye mohabbat bhi daaimi nahin hai main jo qissa sunaa chukaa to khulaa koi divaar bolti nahin hai dekhne vaali aankh bhi to ho kaun dariyaa mein jal-pari nahin hai buzdilaa chhup ke vaar kartaa hai tujh ko tahzib-e-dushmani nahin hai kyaa karun is bahisht ko jis mein ek botal sharaab ki nahin hai tujh se milnaa bhi hai nahin bhi mujhe aur tabiat ulajh rahi nahin hai kaun se shahr ke charaagh ho tum tum mein dam bhar ki raushni nahin hai jis kaa charchaa hai shahr mein 'aami' vo ghazal to abhi kahi nahin hai"
Imran AamiImran Aami
Quote
"ham-saae mein shaitaan bhi rahtaa hai khudaa bhi jannat bhi mayassar hai jahannam ki havaa bhi ye shahr to lagtaa hai kabaaDi ki dukaan hai khoTaa bhi isi mol mein biktaa hai kharaa bhi is jism ko bhi chaaT gai saans ki dimak main ne use dekhaa thaa kisi vaqt haraa bhi jaise kabhi pahle bhi main guzraa huun yahaan se maanus hai is rah se miri laghzish-e-paa bhi is dasht ko pahchaan rahi hain miri aankhein dekhaa huaa lagtaa hai ye an-dekhaa huaa bhi tum bhi to kisi baat pe raazi nahin hote tabdil nahin hotaa muqaddar kaa likhaa bhi ab faisla-kun moD pe aa pahunchaa miraa ishq dariyaa bhi hai maujud yahaan kachchaa ghaDaa bhi mumkin hai mein is baar bhaTak jaaun safar mein is baar mire saath havaa bhi hai diyaa bhi ye shahr farishton se bharaa rahtaa hai 'aami' is shahr pe ik khaas inaayat hai sazaa bhi"
Imran AamiImran Aami
Quote
"koi majnun koi farhaad banaa phirtaa hai ishq mein har koi ustaad banaa phirtaa hai jis se taa'bir ki ik iinT uThaai na gai khvaab ke shahr ki buniyaad banaa phirtaa hai pahle kuchh log parindon ke shikaari the yahaan ab to har aadmi sayyaad banaa phirtaa hai dhuup mein itni suhulat bhi ghanimat hai mujhe ek saaya miraa ham-zaad banaa phirtaa hai baagh mein aisi havaaon kaa chalan aam huaa phuul saa haath bhi faulaad banaa phirtaa hai naqsh-bar-aab to ham dekhte aae lekin naqsh ye kaun saa barbaad banaa phirtaa hai"
Imran AamiImran Aami
Quote
"main sach kahun pas-e-divaar jhuuT bolte hain mire khilaaf mire yaar jhuuT bolte hain mili hai jab se unhein bolne ki aazaadi tamaam shahr ke akhbaar jhuuT bolte hain main mar chukaa huun mujhe kyuun yaqin nahin aataa to kyaa ye mere azaa-daar jhuuT bolte hain ye shahr-e-ishq bahut jald ujaDne vaalaa hai dukaan-daar o kharidaar jhuuT bolte hain bataa rahi hai ye taqrib-e-mimbar-o-mehraab ki muttaqi o riyaa-kaar jhuuT bolte hain qadam qadam pe nai daastaan sunaate log qadam qadam pe kai baar jhuuT bolte hain main sochtaa huun ki dam lein to main unhein Tokun magar ye log lagaataar jhuuT bolte hain hamaare shahr mein 'aami' munaafiqat hai bahut makin kyaa dar-o-divaar jhuuT bolte hain"
Imran AamiImran Aami
Quote
"koi meraa imaam thaa hi nahin main kisi kaa ghulaam thaa hi nahin tum kahaan se ye but uThaa laae is kahaani mein raam thaa hi nahin jis qadar shor-e-aab-o-gil thaa yahaan us qadar ehtimaam thaa hi nahin is liye saadh li thi chup main ne is se behtar kalaam thaa hi nahin ham ne us vaqt bhi mohabbat ki jab mohabbat kaa naam thaa hi nahin tu kahaan raaste mein aa gai hai zindagi tujh se kaam thaa hi nahin vaqt ne laa khaDaa kiyaa us jaa jo hamaaraa maqaam thaa hi nahin is liye khaas kar diyaa gayaa ishq aam logon kaa kaam thaa hi nahin"
Imran AamiImran Aami
Quote
"kuchh ehtimaam na thaa shaam-e-gham manaane ko havaa ko bhej diyaa hai charaagh laane ko hamaare khvaab salaamat rahein tumhaare saath ye baat kaafi hai duniyaa ki niind uDaane ko hamaaraa khuun kisi kaam kaa nahin bhaai ye paani Thiik hai lekin diye jalaane ko hamaari raakh yunhi to nahin kuredte log hamaare paas koi baat hai chhupaane ko tire baghair bhi ham ji rahe hain aur khush hain ye baat kam to nahin hai tujhe jalaane ko hamaare khuun se luThDe hue hain haath us ke hamaare saath mohabbat bhi hai zamaane ko vo jin ke paas koi aks bhi nahin 'aami' taDap rahe hain mujhe aaina dikhaane ko"
Imran AamiImran Aami
Quote
"parinda aaine se kyaa laDegaa fareb-e-zaat mein aa kar maregaa mohabbat bhi baDi lambi saDak hai barahna-paa koi kitnaa chalegaa hamaare jaagne tak dekhnaa tum hamaare khvaab kaa charchaa rahegaa hamaari khaak se duniyaa bani thi hamaari raakh se ab kyaa banegaa ye chingaari bhaDak uTThegi ik din miyaan ye 'ishq hai ho kar rahegaa tujhe duniyaa ki 'aadat paD gai hai akelaa rah gayaa to kyaa karegaa main tere saath mar saktaa huun lekin tu mere saath kyaa zinda rahegaa abhi se soch lo khaana-badosho hamaari raah mein sahraa paDegaa samundar ne ravaani siikh li hai mire dariyaa tumhaaraa kyaa banegaa"
Imran AamiImran Aami