SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byKamal Hatvi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"kinaare par jab us ne paanv Daale nadi paani se boli jaa nahaa le use kahnaa koi rastaa nikaale baraae naam hi mujh ko manaa le gale se tu jise hans kar lagaa le vo saare shahr ko sar par uThaa le qayaamat tak vahi zinda rahegaa jise dard-e-mohabbat maar Daale ye jo sahraa hai divaanon kaa ghar hai na divaarein na darvaaze na taale nahin hain ishq ki daulat se vaaqif miri barbaadiyon par hansne vaale tasavvur mein tiri aahaT ko sun kar khushi se naach uThte hain ujaale vo paagal hai gulon mein khojtaa hai pasine se tire khushbu banaa le ab us se yuun bichhaDnaa bhi nahin hai use kahnaa nae pahlu nikaale nahin hai ab kisi aandhi ke bas mein mire ghar se tiri khushbu uDaa le"
K
Kamal Hatvi
Quote
"zindagi bhar kaa ronaa gaanaa hai qaid-khaana to qaid-khaana hai chuuk ke naam par bhi chuuk nahin kitnaa zaalim tiraa nishaanaa hai vo zamaana bhi kyaa zamaanaa thaa ye zamaana bhi kyaa zamaanaa hai jaise chaahein sajaa ke pesh karein aap hain aur gharib-khaana hai kyaa ajab shart hai mohabbat ki vaqt-e-rukhsat bhi muskuraanaa hai main huun bimaar tum chale aao ab yahi aakhiri bahaanaa hai aur kuchh din kharaab kar lo yahin phir tumhein lauT kar bhi aanaa hai yaad karnaa hai ek pal tum ko aur phir der tak bhulaanaa hai haan taalluq hamin ne toD diyaa ab sabhi ko yahi bataanaa hai"
K
Kamal Hatvi
Quote
"taalluq TuTne kaa gham uThaanaa bhi zaruri thaa zaruri tum bhi the lekin zamaana bhi zaruri thaa teri aankhon ki bechaini miri zanjir thi lekin khaDi thi rail-gaaDi aur jaanaa bhi zaruri thaa mohabbat kaa badal kuchh bhi agar hai to mohabbat hai gae the jis tarah vaise hi aanaa bhi zaruri thaa agar main farz thaa to phir nibhaayaa kyon nahin tum ne agar main qarz thaa to phir chukaanaa bhi zaruri thaa main kab tak raaz rakhtaa dil mein apni bevafaai kaa ye baat aa kar tumhein ik din bataanaa bhi zaruri thaa fazaa mein is tarah uDtaa rahegaa mustaqil kab tak parinde ke liye ik aashiyaanaa bhi zaruri thaa"
K
Kamal Hatvi
Quote
"main ne puchhaa khushi mili ki nahin chikh kar boli zindagi ki nahin dar pe ik aarzu rakh aaya thaa vo abhi tak tumhein mili ki nahin aaina to jhaTak diyaa tum ne us ki jhankaar bhi suni ki nahin kab se rakkhaa huun main dukaan pe teri koi qimat miri lagi ki nahin itnaa nashsha tumhaari aankhon mein sach bataanaa kabhi chhui ki nahin kitne jhuTon mein sach ko rakkhaa hai baat phir bhi koi bani ki nahin muddaton se maraa paDaa huun main nabz dekho abhi thami ki nahin"
K
Kamal Hatvi
Quote
"is tarah main use bhulaataa huun pattharon par likhaa miTaataa huun taaki us zindagi ko Dar na lage maut ke faaede ginaataa huun roz martaa huun apne andar main roz ik laash main uThaataa huun dard mein kuchh kami si lagti hai zakhm par zakhm jab lagaataa huun saans jaati hai le ke duur mujhe saans aati hai lauT aataa huun vasl kaa tajraba nahin hai mujhe hijr ki shaaeri sunaataa huun raqs karti hain gum-shuda yaadein aaj sab aaina bujhaataa huun jaantaa huun ki dar khuleinge nahin be-sabab chaabiyaan ghumaataa huun pahle kartaa huun khud use naaraaz aur phir der tak manaataa huun dhaDkanon shor kam karo kuchh der main bas un ko bulaa ke laataa huun"
K
Kamal Hatvi