SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byKhalid Mahmood(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"tahzibi aqdaar se mahkaa basta pichhe chhuT gayaa jaane kis vahshat mein ghar kaa rasta pichhe chhuT gayaa bachche meri ungli thaame dhire dhire chalte the phir vo aage dauD gae main tanhaa pichhe chhuT gayaa 'ahd-e-javaani ro-ro kaaTaa 'mir' miyaan saa haal huaa lekin un ke aage apnaa qissa pichhe chhuT gayaa pichhe muD kar dekhegaa to aage baDhnaa mushkil hai main ne kitni baar kahaa thaa dekhaa pichhe chhuT gayaa ik do baatein kahni hon to kahnaa sunnaa aasaan hai ab ham tum ko kyaa batlaaein kyaa kyaa pichhe chhuT gayaa sar-taa-paa sairaab the 'khaalid' chaaron jaanib dariyaa thaa pyaas mein jis dam shiddat aai dariyaa pichhe chhuT gayaa"
Khalid MahmoodKhalid Mahmood
Quote
"rang-o-raamish zamzame gul-haa-e-tar hote hue dil akelaa aur itne ham-safar hote hue aansuon se sard ho jaati hai har siine ki aag meraa dil aatish-kada hai chashm-tar hote hue dil ki duniyaa mein andheraa ho to kuchh raushan nahin aankh chashm-e-sang hai shams o qamar hote hue chashm aage ek chehra paanv go chakkar mein hain dar-ba-dar hotaa nahin dil dar-ba-dar hote hue hausla TuuTaa to vo ibrat kaa manzar aa gayaa uD nahin paayaa parinda baal-o-par hote hue nisf duniyaa bhuuk se aur pyaas se maghlub hai dast o baazu zehn o dil laal-o-gohar hote hue har kas-o-naa-kas pe kar letaa hai fauran e'tibaar be-khabar kitnaa hai 'khaalid' baa-khabar hote hue"
Khalid MahmoodKhalid Mahmood
Quote
"jo suraj ho to har manzar ujaalaa kyuun nahin karte ye aaThon pahr ki raatein saveraa kyuun nahin karte taajjub hai mujhi ko apni mahfil mein nahin dekhaa nahin dekhaa agar tum ne to dekhaa kyuun nahin karte churaataa hai vo pahle niind phir shokhi se kahtaa hai ye shab bhar jaagte rahte ho soyaa kyuun nahin karte hisaab-e-dostaan ai dil khayaal-e-nek hai lekin tumhaare paas bhi dil hai tum aisaa kyuun nahin karte mire bhaai agar tairaak bannaa chaahte ho tum to dariyaa ke kinaare se kinaara kyuun nahin karte uThaa kar roz le jaataa hai mere khvaab kaa manzar vo mujh se roz kahtaa hai bharosa kyuun nahin karte to din ko ishq ki baatein samajh hi mein nahin aaein samajh hi mein nahin aaiin to samjhaa kyuun nahin karte dilon kaa qarz raqmon se adaa hotaa nahin 'khaalid' bahut aasaan hai ye kahnaa taqaazaa nahin karte"
Khalid MahmoodKhalid Mahmood
Quote
"jhapaTte hain jhapaTne ke liye parvaaz karte hain kabutar bhi vahi karne lage jo baaz karte hain vahi qisse vahi baatein ki jo ghammaaz karte hain tire hamraaz karte hain mire dam-saaz karte hain ba-sad hiile bahaane zulm kaa dar baaz karte hain vahi jaan-baaz jin par har ghaDi ham naaz karte hain ziyaada dekhte hain jab vo aankhein pher lete hain nazar mein rakh rahe hon to nazar-andaaz karte hain sataaish-ghar ke pankhon se havaa to kam hi aati hai magar chalte hain jab zaalim bahut aavaaz karte hain zamaane bhar ko apnaa raaz-daan karne ki Thahri hai to behtar hai chalo us shokh ko hamraaz karte hain Daraataa hai bahut anjaam-e-namrudi mujhe 'khaalid' khudaa lahje mein jab bande sukhan aaghaaz karte hain"
Khalid MahmoodKhalid Mahmood
Quote
"hunar-mandi se jiine kaa hunar ab tak nahin aayaa safar karte rahe tarz-e-safar ab tak nahin aayaa ghalat hai tere ashkon mein asar ab tak nahin aayaa tujhe ronaa ai meri chashm-e-tar ab tak nahin aayaa hazaaron falsafi qabza kiye baiThe hain zehnon par mire qaabu mein yaa-rab meraa sar ab tak nahin aayaa paDaa rahtaa hai har dam khauf kaa saaya rag-e-jaan par koi be-khauf lamha be-khatar ab tak nahin aayaa hamaare sar pe hai saaya-fagan ummid kaa suraj hamaari raah mein koi shajar ab tak nahin aayaa hamein to qaafiya-paimaai karnaa bhi nahin aataa baDaa fan hai jo aa jaataa magar ab tak nahin aayaa vo kahte hain duaaein baa-asar hoti hain 'khaalid' ki main kahtaa huun koi zer-e-asar ab tak nahin aayaa"
Khalid MahmoodKhalid Mahmood
Quote
"ThanDi ThanDi narm havaa kaa jhonkaa pichhe chhuT gayaa jaane kis vahshat mein ghar kaa rasta pichhe chhuT gayaa bachche meri ungli thaame dhire dhire chalte the phir vo aage dauD gae main tanhaa pichhe chhuT gayaa ahd-e-javaani ro ro kaaTaa 'mir'-miyaan saa haal huaa lekin un ke aage apnaa qissa pichhe chhuT gayaa pichhe muD kar dekhegaa to aage baDhnaa mushkil hai main ne kitni baar kahaa thaa dekhaa? pichhe chhuT gayaa sar-taa-paa sailaab the 'khaalid' chaaron jaanib dariyaa thaa pyaas mein jis din shiddat aai dariyaa pichhe chhuT gayaa"
Khalid MahmoodKhalid Mahmood
Quote
"vaqt-e-qayaam dast-e-qazaa ne nahin diyaa chalne lage to saath havaa ne nahin diyaa pahle hi marhale mein qalam ho ke rah gae dast-e-hunar ko haath dikhaane nahin diyaa girnaa to kyaa buraa thaa magar us ko kyaa kahein jo gir gayaa to uThne uThaane nahin diyaa ab un ki kaj-ravi se shikaayaat hain hamein ham ne hi un ko raah pe aane nahin diyaa do chaar kaarein koThiyaan das biis laakh bas is se ziyaada khauf-e-khudaa ne nahin diyaa main sirf telephone kaa ehsaanmand huun un kaa payaam baad-e-sabaa ne nahin diyaa us yaar-e-shokh-chashm se 'khaalid' kaa irtibaat ik raaz thaa ki jis ko chhupaane nahin diyaa"
Khalid MahmoodKhalid Mahmood
Quote
"aankhon mein dhuup dil mein haraarat lahu ki thi aatish javaan thaa to qayaamat lahu ki thi zakhmi huaa badan to vatan yaad aa gayaa apni girah mein ek rivaayat lahu ki thi khanjar chalaa ke mujh pe bahut gham-zada huaa bhaai ke har suluk mein shiddat lahu ki thi koh-e-giraan ke saamne teshe ki kyaa bisaat ahd-e-junun mein saari sharaarat lahu ki thi rukhsaar o chashm-o-lab gul o sahbaa shafaq hinaa duniyaa-e-rang-o-bu mein tijaarat lahu ki thi 'khaalid' har ek gham mein baraabar sharik thaa saare jahaan ke biich rifaaqat lahu ki thi"
Khalid MahmoodKhalid Mahmood