SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byImtiyaz Saghar(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"subh-e-qayaamat jaan se guzarne lagti hai tez chalun to saans bikharne lagti hai shahr-e-jaan mein ishq ki shamein bujhte hi qatra qatra raat utarne lagti hai kabhi kabhi ye zakhm khilaati purvaai rang miri tasvir mein bharne lagti hai raat ki aankhein bujhte bujhte mahfil mein parvaanon ki khaak bikharne lagti hai izn-e-huzuri us dar se mil jaae agar patthar pe tasvir ubharne lagti hai itni khush-nazari bhi 'saaghar' Thiik nahin aankh kabhi taabir se Darne lagti hai"
I
Imtiyaz Saghar
Quote
"vaqt ho rahaa hai phir zau-fishaan hatheli par naqsh hain muqaddar ki surkhiyaan hatheli par mahram-e-basirat thaa dil mein gaD gaiin aakhir roktaa bhalaa kab tak barchhiyaan hatheli par sar-burida logon kaa in dinon paDosi huun aur uThaae phirtaa huun aashiyaan hatheli par ab ke bhi nahin aayaa abr-o-baad kaa mausam buund ko tarasti hain sipiyaan hatheli par jab gharon ke aangan mein chaandni bikharti hai khun-e-dil sajaati hain laDkiyaan hatheli par sehn-e-gul ki raunaq hain qaid kar nahin sakte rang chhoD jaati hain titliyaan hatheli par pattharon se Takraa kar chuur ho gayaa 'saaghar' ham sajaae phirte hain kirchiyaan hatheli par"
I
Imtiyaz Saghar
Quote
"pahle subh kaa raushan taaraa sirf hamaare dhyaan mein thaa lekin azm ki lau bhaDki to suraj bhi imkaan mein thaa shahr-e-jaan se dasht-e-adam tak karb kaa mausam saath rahaa jaane kis ki khoj mein the ham kis kaa chehra dhyaan mein thaa sahr-e-sud-o-ziyaan mein shor thaa ghaTte baDhte nirkhon kaa lekin us shaffaaf gali kaa har lamha nirvaan mein thaa mahrumi ki barf pighal kar meri ragon mein jam jaati aankh mein suraj dar aate hi jism bhi aatish-daan mein thaa main Thahraa ik muflis shaair nazr use kartaa bhi kyaa bas ye jivan vaar aayaa huun jivan hi imkaan mein thaa saari umr guzaari 'saaghar' tab ye tilism-e-zaat khulaa ik chehre kaa aks thaa mujh mein ik chehra gul-daan mein thaa"
I
Imtiyaz Saghar
Quote
"hain ghar ki muhaafiz miri dahki hui aankhein main taaq mein rakh aayaa huun jalti hui aankhein ik pal bhi kisi moD pe rukne nahin detin kaanTon ki tarah jism mein chubhti hui aankhein raste mein qadam phunk ke rakhnaa mere pyaaro hain chaaron taraf shahr mein bikhri hui aankhein yuun us ke bichhaD jaane pe aansu na bahaao manzar ko taras jaaeingi bhigi hui aankhein qaatil ke sivaa koi samajh hi nahin saktaa kyaa dekhti hain tasht mein rakkhi hui aankhein kyaa jaaniye kis khvaab ki taabir mein gum hain zulfon ki ghani chhaanv mein uljhi hui aankhein 'saaghar' shab-e-tira mein ujaalon ki amiin hain nafrat ke samundar mein ye bahti hui aankhein"
I
Imtiyaz Saghar
Quote
"vo sanglaakh zaminon mein sher kahtaa thaa ajiib shakhs thaa khiltaa gulaab jaisaa thaa sulagte jism pe mere gulon kaa saaya thaa tire vajud kaa vo lams kitnaa mahkaa thaa jo aashnaa the bahut ajnabi se lagte the vo ajnabi thaa magar aashnaa saa lagtaa thaa parind shaam Dhale ghonslon ki samt chale charaagh jalte hi us ko bhi lauT aanaa thaa usi darakht ko mausam ne be-libaas kiyaa main jis ke saae mein thak kar udaas baiThaa thaa hamaare gird vahi aahani salaakhein hain siyaah raat kaa kaTnaa to ek dhokaa thaa charaagh donon kinaaron ke bujh gae 'saaghar' hamaari raah mein haael lahar kaa dariyaa thaa"
I
Imtiyaz Saghar
Quote
"aadmi khud ko ajab rang mein Duubaa dekhe honT tishna hon magar aankh mein dariyaa dekhe ziist karne ke liye umr bahut thoDi hai apni duniyaa se alag kyaa koi duniyaa dekhe dasht-e-tanhaai mein ab lams-e-judaai bhi nahin aaina-gar se kaho apnaa tamaashaa dekhe shahr-aashob mein mahtaab-sifat koi to ho zindagi biit rahi hai koi chehra dekhe aakhiri maarka-e-shab mein jo bach jaae use ye zaruri to nahin subh kaa taaraa dekhe mustaqil hijr ne aankhon kaa hunar chhin liyaa kaun ab taaq mein khurshed ko jaltaa dekhe aisaa mumkin to nahin phir bhi ye ji chaahtaa hai main na ghar lauTun to shab bhar koi rasta dekhe"
I
Imtiyaz Saghar
Quote
"khuli jo aankh to sadiyon kaa faasla niklaa mire vajud mein ik shakhs dusraa niklaa ajab na thaa mujhe sahraa ki dhuup khaa jaati qadam baDhaae junun ne to raasta niklaa khabar nahin ki vo aashob-e-vaqt kaisaa thaa har ek aankh mein barson kaa ratjagaa niklaa firaaq-e-subh mein vo aankh jal rahi thi magar bujhaa huaa dar-e-hijraan pe ik diyaa niklaa ghazab ki aag dahakne lagi hai sinon mein ye kaun dhuup mein le kar ke aaina niklaa har ek phuul ne jhuk kar tujhe salaami di jo sehn-e-gul mein kabhi teraa tazkira niklaa palak jhapakte hi duniyaa badal gai 'saaghar' ki meraa saaya bhi mujh se gurez-paa niklaa"
I
Imtiyaz Saghar
Quote
"har be-khataa hai aaj khataa-kaar dekhnaa sachchaaiyon pe jhuuT ki yalghaar dekhnaa taqdir ban na jaae shab-e-taar dekhnaa bujhne ko hai charaagh sar-e-daar dekhnaa maqtul ki jabin pe hai qaatil likhaa huaa kyaa faisla ho kal sar-e-darbaar dekhnaa hogaa bahut shadid tamaazat kaa intiqaam saae se mil ke roegi divaar dekhnaa in pattharon ke saae mein ruknaa fuzul hai be-barg-o-be-samar hain ye kohsaar dekhnaa is shahr-e-aarzu ko nazar kis ki khaa gai maqtal bane hain kucha-o-baazaar dekhnaa kuchh din agar ye mausam-e-vahshat-asar rahaa har aadmi ko be-dar-o-divaar dekhnaa detaa huun kaise jaan sar-e-jaada-e-vafaa mujh ko na dekhnaa miraa pindaar dekhnaa khun-e-jigar se likhtaa huun 'saaghar' main harf-e-haq vaqt aae to qalam ko bhi talvaar dekhnaa"
I
Imtiyaz Saghar
Quote
"rumuz-e-chashm-e-karam se jo baa-kamaal hue nisaab-e-ishq mein vo log laa-zavaal hue harim-e-naaz tiri bazm se nikaale hue safir-e-nur hue aaina-misaal hue kabhi guzar to sahi tu bhi is kharaabe se kabhi to dekh ki ham kitne paaemaal hue havaa-e-ku-e-tamannaa pukaarti hai jinhein vo log khvaab hue gard-e-maah-o-saal hue musaafiron se kaho hadd-e-shahr khatm hui ye dasht-e-hijr hai chehre yahaan khayaal hue ye kaisi subh-e-tamannaa hai ghar ke aangan mein asir-e-zulmat-e-shab mere naunihaal hue koi to dekhe ye mahbubiyat ki manzil bhi jamaal-e-kaun-o-makaan nazr-e-khadd-o-khaal hue"
I
Imtiyaz Saghar