SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"junun hi se magar bilkul dil-e-divaana khaali hai na maanungaa asar se naara-e-mastaana khaali hai muravvat se tiri ham bekason ki sharm rah jaati bhari mahfil mein saaqi ik yahi paimaana khaali hai dilaa Dar hai kahin kaabe pahunch kar tu na kah baiThe ki vaapas chal yahaan se ab to ye but-khaana khaali hai hamein zauq-e-asiri chhoDtaa hai kab gulistaan mein qafas mein jab tak ai sayyaad koi khaana khaali hai ye maanaa ham ne 'jauhar' shahr chhoDaa par kahaan jaaein vo tere dam se thaa aabaad ab viraana khaali hai"
Maulana Mohammad Ali JauharMaulana Mohammad Ali Jauhar
Quote
"khaak jiinaa hai agar maut se Darnaa hai yahi havas-e-zist ho is darja to marnaa hai yahi qulzum-e-ishq mein hain nafaa o salaamat donon is mein Duube bhi to kyaa paar utarnaa hai yahi qaid-e-gesu se bhalaa kaun rahegaa aazaad teri zulfon kaa jo shaanon pe bikharnaa hai yahi ai ajal tujh se bhi kyaa khaak rahegi ummid vaada kar ke jo tiraa roz mukarnaa hai yahi aur kis vaza ke juuyaa hain urusaan-e-bahisht hain kafan surkh shahidon kaa sanvarnaa hai yahi had hai pasti ki ki pasti ko bulandi jaanaa ab bhi ehsaas ho is kaa to ubharnaa hai yahi tujh se kyaa subh talak saath nibhegaa ai umr shab-e-furqat ki jo ghaDiyon kaa guzarnaa hai yahi ho na maayus ki hai fath ki taqrib shikast qalb-e-momin kaa miri jaan nikharnaa hai yahi naqd-e-jaan nazr karo sochte kyaa ho 'jauhar' kaam karne kaa yahi hai tumhein karnaa hai yahi"
Maulana Mohammad Ali JauharMaulana Mohammad Ali Jauhar
Quote
"tishna-lab huun muddaton se dekhiye kab dar-e-mai-khaana-e-kausar khule taaqat-e-parvaaz hi jab kho chuki phir huaa kyaa gar havaa mein par khule chaak kar siine ko pahlu chiir Daal yuun hi kuchh haal-e-dil-e-muztar khule raat talchhaT tak na chhoDi tab kahin raaz-haa-e-baada-o-saaghar khule lo vo aa pahunchaa junun kaa qaafila paanv zakhmi khaak munh par sar khule huun jo kasrat hi ke qaail un pe kyaa raaz-e-fath-e-sibt-e-paighambar khule ru-numaai ke liye laayaa huun jaan ab to shaayad chehra-e-anvar khule ab to kashti ke muaafiq hai havaa naakhudaa kyaa der hai langar khule ye nazar-bandi to nikli radd-e-sehr dida-haa-e-hosh ab jaa kar khule ab kahin TuuTaa hai baatil kaa tilism haq ke uqde ab kahin ham par khule ab huaa hai maa-sivaa kaa parda faash maarifat ke ab kahin daftar khule faiz se tere hi ai qaid-e-farang baal o par nikle qafas ke dar khule jiite ji to kuchh na dikhlaayaa magar mar ke 'jauhar' aap ke jauhar khule"
Maulana Mohammad Ali JauharMaulana Mohammad Ali Jauhar
Quote
"hai rashk kyon ye ham ko sar-e-daar dekh kar dene hain baada zarf-e-qadah-khvaar dekh kar khud-karda-e-azal se tajalli-e-tur ke jhapke ki aankh kyaa tiri talvaar dekh kar aasaan-pasandiyon se hain bezaar ahl-e-ishq chhaanTaa ye marhala bhi hai dushvaar dekh kar ban jaaegaa ye rishta-e-tasbih ek din dhokaa na khaaiyo kahin zunnaar dekh kar is shaan-e-imtiyaaz ko ki ahal-e-tahaaif momin samajh rahe hain hamein khvaar dekh kar jins-e-giraan to thi nahin koi magar ye jaan laae hain ham bhi raunaq-e-baazaar dekh kar tir-e-nigah ne kar diyaa donon kaa faisla baaham dil-o-jigar mein ye takraar dekh kar ye kyaa ki sajda-gaah hai har sang-e-aastaan ghisnaa jabin ko ko khaana-e-khammaar dekh kar kuchh bhi to zabt-e-girya na shabnam se ho sakaa bulbul ko fasl-e-gul mein giraftaar dekh kar ham khaasgaan-e-ahl-e-nazar aur ye qatl-e-aam jaur-o-sitam bhi kar tu sitamgaar dekh kar har siina aaj hai tire paikaan kaa muntazir ho intikhaab ai nigah-e-yaar dekh kar"
Maulana Mohammad Ali JauharMaulana Mohammad Ali Jauhar
Quote
"soz-e-darun se jal-bujho lekin dhuaan na ho hai dard-e-dil ki shart ki lab par fughaan na ho phir ho rahaa hai shor-e-salaa-e-nabard-e-ishq haan ai dahaan-e-zakhm javaab al-amaan na ho baazaar-e-jaan-farosh mein saudaa na ho ye kyaa gaahak mile to jins to ye bhi garaan na ho is dard-e-laa-javaab ki kyunkar karun davaa vo haal-e-dil-nashin bhi to mujh se bayaan na ho kyaa faaeda gar us ne chhupaayaa bhi dard-e-dil ye kaam jab bane ki mizha khun-chakaan na ho kyaa kiije chun ke maaida-e-dil ko lakht lakht teraa hi tiir siine mein jab mehmaan na ho khauf-e-raqib kaa to ye 'aalam aur us pe ishq sab chaahte hain chaah kaa un par gumaan na ho hai vasl-e-yaar ki bhi tamannaa kaa hausla Dar ye bhi hai ki taba-e-adu par giraan na ho pahlu se dil ko le ke vo kahte hain naaz se kyaa aaein ghar mein aap hi jab mezbaan na ho sunte hi jis ke khalq se kohraam mach gayaa 'jauhar' vo teri hi to kahin daastaan na ho"
Maulana Mohammad Ali JauharMaulana Mohammad Ali Jauhar
Quote
"laakh harbe sahi har vaz' ke shaitaan ke paas Dhaal imaan ki maujud ho insaan ke paas mulk samjho use paamaal bajaa hai ik diin ab to bas ik yahi daulat hai musalmaan ke paas lagte hi tiir tumhaaraa gai yuun jaan nikal baiTh kar jaati ghaDi do ghaDi mehmaan ke paas aadmiyyat hi to buniyaad hai har khubi ki ho na ye bhi to dharaa kyaa hai phir insaan ke paas sohbat yaar hai ai dil tujhe ghar baiThe nasib phir tiraa kaam hai kyaa haajib-e-darbaan ke paas khvaahishein nafs ki karte to ho puuri lekin is se behtar nahin aalaa koi shaitaan ke paas ham ne dil bhar ke kuchh is tarah nikaale armaan ki phaTaktaa nahin dil jaa ke ab armaan ke paas mat samajhnaa inhein kam-maaya ghani hain ye log kanz-e-makhfi hai har ik saahib-e-imaan ke paas jubba-saai ki bhi kuchh hogi tumhin ko ummid gaaliyaan khaate ho jaa jaa ke darbaan ke paas"
Maulana Mohammad Ali JauharMaulana Mohammad Ali Jauhar
Quote
"ham maani-e-havas nahin ai dil havaa-e-dost raazi ho bas isi mein ho jis mein razaa-e-dost tughraa-e-imtiyaaz hai khud ibtilaa-e-dost us ke baDe nasib jise aazmaae dost yaan jumbish-e-mizha bhi gunaah-e-azim hai chup-chaap dekhte raho jo kuchh dikhaae dost milti nahin kisi ko sanad imtihaan baghair daar-o-rasan ke hukm ko samjho silaa-e-dost yaaqub par fuzul hue log khanda-zan yaan laa-makaan se aati hai bu-e-qabaa-e-dost kyaa kam thaa hijr-e-yaar hi phir us pe rashk-e-ghair dushman ko bhi khudaa na kare mubtalaa-e-dost hai ruuh bhi nisaar badan bhi nisaar-e-yaar dil bhi fidaa-e-dost jigar bhi fidaa-e-dost 'jauhar' vo sabr aap hi degaa agar hamein hai imtiyaaz-e-vaada sabr-aazmaa-e-dost"
Maulana Mohammad Ali JauharMaulana Mohammad Ali Jauhar
Quote
"qaid aur qaid bhi tanhaai ki sharm rah jaae shakebaai ki sujhtaa kyaa hamein un aankhon se shart thi qalb ki binaai ki dar-e-but-khaana se baDhne hi na paae garche ik 'umr jabin-saai ki qais ko naaqa-e-lailaa na milaa go bahut baadiya-paimaai ki ham ne har zarre ko mahmil paayaa hai ye qismat tire sahraai ki vaqf hai us ke liye jaan-e-aziz kaa'ba ke khaadim o shaidaai ki kaa'ba o quds mein ghar kyaa ye bhi ik adaa hai mire harjaai ki nazar aayaa hamein har chiiz mein tu us pe ye dhuum hai yaktaai ki ishq aur jaur-e-sitamgar kaa gila had hai ai dil yahi rusvaai ki ishq ko ham ne kyaa nazr-e-junun 'umr bhar mein yahi daanaai ki kar gai zinda-e-jaaved hamein tegh-e-qaatil ne masihaai ki ho na taqlid dilaa maqtal mein kahin muusaa se tamannaai ki na sahi tegh tajalli hi sahi aankh jhapke na tamaashaai ki kal ko hai phir vahi zindaan 'jauhar' Thiik kyaa aap se saudaai ki"
Maulana Mohammad Ali JauharMaulana Mohammad Ali Jauhar
Quote
"be-khauf-e-ghair dil ki agar tarjumaan na ho behtar hai is se ye ki sire se zabaan na ho hon be-hiraas ye mujhe rakkhein kisi jagah Dar ho vahaan ki teri hukumat jahaan na ho ik tu jo mehrbaan ho to har ik ho mehrbaan aur yuun na ho balaa se koi mehrbaan na ho ham ko to ek tujh se do aalam mein hai gharaz sab bad-gumaan huaa karein tu bad-gumaan na ho dair o haram mein DhunD ke sab thak gae use ab kaun kah sake ki kahaan ho kahaan na ho karnaa hi thaa haraam to phir vaada kis liye ye kyaa ki mai halaal vahaan ho yahaan na ho himmat na haar de koi manzil ke saamne parvardigaar yuun bhi koi naa-tavaan na ho milne to phir chale ho mashikhat panaah se qashqa kaa dekho aaj jabin par nishaan na ho 'jauhar' is ek dil ke liye itne mashghale ki hai khudaa ki chaah to ishq-e-butaan na ho"
Maulana Mohammad Ali JauharMaulana Mohammad Ali Jauhar
Quote
"dil ko halaak-e-jalva-e-jaanaan banaaiye is but-kade ko kaaba-e-imaan banaaiye tufaan ban ke uThiye jahaan-e-kharaab mein hasti ko ik sharaara-e-raqsaan banaaiye dauDaaiye vo ruuh ki har zarra jaag uThe ujDe hue vatan ko gulistaan banaaiye phir dijiye nigaah ko paighaam-e-justuju manzil se kyuun nazar ko gurezaan banaaiye aakhir to khatm hongi kahin qaid ki hadein yusuf ko aap raunaq-e-zindaan banaaiye phir apne dil mein kijiye paidaa koi taDap phir mushkil-e-hayaat ko aasaan banaaiye 'jauhar' asiriyon ki koi intihaa bhi hai aazaad ik nizaam-e-pareshaan banaaiye"
Maulana Mohammad Ali JauharMaulana Mohammad Ali Jauhar
Quote
"kis se aazurda mire qaatil kaa khanjar ho gayaa kyaa huaa jo aaj yuun jaame se baahar ho gayaa meraa shohra aaj ik 'aalam mein ghar ghar ho gayaa tere haathon mujh ko qaatil ye mayassar ho gayaa kyuun nahin miltaa abhi tak tishna-lab hain baada-khvaar kyaa tiraa saaghar bhi saaqi jaam-e-kausar ho gayaa is qadar vahshat bhi ai dast-e-junun kis kaam ki tere haathon meraa jiinaa bhi to dubhar ho gayaa josh-e-vahshat kaa iraada thaa ki 'uryaan hi rahe baare mar kar ik kafan mujh ko mayassar ho gayaa us ki rusvaai kaa bhi aayaa na tujh ko kuchh khayaal kis qadar bebaak tu ai dida-e-tar ho gayaa muzhda ai ganj-e-shahidaan tere bhi din phir gae aaj dil-bardashta duniyaa se 'jauhar' ho gayaa"
Maulana Mohammad Ali JauharMaulana Mohammad Ali Jauhar
Quote
"arsh tak jo be-khataa jaataa hai ye vo tiir hai ghair samjhaa hai ki meri aah be-taasir hai khugar-e-qaid-e-vafaa par khul chukaa zindaan kaa raaz jurm thi vo qaid ye us jurm ki taazir hai be-gunaahi se bhi baDh kar hai agar koi gunaah to sazaa-e-ishq paa kar khajlat-e-taqsir hai chhoD meri fikr ghaafil ro khud apni qaid par jis ko tu zevar samajhtaa hai vahi zanjir hai sijn o jannat donon ai kaafir hain is duniyaa ke naam vo azal se bakht-e-momin ye tiri taqdir hai daar hi banti hai ai dil zina-e-meraaj-e-ishq khvaab-e-aaghaaz-e-mohabbat ki yahi taabir hai ho na uljhan jab junun-e-jaama-var kaamil na ho jab talak daaman hai khaar-e-dasht daaman-gir hai haath to honge qalam par naama-bar ye bhi kahaa dil churaa leti hai pahlu se ye vo tahrir hai paaedaari mein hai qasron se sivaa kachchi si qabr jo qayaamat tak rahe qaaim ye vo taamir hai khun-e-naahaq kaa kisi ke shubah aur tum par magar sina-e-'jauhar' mein dekho to ye kis kaa tiir hai"
Maulana Mohammad Ali JauharMaulana Mohammad Ali Jauhar
Quote
"Dar nahin mujh ko gunaahon ki giraan-baari kaa teri rahmat hai sabab meri subuksaari kaa daar ne ik sag-e-duniyaa ko ye bakhshaa hai uruuj hai farishton mein bhi charchaa miri din-daari kaa dil o jaan saunp chuke ham tujhe ai jaan-e-jahaan ab hamein khauf hi kyaa apni giraftaari kaa jaan bhi chiiz hai koi ki rakhein tum se daregh paas itnaa bhi na ho rasm-e-vafaadaari kaa saaqiyaa sab ko tiri ek nazar kaafi thi thaa kise hosh tire ahd mein hushyaari kaa main fidaa aaj bhi ho jaae vahi ek nigaah khaatma ho kahin is daur ki khuddaari kaa aashiqon ke liye hai daar hi daaru-e-shifaa ishq ki tib mein davaa naam hai bimaari kaa ajal istaada hai baalin pe mariz-e-gham-e-ishq aankh to khol zaraa vaqt hai bedaari kaa 'jauhar' aur haajib o darbaan ki khushaamad kyaa khuub arsh o kursi pe guzar hai tire darbaari kaa"
Maulana Mohammad Ali JauharMaulana Mohammad Ali Jauhar
Quote
"gila ai dil abhi se kartaa hai ishq kaa dam usi pe bhartaa hai jaan detaa hai aish-e-faani par bas isi zindagi pe martaa hai raahat-e-jaavedaan ko bhuul gayaa koi duniyaa mein ye bhi kartaa hai ishq ban kar jiye to khaak jiye zinda vo hai jo un pe martaa hai naam par us ke sab jo de baiThaa vahi ik hai jo naam kartaa hai vaqf momin hai aazmaaish-e-ishq is mein puuraa vahi utartaa hai jis ko duniyaa ne naa-muraad kiyaa vahi naakaam kaam kartaa hai hai musalmaan ki bas yahi pahchaan ki faqat ik khudaa se Dartaa hai qaul-e-momin hai us ke fel ki sharh vo jo kahtaa hai kar guzartaa hai mutmain rah dilaa vo jaan-e-jahaan vaada kar ke kahin mukartaa hai mere rang-e-kafan ki shokhi dekh yuun hi aashiq tiraa sanvartaa hai aaj kar lo jo kar sako kal tak kaun jiitaa hai kaun martaa hai qulzum-e-ishq mein giraa so giraa us kaa Duubaa kahin ubhartaa hai is qadar ehtiyaat ai sayyaad ki qafas mein bhi par katartaa hai vahi din hai hamaari iid kaa din jo tiri yaad mein guzartaa hai mai-e-islaam kaa bhalaa 'jauhar' nashsha chaDh kar kahin utartaa hai"
Maulana Mohammad Ali JauharMaulana Mohammad Ali Jauhar
Quote
"tum yuun hi samajhnaa ki fanaa mere liye hai par ghaib se saamaan-e-baqaa mere liye hai paighaam milaa thaa jo husain-ibn-e-ali ko khush huun vahi paighaam-e-qazaa mere liye hai ye hur-e-bahishti ki taraf se hai bulaavaa labbaik ki maqtal kaa silaa mere liye hai kyuun jaan na duun gham mein tire jab ki abhi se maatam ye zamaane mein bapaa mere liye hai main kho ke tiri raah mein sab daulat-e-duniyaa samjhaa ki kuchh is se bhi sivaa mere liye hai tauhid to ye hai ki khudaa hashr mein kah de ye banda do-aalam se khafaa mere liye hai surkhi mein nahin dast-e-hinaa-basta bhi kuchh kam par shokhi-e-khun-e-shohdaa mere liye hai raahil huun musalmaan ba-sad-naara-e-takbir ye qaafila ye baang-e-daraa mere liye hai inaam kaa uqbaa ke to kyaa puchhnaa lekin duniyaa mein bhi imaan kaa silaa mere liye hai kyuun aise nabi par na fidaa huun ki jo farmaae achchhe to sabhi ke hain buraa mere liye hai ai shaafa-e-mahshar jo kare tu na shafaaat phir kaun vahaan tere sivaa mere liye hai allaah ke raste hi mein maut aae masihaa iksir yahi ek davaa mere liye hai ai chaaragaro chaaragari ki nahin haajat ye dard hi daaru-e-shifaa mere liye hai kyaa Dar hai jo ho saari khudaai bhi mukhaalif kaafi hai agar ek khudaa mere liye hai jo sohbat-e-aghyaar mein is darja ho bebaak us shokh ki sab sharm-o-hayaa mere liye hai hai zulm tiraa aam bahut phir bhi sitamgar makhsus ye andaaz-e-jafaa mere liye hai hain yuun to fidaa abr-e-siyah par sabhi mai-kash par aaj ki ghanghor ghaTaa mere liye hai"
Maulana Mohammad Ali JauharMaulana Mohammad Ali Jauhar
Quote
"daur-e-hayaat aaegaa qaatil qazaa ke baad hai ibtidaa hamaari tiri intihaa ke baad jiinaa vo kyaa ki dil mein na ho teri aarzu baaqi hai maut hi dil-e-be-muddaaa ke baad tujh se muqaable ki kise taab hai vale meraa lahu bhi khuub hai teri hinaa ke baad ik shahr-e-aarzu pe bhi honaa paDaa khajil hal-mimmazid kahti hai rahmat duaa ke baad lazzat hanuz maaida-e-ishq mein nahin aataa hai lutf-e-jurm-e-tamannaa sazaa ke baad qatl-e-husain asl mein marg-e-yazid hai islaam zinda hotaa hai har karbalaa ke baad ghairon pe lutf ham se alag haif hai agar ye be-hijaabiyaan bhi hon uzr-e-hayaa ke baad mumkin hai naala jabr se ruk bhi sake agar ham par to hai vafaa kaa taqaazaa jafaa ke baad hai kis ke bal pe hazrat-e-'jauhar' ye ru-kashi DhunDeinge aap kis kaa sahaaraa khudaa ke baad"
Maulana Mohammad Ali JauharMaulana Mohammad Ali Jauhar
Quote
"khugar-e-jaur pe thoDi si jafaa aur sahi is qadar zulm pe mauquf hai kyaa aur sahi khauf ghammaaz adaalat kaa khatar daar kaa Dar hain jahaan itne vahaan khauf-e-khudaa aur sahi ahd-e-avval ko bhi achchhaa hai jo puuraa kar do tum vafaadaar ho thoDi si vafaa aur sahi jis ne hangaama adaalat kaa tiri dekhaa hai us gunahgaar ko ik roz-e-jazaa aur sahi kishvar-e-kufr mein kaabe ko bhi shaamil kar lo sair-e-zulmaat ko thoDi si fazaa aur sahi bandagi mein tiri sahte hi hain lu ki lapTein chand din ke liye dozakh ki havaa aur sahi diin o dil jaa hi chukaa jaan bhi jaati hai to jaae tarkash-e-kufr mein ik tir-e-qazaa aur sahi rabb-e-izzat ke liye bhi koi rahne do khitaab tum khudaavand hi kahlaao khudaa aur sahi hukm-e-haakim na sahi marg-e-mufaajaat se kam maalik-ul-mulk pe imaan ki sazaa aur sahi ham vafaa-keshon kaa imaan bhi hai parvaana-sifat sham-e-mahfil jo vo kaafir na rahaa aur sahi"
Maulana Mohammad Ali JauharMaulana Mohammad Ali Jauhar
Quote
"hargiz na ho ai dil gham-e-jaanaan ki shikaayat kartaa hai bhalaa koi bhi mehmaan ki shikaayat aazaad the kab qaid-e-gham-ishq se ham ko zanjir kaa shikva hai na zindaan ki shikaayat vo ye na kaheinge ki tumhein maut na aai kis munh se karein ham shab-e-hijraan ki shikaayat mashkur-e-junun aap hain vahshi tire un ko mahmil kaa gilaa hai na bayaabaan ki shikaayat go sabr qayaamat kaa hai darkaar par ai dil yaan kufr hai us dushman-e-imaan ki shikaayat sharminda kafan ne kiyaa is darja ki taa hashr ab jeb kaa shikva hai na daamaan ki shikaayat thaa un ke tasavvur mein bhi ik vasl kaa aalam ho sakti hai phir kyaa shab-e-hijraan ki shikaayat kyon fikr ho kyaa apne kabhi din na phireinge be-kaar hai phir gardish-e-dauraan ki shikaayat laDtaa hai havaa se bhi koi laakh khafaa ho bejaa hai tiri zulf-e-pareshaan ki shikaayat hain ishq ke bimaar bhi duniyaa se niraale hai dard ke badle unhein darmaan ki shikaayat in se na sitam kaa na taghaaful kaa gilaa hai ho jaati hai haan paaki-e-daamaan ki shikaayat manzur nahin jab unhein khud jalva dikhaanaa kyon kijiye phir haajib o darbaan ki shikaayat thaa nazar azal hi se dil us jaan-e-jahaan ki karte raho yuun abru-o-mizhgaan ki shikaayat mehmaan dil-e-'jauhar' kaa bilaa-izn sidhaaraa paikaan to gayaa rah gai paikaan ki shikaayat"
Maulana Mohammad Ali JauharMaulana Mohammad Ali Jauhar