SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byMirza Daood Beg(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"jag hai mushtaaq piv ke darshan kaa kis kuun niin ehtiyaaj darpan kaa saaf dil hai jo aarsi maanind nit hai hairaan jamaal-e-raushan kaa garche honaa hai aib-poshi jahaan kasb kar ikhtiyaar sozan kaa kyuun na hue aashiqi mein khauf raqib har safar mein khatar hai rahzan kaa zohd-e-zaahid hai khauf-e-mahshar suun taab naamard kuun kahaan ran kaa khaak ho yaar ki gali mat chhoD garche kuchh muddaaa hai daaman kaa sabr kar hijr mein tuun ai 'daaud' dekhnaa hai agar sirijan kaa"
M
Mirza Daood Beg
Quote
"jo baada mohabbat kaa tiri nosh kiyaa hai yak baar vo aalam kuun faraamosh kiyaa hai ai saaqi-e-badmast mai-e-ishq ne teri le hosh mujhe hosh suun behosh kiyaa hai tujh bar mein sajan jalva-numaa surkh qabaa dekh khun-e-dil-e-ushshaaq ne phir josh kiyaa hai jis din suun mire bar mein vo gul-pairahan aaya us din suun mujh aaghosh ko gul-posh kiyaa hai simin-badan aaghosh mein dastaa hai miri yuun jiyon maah kuun haale ne ham-aaghosh kiyaa hai paayaa hai mujhe sarv-qad-e-yaar kaa maail mere sukhan-e-raast kuun jo gosh kiyaa hai 'daaud' taajjub hai ki vo yaar-e-vafaadaar yak-baargi aashiq kuun faraamosh kiyaa hai"
M
Mirza Daood Beg
Quote
"gulshan-e-jag mein zaraa rang-e-mohabbat niin hai bulbul-e-dil kuun kisi saath ab ulfat niin hai aashnaai seti mardum ke huun az bas bezaar rukh-e-darpan ki taraf chashm kuun raghbat niin hai kyaa ajab hai jo diyaa jaan ko yakbaar patang taa-sahar shama kuun jalne seti fursat niin hai kyuun garebaan kuun kiyaa chaak zi-sar-taa-daamaan gul kuun bulbul suun agar tarz-e-muravvat niin hai mujh kuun baavar nahin paighaam-e-zabaani qaasid kyaa sabab hai ki tire haath kitaabat niin hai muntakhab kar ke varaq dil pe likhe hain ahbaab garche zaahir mein mire sher ki shohrat niin hai naa-tavaani sati barjaa hai alaamat na karo rang-e-'daaud' kuun parvaaz ki taaqat niin hai"
M
Mirza Daood Beg
Quote
"jab vo mah-e-rukhsaar yakaayak nazar aayaa us maah ki talat suun suraj dil mein dar aayaa tere rukh-e-raushan kuun siyah khat mein sirijan dekhaa so kahaa abr-e-siyah mein qamar aayaa gulshan mein chal ai sarv-e-sahi sair ki khaatir tujh vaaste le gul tabaq-e-naqd-e-zar aayaa tujh jaam-e-nayan mein hai ajab baada-e-sarshaar yak diid sati jis ke ho dil be-khabar aayaa muhtaaj-e-kabutar nahin mujh shauq kaa naama qaasid ho miraa dil le sajan ki khabar aayaa kahte hain sab ahl-e-sukhan is sher kuun sun kar tujh taba mein 'daaud' 'vali' kaa asar aayaa"
M
Mirza Daood Beg
Quote
"mujh saath sair-e-baagh kuun ai nau-bahaar chal bulbul hai intizaar mein ai gul-izaar chal karne kuun qatl aashiq-e-jaan-baaz ke sanam le tegh-e-naaz haath kamar rakh kaTaar chal karne nazaara baagh kaa niklaa hai gul-badan barjaa hai har chaman suun gar aave bahaar chal us gul-badan suun zauq ham-aaghosh hai agar ho chaak siina gul ke naman ban ke haar chal us shama-ru ke vasl kaa gar tujh kuun shauq hai mahfil mein aashiqaan ki ho parvaana-vaar chal aakhir asir-e-umr kaa hai is jahaan suun kuuch is vaaste hai dam ki jaras mein pukaar chal gar azm hai buzurgi is aalam mein hue husul aamaal-naama jag mein apas kaa sanvaar chal gar yaar ke hai vasl ki neamat ki ishtihaa har shai suun rah uu paas vahaan lag nahaar chal avval khudi ke ghar kuun ai 'daaud' toD saT mai-khaana-e-visaal mein tab sidh-bisaar chal"
M
Mirza Daood Beg
Quote
"jab pari-ru hijaab karte hain dil ke darpan kuun aab karte hain gardish-e-chashm kaa dikhaa yak daur ham kuun mast-e-sharaab karte hain aatish-e-ishq ki agan suun jalaa aashiqaan kuun kabaab karte hain taab dikhlaa jamaal-e-raushan kaa aarsi gharq-e-aab karte hain bait-e-abru pe til suun kaajal ke nuqta-e-intikhaab karte hain araq-e-gul-rukhaan ko dekh ushshaaq mail itr-e-gulaab karte hain dekh us ke hinaa kuun mardum-e-chashm khun-e-dil suun khizaab karte hain sun sukhan-daan tiri ghazal 'daaud' aafrin kar khitaab karte hain"
M
Mirza Daood Beg
Quote
"agar vo gul-badan mujh paas ho jaave to kyaa hove zamin-e-dil mein tukhm-e-ishq bo jaave to kyaa hove sanam tujh zulf ke zunnaar ke rishte mein aa zaahid apas ke subha-gardaani kuun kho jaave to kyaa hove pilaa jaam-e-sharaab-e-aish vo saaqi-e-bazm-aaraa ghubaar-e-gham kuun lauh-e-dil suun ho jaave to kyaa hove bayaan kartaa huun main tujh zulf-e-mushkin kaa sanam nis din khutan mein gar sukhan mere ki bu jaave to kyaa hove sadaa mashq-e-junun-e-ishq mein rahtaa hai saudaai agar 'daaud' ki yu zisht-khu jaave to kyaa hove"
M
Mirza Daood Beg
Quote
"khirqa-poshi mein khud-numaai hai haath bas kaasa-e-gadaai hai boriyaa bhi nahin use darkaar jis ke taiin shauq-e-be-riyaai hai gul sab hanste hain bazm-e-gulshan mein ishq-e-bulbul magar riyaai hai jald jaati hai aasmaan uupar aah meri 'ajab havaai hai sham'-e-minaa ke nuur suun saaqi mahfil-e-dil mein raushnaai hai har ghaDi dekhtaa hai darpan kuun shokh mein tarz-e-khud-numaai hai jab suun dekhaa huun us ki zulf-e-daraaz tab suun mujh fikr mein rasaai hai kaan u dekhaa hai khvaab mein makhmal tujh kaf-e-paa mein jo safaai hai kyuun na hue maah-e-nau misaal-e-aziz jis mane rasm-e-kam-numaai hai dast-e-gul-ru mein pahunchne 'daaud' kaaghaz-e-khat miraa hinaai hai"
M
Mirza Daood Beg
Quote
"dil kuun dildaar ke niyaaz kare tan kuun aaraam-o-sukh suun baaz kare hue tab raag-e-ishq suun aagaah rag-e-jaan jab ki taar-e-saaz kare is sukhan kaa ajab hai afsaana jo sune us kuun ahl-e-raaz kare said karne ke taiin kabutar-e-ishq taair-e-dil misaal-e-baaz kare harf-e-haq par agar hai dil saabit misl-e-mansur sar niyaaz kare aashiqaan kuun niyaaz hai laazim naaznin gar adaa suun naaz kare shoala-e-ishq us pe hue raushan shama saan dil kuun jo gudaaz kare pahunchne ilm kuun haqiqat ke sair az nuskha-e-majaaz kare koi us sarv-qad kuun jaa bolo dars dikhlaa ke sarfaraaz kare khol kar zulf-e-ambarin yak-baar rishta-e-shauq kuun daraaz kare jo paDhe tere sher kuun 'daaud' aakhirash dil kuun ishq-baaz kare"
M
Mirza Daood Beg
Quote
"nigaah-e-yaar suun haasil hai mujh kuun mai-noshi lab-e-khamosh ne bakhshaa hai us ke khaamoshi bajaa hai gar kare aashiq kuun ek daur mein mast hai jaam-e-chashm-e-sanam mein sharaab-e-be-hoshi kiyaa hai shokh ne bar mein qabaa-e-naafarmaan uduul kyuun na kare vaada-e-ham-aaghoshi sajan ke naavak-e-mizhgaan ke dil mein haibat rakh kiyaa hai main ne ye dariyaa mane zirah-poshi kiyaa nahin huun raqam khat main is sabab 'daaud' main naama-bar suun kahaa huun ki raaz hai goshi"
M
Mirza Daood Beg
Quote
"teri ankhiyaan ke tasavvur mein sadaa mastaana huun dekh kar zanjir tere zulf ki divaana huun gaah sair-e-bostaan kartaa huun gaahe sair-e-bazm gaah tere 'ishq mein bulbul huun gah parvaana huun gaah misl-e-barhaman huun ai sanam zunnaar-band haat mein zaahid ke gaahe subha-e-sad-daana huun kyaa huaa gar hai dil-e-sad-chaak meraa tira-bakht husn ki zinat huun tere surma huun gar shaana huun jab suun hai us aashnaa ki aashnaai kaa khayaal niin rahaa huun aap mein, main aap suun begaana huun gosh rakh meraa sukhan suntaa hai har ahl-e-sukhan jab suun main bahr-e-sukhan ki siip kaa durdaana huun hai azal suun jalva-pairaa dil mein hubb-e-murtazaa is sabab 'daaud' daaem dushman-e-but-khaana huun"
M
Mirza Daood Beg
Quote
"husn is sham'-ru kaa hai gul-rang kyuun na bulbul jale misaal-e-patang khatt-e-shab-rang us pari-ru kaa dekh aayaa hai aarsi par zang us ke naazuk badan mein hue nihaan pahne gar vo sanam qabaa-e-tang dekh majnun ne bas kahaa mujh kuun is qadar maarte hain tiflaan sang saaqiyaa jaam mai suun kar sarshaar mujh kuun darkaar niin hai naam-o-nang ghair gardish ke pahunchtaa nahin rizq shaahid us par hai aasiyaa kaa sang yak qadam raah-e-dost hai 'daaud' lekin afsos paa-e-bakht hai lang"
M
Mirza Daood Beg
Quote
"le daam-e-nigaah-e-yaar aayaa karne kuun mujhe shikaar aayaa kyuun aave na mujh badan suun khush baas mujh bar mein vo gul-izaar aayaa khat dekh tere rukh uupar aaghaaz aaina uupar ghubaar aayaa jis baaj thi dil kuun be-qaraari vo dil kaa mire qaraar aayaa zaahid ne apas kaa zohd taqvaa kuche mein tere bisaar aayaa niklaa hai raqib-e-gul-badan saat le gul ki panaah khaar aayaa mujh parda-e-dil pe saaz kar gham ho naala meraa sitaar aayaa shabnam nahin har sahar ai 'daaud' tujh gham suun gul-e-ashk-baar aayaa"
M
Mirza Daood Beg
Quote
"aaj badli hai havaa saaqi pilaa jaam-e-sharaab bars kaali vaada jaate hain baras kaale sahaab aarsi suun ab sharaab-e-naab khinchaa chaahiye niind suun uTh yaar ne dekhaa hai chashm-e-nim-khvaab saaf dil ho gar hai tujh kuun khvaahish-e-tark-e-havaa aab-e-aaina upar aataa nahin hargiz habaab surat-e-mahtaab ro zaahir hai mere ashk suun jalva-gar jiyun aab-e-dariyaa mein hai aks-e-maahtaab har kitaab-e-sohbat-e-rangin ke maani dekh kar fard-e-tanhaai ke mazmun kuun kiyaa huun intikhaab saahab-e-maani kiyaa hai haq mujhe roz-e-binaa postin jaama hai mere bar mane misl-e-kitaab khema-e-gul baagh mein barpaa hai ai 'daaud' aaj tan rahi hai dekh kyaa aavaaz-e-bulbul ki tanaab"
M
Mirza Daood Beg
Quote
"us shakar-lab kaa main khayaali huun is sabab shakkarin-maqaali huun jab suun teri bhuvaan ki bait kahaa tab suun main saani-e-hilaali huun dil nahin tujh khayaal suun khaali is sabab surat-e-khayaali huun kyuun nahin mujh shikast mein aavaaz kyaa magar kaasa-e-sifaali huun mujh mein izhaar-e-qaal niin hargiz bas-ki main aashiqaan mein haali huun tujh kaf-e-paa ki intizaari mein farsh hone kuun naqsh-e-qaali huun kaan hai is vaqt mein 'vali' 'daaud' jo kahun main sukhan kaa vaali huun"
M
Mirza Daood Beg
Quote
"darpan diyaa huun dil kaa main us dilrubaa ke haath darpan mein vo piyaa hai vo darpan piyaa ke haath us qibla-ru ki dekh ke mehraab-e-abr vaan saf baandh khul rahe hain mizha jiyun duaa ke haath har vaqt be-hijaab ho kyunkar kare nigaah hai ikhtiyaar chashm-e-piyaa kaa hayaa ke haath kis rang suun lage hai kaf-e-paa kuun shokh ki dil khuun ho rahaa hai hamaaraa hinaa ke haath gulgun qabaa na maar taghaaful ki tegh suun hai qatl aashiqaan kaa tiri yak adaa ke haath barjaa hai barg-e-gul suun kafan us kuun hue nasib jo kui huaa shahid vo gul-gun qabaa ke haath hai chaak chaak ghuncha-e-dil aaj aah suun jyuun chaak-e-pairahan kuun kiyaa gul sabaa ke haath kahte hain aashiqaan yu miraa haal dekh kar shaayad tuun dil diyaa hai kisi bevafaa ke haath darkaar niin hai mujh kuun kabutar ki qaasidi bhejaa huun gul-badan kuun main naama sabaa ke haath"
M
Mirza Daood Beg