Quote
"talaash dariyaa ki thi ba-zaahir saraab dekhaa vo kaun aankhein thiin jin ki khaatir ye khvaab dekhaa jo rut bhi aae hamin se girya kaa rizq maange hamaari surat kise zamin intikhaab dekhaa nadaamatein bahte aansuon se sharh na paaein safina apni duaa kaa maqtal rikaab dekhaa barasti aankhon se sukhe taalaab bhar na paaein ye gham kaa dariyaa misaal-e-qarz-e-sahaab dekhaa kabhi to aankhon mein un ki aabaadiyaan khileingi vo bastiyaan umr bhar jinhein zer-e-aab dekhaa abhi to bakhiya-gari ko sozan hi kaam aae hinaa ki dahliz pe tulu-e-hijaab dekhaa yaqin ki tishna-labi muqaddar raqam rahegi vufur-e-dariyaa bhi misl-e-dariyaa-e-khvaab dekhaa jataa gayaa saari aadatein bas gale se lag ke us ek anjum ko chaandni ke hisaab dekhaa khayaal us ke badan ki galiyon ko DhunDtaa hai vo jis ko dekhaa to hairaton ko naqaab dekhaa"







