SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"haalat nahin hai Thiik abhi gulsitaan ki aab-o-havaa hai bigDi hui is jahaan ki 'izzat jo us ko deti thi deti nahin hai ab tahqir kar rahi hai zamin aasmaan ki mausam bahut hai sakht ye us ko khabar nahin baiThaa hai fikr mein jo parinda uDaan ki har-su chaman mein hotaa hai phulon kaa qatl-e-'aam is par nazar nahin hai magar baaghbaan ki phailaanaa ham ko haath nahin hai miyaan pasand lete nahin hain ham to koi chiiz daan ki sahraa mein kaun zikr-e-ilaahi mein mahv hai khushbu yahaan hai bikhri hui zaa'fraan ki in se zamin ke baare mein kyaa puchhte ho tum puchho qalandaron se khabar aasmaan ki aavaaz sun ke meri vo ruk jaaegaa 'qamar' ye baat ho bhi sakti hai mere gumaan ki"
Javed Qamar LiyaqatiJaved Qamar Liyaqati
Quote
"kuchh nahin hai zindagi mein ab hai khaali zindagi lag rahaa hai ban gai hai ik savaali zindagi jis ko hai paas-e-vafaa paas-e-hayaa is daur mein zindagi hai asl mein us ki misaali zindagi shaah ke darbaar mein bhi sar na kham ham ne kiyaa ham jiye jab tak guzaari shaan vaali zindagi is samundar se koi moti nahin ham ko milaa yuun to ham ne 'umr bhar apni khangaali zindagi so gae ham oDh kar tanhaai mein saari thakan maut ne apne gale jis dam lagaa li zindagi zindagi se tum abhi vaaqif nahin achchhi tarah is liye lagti hai tum ko bholi-bhaali zindagi hain bahaarein hi bahaarein shahr mein lekin 'qamar' shahr se behtar hai phir bhi gaanv vaali zindagi"
Javed Qamar LiyaqatiJaved Qamar Liyaqati
Quote
"koi to dost mile koi gham-gusaar mile hai be-qaraar bahut dil ise qaraar mile ye kaisi bazm-e-tarab hai jahaan mujhe aa kar khushi to koi nahin gham magar hazaar mile pilaa rahaa huun lahu dil kaa main charaaghon ko mire charaaghon ko suraj kaa e'tibaar mile vo kaisaa daur-e-bahaaraan thaa kaisaa gulshan thaa jidhar bhi Daali nazar main ne mujh ko khaar mile tumhaaraa phuul saa chehra sadaa rahe shaadaab khizaan ho meraa muqaddar tumhein bahaar mile diye hain vaqt ne aansu bhi meri aankhon ko khushi ke saath mujhe gham bhi be-shumaar mile jafaa-parast sitamgar mile 'qamar' mujh ko koi zamaane mein ab to vafaa-shi'aar milaa"
Javed Qamar LiyaqatiJaved Qamar Liyaqati
Quote
"bapaa ho jaaegaa mahshar jo gham-khvaaron ko niind aai qabile luT hi jaaeinge jo sardaaron ko niind aai kai raaton ki bedaari salib-o-daar jaisi thi bahut mushkil se kal shab dard ke maaron ko niind aai chaman mein ghuncha-o-gul par sitam hotaa rahaa shab bhar hifaazat mein jo un ki the unhin khaaron ko niind aai jalaa kar khaak kar Daalaa mohabbat ke gulistaan ko 'adaavat ke dahakte tab un angaaron ko niind aai surur-o-kaif ke qisse bayaan hote rahe kal shab na soyaa saaqi-e-mahfil na mai-khvaaron ko niind aai jo haq ke saath rahte the jo haq ki baat karte the jalaa kar bastiyaan un ki sitam-gaaron ko niind aai 'ajab thaa ik tamaasha chaar-su thi nuur ki baarish 'qamar' jab chaand soyaa tab kahin taaron ko niind aai"
Javed Qamar LiyaqatiJaved Qamar Liyaqati
Quote
"hosh mein aa kar mujhe ghaflat kaa andaaza huaa matlabi is daur ki chaahat kaa andaaza huaa mushkilon ko raund kar jab main baDhaa manzil ki samt ham-safar ko tab miri himmat kaa andaaza huaa jab amir-e-shahr ne mujh ko biThaayaa apne paas ahl-e-mahfil ko miri 'izzat kaa andaaza huaa jo mire dil mein basaa thaa jab huaa main us se duur pyaar ke ehsaas aur ulfat kaa andaaza huaa be-khabar thaa apni haalat se main tere hijr mein aaine ko dekh kar haalat kaa andaaza huaa vo pari-paikar nazar ke saamne thaa be-naqaab raat apne khvaab ki qimat kaa andaaza huaa tishna-lab lauTaa main jab dariyaa pe aa kar ai 'qamar' tab kisi ki pyaas ki shiddat kaa andaaza huaa"
Javed Qamar LiyaqatiJaved Qamar Liyaqati
Quote
"main gham se ham-kanaar bahut der tak rahaa dil meraa sogvaar bahut der tak rahaa meri shikast ho gai us ki hui hai jiit dushman ko ye khumaar bahut der tak rahaa suraj ko pastiyon mein utarnaa paDaa magar maanaa ki iqtidaar bahut der tak rahaa pahlu se uTh ke aap mire jab chale gae dil meraa be-qaraar bahut der tak rahaa gham ko hamaare baanTne aae 'aziz sab ik teraa intizaar bahut der tak rahaa aamad se teri kaliyon ke chehre chamak uThe phulon pe bhi nikhaar bahut der tak rahaa mahfil mein us ki jaanaa paDaa ham ko ai 'qamar' kab dil pe ikhtiyaar bahut der tak rahaa"
Javed Qamar LiyaqatiJaved Qamar Liyaqati
Quote
"kyon saansein aati jaati hain mushkil ke saath aaj kuchh to buraa huaa hai mire dil ke saath aaj kyaa baat hai akelaa sar-e-aasmaan hai kyon taare nahin hain kyon mah-e-kaamil ke saath aaj jis par mujhe yaqin thaa jis par ghurur thaa vo shakhs mil gayaa mire qaatil ke saath aaj toDaa hai tu ne dil ko ye saabit karungaa main huun saamne main tere dalaael ke saath aaj tufaan to nahin hai koi aane vaalaa phir kyon kashtiyaan bandhi hain ye saahil ke saath aaj aati hai shaam hi se kisi bevafaa ki yaad lagtaa hai raat guzregi mushkil ke saath aaj ghaafil kisi ki yaad mein is darja thaa 'qamar' Takraa gayaa vo rahbar-e-manzil ke saath aaj"
Javed Qamar LiyaqatiJaved Qamar Liyaqati
Quote
"baiThe hain kyon andheraa kiye vaqt-e-shaam log kyon raushni kaa karte nahin intizaam log is vaqt khaas logon ke munsif asar mein hai rudaad-e-gham sunaaein kise apni 'aam log jo raasta hai amn-o-mohabbat kaa raasta us raaste pe chalte nahin tez-gaam log dil mein ghubaar un ke hai lekin bharaa huaa aate nazar hain yuun to bahut khush-kalaam log daulat ko hai kamaane ki kuchh aisi dhun savaar pahchaante nahin hain halaal-o-haraam log tum to zabaan se apni na mujh ko buraa kaho tanqid mujh pe karte hain yuun to tamaam log mazlumon ke lahu se range un ke haath hain jo amn kaa hain dete jahaan ko payaam log aankhein dikhaa rahe hain hamein aaj vo 'qamar' kal tak jo ham ko karte the jhuk kar salaam log"
Javed Qamar LiyaqatiJaved Qamar Liyaqati
Quote
"qaatil nazar ki zad pe main aane se bach gayaa phir zakhm apne dil pe main khaane se bach gayaa achchhaa huaa ki tum ne nazar mujh se pher li main bhi ghamon kaa bojh uThaane se bach gayaa izhaar us ne khud hi mohabbat kaa kar diyaa dil ki main baat honTon pe laane se bach gayaa patthar thaa aaina main samajhtaa rahaa jise ik bevafaa se dil ko lagaane se bach gayaa sar ko jhukaa ke dar pe tire faaede mein huun har dar pe apne sar ko jhukaane se bach gayaa"
Javed Qamar LiyaqatiJaved Qamar Liyaqati
Quote
"tere bin ye dil kisi kaa ab to mushtaaqi nahin aisaa lagtaa hai tamanna ab koi baaqi nahin aastinon mein chhupaae phir rahe hain saanp sab zahr aaluda fazaa hai aaj tiryaaqi nahin aag ki hoti hai baarish aasmaan se har ghaDi ab parinda koi bhi mahfuz aafaaqi nahin asl ye rudaad hai jis ko sunaataa huun tumhein mustanad kirdaar hain koi bhi ilhaaqi nahin aaj qazzaaqon ke hai zer-e-asar har raasta kis taraf hoti bataao aaj qazzaaqi nahin main sharifon ki zabaan mein baat kartaa huun miyaan kah diyaa to meraa lahja ghair-akhlaaqi nahin kaise rindon ki bujhegi pyaas aise mein 'qamar' mai bhi hai miinaa bhi saaghar bhi hai bas saaqi nahin"
Javed Qamar LiyaqatiJaved Qamar Liyaqati
Quote
"kab zamaane kaa sitam hai koi mujh par TuuTaa be-rukhi se hai tumhaari dil-e-muztar TuuTaa qaafila manzil-e-maqsud pe pahunchegaa nahin hausla teraa agar raah mein rahbar TuuTaa ek muddat mein banaayaa thaa jise mehnat se kitnaa afsos huaa jab vo miraa ghar TuuTaa jis ke ash'aar mein aati thi nazar zinda-dili mujh ko aataa hai nazar ab vo sukhanvar TuuTaa ho gayaa nazr-e-khizaan phuul khilaa jab koi ye sitam bar-sar-e-gulzaar baraabar TuuTaa baagh ke maali kisi ne to use toDaa hai shaakh se khud to nahin hai ye gul-e-tar TuuTaa vo tavajjoh ki nazar karte nahin mujh pe 'qamar' jaaun ab main dil-e-muztar kahaan le kar TuuTaa"
Javed Qamar LiyaqatiJaved Qamar Liyaqati
Quote
"kaise suneinge aap vo kaanon se guftugu karte hain ahl-e-'ishq to aankhon se guftugu daulat ne us kaa rakh diyaa lahja bigaaD kar kartaa nahin vo Thiik se apnon se guftugu jo raaz hain tumhaare na khul jaaein vo kahin karnaa samajh ke soch ke logon se guftugu tere khayaal tere tasavvur mein Duub kar har raat main ne ki hai charaaghon se guftugu paayaa na koi tarz-e-takallum mein aap saa ham kar chuke hain yuun to hazaaron se guftugu be-‘ilm hain jo un ko kitaabon se kaam kyaa karte hain ahl-e-'ilm kitaabon se guftugu rusvaaiyon ke khauf se mahfil mein ai 'qamar' kartaa hai koi mujh se ishaaron se guftugu"
Javed Qamar LiyaqatiJaved Qamar Liyaqati
Quote
"masarraton ke fasaane kaa ikhtitaam huaa hamaaraa dard zamaane mein ab to 'aam huaa ye qisse aaj bhi aansu bayaan karte hain gham-e-hayaat kaa qissa kahaan tamaam huaa na jiite ji mili duniyaa mein us ko kuchh 'izzat ki baa'd marne ke duniyaa mein us kaa naam huaa tumhaaraa raqs bhi jaaez hai bar-sar-e-mahfil hamaaraa baiTh ke piinaa bhi ab haraam huaa dhaDaktaa hai mire siine mein ye tumhaaraa liye jo dil miraa hai vo kab kaa tumhaare naam huaa jahaan-jahaan pe qadam mere yaar ne rakkhe vahin vahin pe bahaaron kaa ehtimaam huaa zabaan khul na saki un ke ru-ba-ru to 'qamar' nazar nazar mein sar-e-anjuman kalaam huaa"
Javed Qamar LiyaqatiJaved Qamar Liyaqati
Quote
"ye daur daur-e-sitamgar hai jaagte rahnaa har ek haath mein khanjar hai jaagte rahnaa nahin hai us ki nigaahon mein raah ke khatre ki aaj niind mein rahbar hai jaagte rahnaa bharosa Thiik nahin naakhudaa pe itnaa bhi jo paar karnaa samundar hai jaagte rahnaa sunaa hai basti se aandhi guzarne vaali hai tumhaaraa phuns kaa chhappar hai jaagte rahnaa samajh ke aaina tum jis ke paas baiThe ho vo aaina nahin patthar hai jaagte rahnaa tabaah kar na de tum ko ye niind ghaflat ki ye maanaa phulon kaa bistar hai jaagte rahnaa 'qamar' zamaana hai soyaa huaa to sone do tumhaaraa kaam baraabar hai jaagte rahnaa"
Javed Qamar LiyaqatiJaved Qamar Liyaqati
Quote
"gham tu ne kahaan gardish-e-ayyaam taraashe khud main ne hi apne liye aalaam taraashe ye teraa agar kaam nahin amn ke daa'i phir kis ne hain basti mein ye kohraam taraashe but mujh se na ban paayaa koi teri tarah kaa har-chand ki main ne kai asnaam taraashe hai teri taraf meri nazar ab bhi sitamgar paikar hai tiraa ye dil-e-naakaam taraashe kahti hai gunahgaar tujhe is mein 'ajab kyaa duniyaa ne to mariyam pe bhi ilzaam taraashe ye ‘aalam-e-masti mein kiyaa kaam 'qamar' ne maikhaane ki miTTi se nae jaam taraashe"
Javed Qamar LiyaqatiJaved Qamar Liyaqati