SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byKazim Jarwali(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"qaatilo maangein to saughaat-e-safar de denaa mere bachchon ko miraa kaasa-e-sar de denaa log puchheinge ki pardes se kyaa laae ho raasto ham ko zaraa gard-e-safar de denaa sarhadein jis ki milein daar se zindaanon se zindagi mujh ko vahi raahguzar de denaa ahl-e-lashkar jo kamin-gaahon mein vaapas jaanaa mere haathon mein bhi bosida sipar de denaa ghar se masmum havaaon ko guzarne ke liye koi rauzan koi khiDki koi dar de denaa koi kahtaa hai ye maqtal ki zamin se jaa kar aasmaanon ko mire shams-o-qamar de denaa ab jo ghabraa ke andhere se ye duniyaa 'kaazim' raushni maange to taabut-e-sahar de denaa"
Kazim JarwaliKazim Jarwali
Quote
"ye sach hai charaaghaan thaa ujaalaa bhi bahut thaa basti ko magar khauf havaa kaa bhi bahut thaa jis ghar ke dar-o-baam pe dekhe gae shoale kuchh roz se us ghar mein andheraa bhi bahut thaa achchhaa hai jo duniyaa ne mujhe chhoD diyaa hai main bhiiD ke hamraah akelaa bhi bahut thaa mausam ne jise kar diyaa be-barg-o-barahna suntaa huun ki us peD mein saayaa bhi bahut thaa ab dhuup mein sotaa hai jo khole hue aankhein guzri hui raaton mein vo jaagaa bhi bahut thaa kyuun toD ke jaataa na vo aaina hamaaraa ham ne use shishe mein utaaraa bhi bahut thaa hain ret mein insaan ke udhDe hue naakhun hairat ki nahin baat vo pyaasaa bhi bahut thaa 'kaazim' thi bahut qadr kabhi ahl-e-qalam ki duniyaa mein kabhi naam hamaaraa bhi bahut thaa"
Kazim JarwaliKazim Jarwali
Quote
"jab bhi qissa apnaa paDhnaa pahle chehra chehraa paDhnaa tanhaai ki dhuup mein tum bhi baiTh ke apnaa saayaa paDhnaa aavaazon ke shahar mein rah kar siikh gayaa huun lahja paDhnaa har konpal kaa haal likhaa hai shaakh kaa piilaa pattaa paDhnaa bhej ke naama yaad dilaa do bhuul gayaa huun likhnaa paDhnaa logo meri pyaas kaa qissa sadiyon dariyaa dariyaa paDhnaa divaaron par kuchh likkhaa hai tum bhi apnaa kucha paDhnaa maazi kaa aaina rakh kar khud ko thoDaa thoDaa paDhnaa main huun sang-e-mil ki surat mujh se meraa rastaa paDhnaa ziist kaa matlab kyaa hai 'kaazim' apnaa apnaa likhnaa paDnaa"
Kazim JarwaliKazim Jarwali
Quote
"lahu mein gharq adhuri kahaaniyaan niklin dahan se TuuTi hui surkh chuDiyaan niklin main jis zamin pe sadiyon phiraa kiyaa tanhaa usi zamin se kitni hi bastiyaan niklin jahaan muhaal thaa paani kaa ek qatra bhi vahaan se TuuTi hui chand kashtiyaan niklin masal diyaa thaa sar-e-shaam ek jugnun ko tamaam raat khayaalon se bijliyaan niklin churaa liyaa thaa haveli kaa ik chhupaa manzar usi gunaah par aankhon se putliyaan niklein vo ik charaagh jalaa aur vo raushni phaili vo rahzani ke iraade se aandhiyaan niklin vo bach sakin na kabhi bul-havas parindon se hisaar-e-aab se baahar jo machhliyaan niklin khudaa kaa shukr ki is ahd-be-libaasi mein ye kam nahin ki darakhton mein patiyaan niklin yahi hai qasr-e-mohabbat ki daastaan 'kaazim' giri fasil to insaan ki haDDiyaan niklin"
Kazim JarwaliKazim Jarwali
Quote
"har taraf lau hai yahaan purvaaiyon mein chal kahin jal na jaae tere naazuk jism kaa sandal kahin muntazir hain dhuup kaa tohfa liye sab raaste aao chal kar baiTh lein saae mein pal do pal kahin giit kuchh maddham suron mein gaaein maujon se kaho ho na jaaein subh tak maanjhi ke baazu shal kahin itne lambe hain samundar se yahaan tak faasle aisaa lagtaa hai ki thak kar ruk gae baadal kahin yuun nahin aate kabhi ye aandhiyon ke qaafile rah gai hogi darakhton mein koi kopal kahin aaj ki shab mujh ko sonaa hai havaaon se kaho loriyaan gaati rahein bajtaa rahe pipal kahin dekhiye 'kaazim' zaraa ye mausamon ki dhuup chhaanv hain kahin pyaasi zaminein aur hai jal-thal kahin"
Kazim JarwaliKazim Jarwali
Quote
"gul ne jab ikhtiyaar ki aavaaz aur mahki bahaar ki aavaaz kab suneingi hamaare rishton ki sukhi shaakhein bahaar ki aavaaz aane vaalaa hai kaun saa mausam gul se aati hai khaar ki aavaaz pattharon par asar nahin karti jhiil dariyaa chinaar ki aavaaz jaane kis samt kis samundar mein so gai aabshaar ki aavaaz kar gai hai samaa'atein majruh TuTte e'tibaar ki aavaaz kal inhin baam-o-dar se aaegi mere naqsh-o-nigaar ki aavaaz ab to aane lagi hai aankhon se niind ke intizaar ki aavaaz tu muqarrir hai kis zamaane kaa tujh se aati hai daar ki aavaaz khanjaron ke badal gae lahje ik gharib-ud-dayaar ki aavaaz qaafile kaa pataa bataae kaun chup hai sahraa ghubaar ki aavaaz tere har she'r kaa hai ai 'kaazim' harf-e-tanhaa hazaar ki aavaaz"
Kazim JarwaliKazim Jarwali
Quote
"nahif-o-zaar-e-sadaa thak ke baiTh jaati hai sar-e-zabaan hi du'aa thak ke baiTh jaati hai bahut kaThin hai azizo hamaari ham-safari hamaare saath havaa thak ke baiTh jaati hai na itnaa rakht-e-safar dein samundaron se kaho miyaan-e-raah ghaTaa thak ke baiTh jaati hai har ek baar ubhartaa hai aaftaab-e-vafaa har ek baar jafaa thak ke baiTh jaati hai yahin kahin pe ghane zindagi ke saae hain yahin kahin pe qazaa thak ke baiTh jaati hai vahaan se hotaa hai jaari khamoshiyon kaa safar jahaan pahunch ke sadaa thak ke baiTh jaati hai gulon se kah do abhi vaqt hai abhi hans lein sahar ke baa'd sabaa thak ke baiTh jaati hai bahut hi tez hai 'kaazim' hayaat ki raftaar ye aur baat zaraa thak ke baiTh jaati hai"
Kazim JarwaliKazim Jarwali
Quote
"kabhi bahaar kaa mausam nayaa dikhaai de gulaab baatein karein aur sabaa dikhaai de shab-e-junun hai koi moajiza dikhaai de kisi makaan kaa koi dar khulaa dikhaai de main chaahun tishna-labi kyaa se kyaa dikhaai de tamaam ju-e-ravaan aabla dikhaai de tamaam shab ke andhere lein intiqaam agar charaagh chhinne vaali havaa dikhaai de hisaar-e-tira-shabi par nazar jamaae raho ajab nahin ki koi raastaa dikhaai de bataae kaun hamein karb zard mausam kaa shajar mein koi to pattaa haraa dikhaai de tu mere zehn pe chhaa jaae khushbuon ki tarah main phuul dekhun saraapaa tiraa dikhaai de mizaaj aisaa bane aap hi ki aankhon ko bahe kisi kaa lahu aap kaa dikhaai de vahaan talaash na karnaa kabhi mujhe 'kaazim' jahaan kisi kaa koi naqsh-e-paa dikhaai de"
Kazim JarwaliKazim Jarwali
Quote
"kyaa dikhaa saktaa hai koi moajize assi karoD kyaa kabhi hal ho sakeinge masale assi karoD sochiye kyunkar kaTegaa vaqt kaa lambaa safar rahnumaa koi nahin aur qaafile assi karoD koi bhi aansu tumhaare ponchhne vaalaa nahin kahne ko maan hain tumhaare laaDle assi karoD us ke honTon par jagaanaa hai masarrat ki lakir jis ke siine mein nihaan hain aable assi karoD ek ke baad ek raste mein guzarne ke liye muntazir baiThe hue hain haadse assi karoD mukhtalif andaaz ke hain mukhtalif lahjon mein hain ik kitaab-e-zindagi ke tarjume assi karoD dekhiye kab khatm ho ghuT ghuT ke jiine ki sazaa ek rassi bhuuk ki hai aur gale assi karoD khud hi 'kaazim' rakh diye ham ne jilaa ke vaaste chand fan-kaaron ke aage aaine assi karoD"
Kazim JarwaliKazim Jarwali
Quote
"fazaa-e-shahr ki nabz-e-khiraam baiTh gai fasil-e-shab pe diyaa le ke shaam baiTh gai vo dhuul jis ko haTaayaa thaa apne chehre se vo aainon pe pae intiqaam baiTh gai guzarne vaalaa hai kyaa raushni kaa shahzaada jo baal khol ke raste mein shaam baiTh gai sitam ki dhuup mein aisaa vo ik shajar to hai ki jis ke saae mein duniyaa tamaam baiTh gai main kis nasheb mein teraa lahu talaash karun tamaam dasht pe khaak-e-khiyaam baiTh gai bahut tavil safar kaa thaa azm ai 'kaazim' hayaat chal ke magar chand gaam baiTh gai"
Kazim JarwaliKazim Jarwali
Quote
"musaafiraan-e-ishq ko vo dasht vo dayaar de barahnagi ke 'ahd mein jo chaadar-e-ghubaar de sahar ki raushni mein dekh zindagi ki mayyatein ye haadson kaa shahr jab libaas-e-shab utaar de na jaane kab se zindagi ko intizaar hai miraa pataa nahin kahaan huun main koi mujhe pukaar de ye sach hai zindagi mire qadam ki jumbishon mein hai magar zaraa salib se koi mujhe utaar de khuli hui hain jism ki tamaam band khiDkiyaan kisi charaagh se kaho koi kiran guzaar de main koh koh dasht dasht chhoD duun nishaan-e-paa junun diyaa hai gar mujhe junun pe ikhtiyaar de ye kyaa ki dasht-e-zist mein har ek samt ret hai kahin to mauj-e-aab de koi to aabshaar de tu 'kaazim'-e-safir-e-ahd-e-nau ki baat sun to le phir us ke baa'd tu use miTaa de yaa sanvaar de"
Kazim JarwaliKazim Jarwali
Quote
"main dushmani huun mohabbat huun ajnabi huun main yahi subut hain mere ki aadmi huun main bujhaa sakegaa na mujh ko tamaam aab-e-jahaan miyaan-e-dasht bahattar ki tishnagi huun main miraa khayaal miri soch hai kitaab miri khudaa-e-fikr kaa bhejaa huaa nabi huun main nigaah ki na khilaaf-e-shariat-e-adabi kisi ke husn-e-ghazal par ki muttaqi huun main mire khayaal se raushan hai koh-e-tur-e-adab uDein na hosh to dekho vo raushni huun main mujhi se bolnaa sikhaa hai gunge harfon ne main ruh-e-nutq huun lafzon ki zindagi huun main luTaa rahaa hai mazaamin-e-nau ke jo ambaar zamaana kahtaa hai 'kaazim' vahi sakhi huun main"
Kazim JarwaliKazim Jarwali
Quote
"khushk honTon pe mire apne lab-e-tar rakh de mere saaqi mire sahraa pe samundar rakh de maqtal-e-ishq mein ab tak jo paDi hai be-sar koi us laash pe le jaa ke miraa sar rakh de zad mein hai tez havaaon ki kitaab-e-hasti koi uDte hue auraaq pe patthar rakh de zindagi qaid na kar jism ke aivaanon mein ye charaagh apnaa kisi raahguzar par rakh de inqalaab asl mein us vaqt mukammal hogaa zaanu-e-khaar pe jab phuul koi sar rakh de yaa to har shakhs mire haath pe bai'at kar le yaa koi baDh ke mire halq pe khanjar rakh de aaj 'kaazim' jo nahin tere hunar ke qaail ru-ba-ru un ke sahifa koi likh kar rakh de"
Kazim JarwaliKazim Jarwali
Quote
"kahtaa hai miraa azm ki do-gaam chalaa huun aur paanv ye kahte hain ki sadiyon kaa thakaa huun manzil kaa bharam mujh pe ayaan ho gayaa yaaro behtar hai palaT jaaun jahaan se main chalaa huun dastur-e-zamaana mujhe apnaaegaa kyuun kar main sar se utaari hui beva ki ridaa huun sar dhuup mein duniyaa ki chhupaanaa nahin aasaan main qad mein har ik jism ke saae se baDaa huun sau baar miraa khuun bahaayaa gayaa naahaq sau baar main ehsaas ki suuli pe chaDhaa huun ik 'umr mire dil ko ye gham yaad rahegaa be-jurm tire shahr ke zindaan mein rahaa huun jis ghar ki bulandi pe mujhe naaz thaa 'kaazim' main aaj usi ghar ki bulandi se giraa huun"
Kazim JarwaliKazim Jarwali
Quote
"ham andhere mein aa nahin sakte apnaa saaya miTaa nahin sakte aandhiyaan chhin le gaiin patte ab shajar gungunaa nahin sakte maujein apni hain apnaa dariyaa hai pyaas phir bhi bujhaa nahin sakte chhinne vaalo dusron ki khushi tum kabhi muskuraa nahin sakte phuul kaaghaz ke apne honTon tak titliyon ko bulaa nahin sakte qaatilo nanhe jugnuon kaa lahu raushni hai chhupaa nahin sakte jin ki aankhon ke khvaab zinda hain un ko qisse sulaa nahin sakte vaqt ke haath bhi kabhi 'kaazim' naqsh mere miTaa nahin sakte"
Kazim JarwaliKazim Jarwali
Quote
"hui hai saaya-fagan sabr ki qabaa mujh par chalaae tiir kaho aa ke hur milaa mujh par khinchaa huaa hai mire gird maamtaa kaa hisaar asar kahaan se kare koi bad-duaa mujh par miTaa saki na mire paanv ki lakirein tak hazaar ret uDaati rahi havaa mujh par mire vajud se aage na thi koi manzil udaasiyon kaa safar khatm ho gayaa mujh par usi ko saare zamaane ne mil ke baanT liyaa jo rah gayaa thaa guzarne se saanehaa mujh par mire badan pe riyaa kaa nahin koi dhabbaa bhali kahaan se lagegi tiri qabaa mujh par qubul hotin agar pastiyaan mujhe 'kaazim' ye aasmaan-e-masaail na TuTtaa mujh par"
Kazim JarwaliKazim Jarwali
Quote
"qaafila jaa ke usi dasht mein Thahraa apnaa khud pe rakhte hain jahaan peD bhi saayaa apnaa us jagah le ke mujhe tishna-labi aai hai khud hi pi letaa hai paani jahaan dariyaa apnaa ham kisi ghair ke sharminda-e-ehsaan na hue ham ne khud baDh ke uThaayaa hai janaazaa apnaa ugti rahti hain yahaan shams-o-qamar ki faslein kyaa kami ham ko salaamat rahe sahraa apnaa log hi saare bure hain ki kami tujh mein hai aaina rakh ke zaraa dekh tu chehraa apnaa raahbar mujh ko nahin chaahiye teri manzil mere qadmon se uThaa le jaa ye rastaa apnaa faasla apnon se kuchh aur baDhaa aur baDhaa honge sab apne agar koi na hogaa apnaa vaqf hai roz-e-azal hi se kisi aur ke naam apne kis kaam kaa hai khuun pasinaa apnaa un charaaghon se kabhi lau na lagaanaa 'kaazim' jin ko khud apne liye kam hai ujaalaa apnaa"
Kazim JarwaliKazim Jarwali
Quote
"saraabon se navaazaa jaa rahaa huun amir-e-dasht bantaa jaa rahaa huun mire dariyaa hamesha yaad rakhnaa tire saahil se pyaasaa jaa rahaa huun fazaaein sabz hoti jaa rahi hain main jitnaa zahr piitaa jaa rahaa huun ik aise khvaab ki aankhon ko zid hai tah-e-khanjar bhi soyaa jaa rahaa huun mire baahar fasil-e-aahani hai magar andar se TuuTaa jaa rahaa huun zamaana mujh ko samjhe yaa na samjhe main ik din huun jo guzraa jaa rahaa huun main khushbu huun ye duniyaa jaanti hai magar phir bhi chhupaayaa jaa rahaa huun tum ab thakti hui nazrein jhukaa lo bulandi se main utraa jaa rahaa huun kitaab-e-sang ban jaaegaa 'kaazim' main jis paani pe likkhaa jaa rahaa huun"
Kazim JarwaliKazim Jarwali