Quote
"na tahriri shavaahid na zabaani bhalaa kis kaam ki aisi javaani ye jitni neamatein di hain khudaa ne ye parcha hai hamaaraa imtihaani kabhi vo bhi the is duniyaa ki raunaq vo sab jo ho gae hain aan-jahaani hamein thaa ishtiyaaq-e-vasl lekin hamaare shauq se un ko giraani ye kyaa zehnon pe karte ho hukumat karo dil par kisi ke hukmaraani udhar kirdaar par taari kuhulat magar baaton mein shiddat ki ravaani mohabbat pesh-qadmi chaahti hai kabhi tum bhi mire ghar aao jaani muqaabil fauj tufaanon ki 'aaqib' idhar kashti hamaari baadbaani"







