SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byMohammad Aazam(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"kuchh gharaz ham ko nahin hai ki kahaan le jaae chal diye bas dil-e-divaana jahaan le jaae vo gali khuld se behtar hai bas itnaa sun kar koi vaaqif ho to ham ko bhi vahaan le jaae meri aavaaz hui jaati hai us ki aavaaz ab hai kyaa duur ki us tak ye fughaan le jaae mauj-e-sarkash ko khabar-daar kiyaa thaa ham ne us ko jaanaa thaa jahaan ju-e-ravaan le jaae gul nahin deinge kabhi bulbul-e-muhtaaj ko zar khvaah sarmaaya ye sab baad-e-khizaan le jaae ishq mein us ke bas ik jaan hai baaqi ye bhi dekhiye kab ghazab-e-ham-vatanaan le jaae meri baatein hi khush aati hain use jaise koi kar ke aatish nazar-andaaz dhuaan le jaae"
Mohammad AazamMohammad Aazam
Quote
"hone ko ab kyaa dekhiye kyaa kuchh hai aur kyaa kuchh nahin manzar abhi hai saamne vo bhi ki jab thaa kuchh nahin us ki hinaa par vaar de fil-faur dil ki saltanat pyaare kisi ke haath mein taa-der rahtaa kuchh nahin mat jaan dil ke saamne kaafi hai ik chehra tiraa aise andhere ke liye itnaa ujaalaa kuchh nahin kitne gharaunde ret ke maujein bahaa kar le gaiin har baar ik dil ke sivaa aise mein TuuTaa kuchh nahin surat ko maani ke taiin darkaar hai kuchh faasla jab tak thaa aage aankh ke main ne to dekhaa kuchh nahin"
Mohammad AazamMohammad Aazam
Quote
"ye nashsha-e-aagaahi khatarnaak hai sar mein TuuTe hain mire paanv isi raahguzar mein rim-jhim ke aqab-zaar mein baaraan hai abhi aag achchhaa hai na dekhe vo mire dida-e-tar mein sarmaaya-e-jaan yuun na uThaa saare hijaabaat tu aankh ke pardon ki badaulat hai nazar mein aansu thaa vo niklaa to gayaa toD ke har band khushbu thaa ki ghar chhoD ke bhi rahtaa hai ghar mein us baargah-e-naaz se ham se fuqaraa ko khairaat to milti hai vale kaasa-e-sar mein rahti hain mire saath vo aagaah nigaahein kuchh farq na thaa varna mire aib-o-hunar mein"
Mohammad AazamMohammad Aazam
Quote
"subuk mujh ko mohabbat mein ye kaj-uftaad kartaa hai jo main hargiz na kartaa vo miraa ham-zaad kartaa hai bikhar kar bhi usi ko DhunDhti hain har taraf aankhein jo mujh ko ik nigah mein ik se laa-taadaad kartaa hai hui hain shor-e-dil mein gharq taabirein sadaaon ki magar itni khabar hai koi kuchh irshaad kartaa hai qayaamat hai jo ab ye khuftagaan-e-khaak-e-dil jaagein koi is kohna viraane ko phir aabaad kartaa hai kahaa ho kuchh kabhi mujh se to ai chaaragaro jaanun main kyaa kah duun dil-e-bimaar kis ko yaad kartaa hai saraamad ishq hai paataa hai koi dil nasibon se phir apne vaaste maashuq khud ijaad kartaa hai buraa kahnaa mujhe us kaa vazifa hai to hone do vo khud ko yuun mire aaseb se aazaad kartaa hai"
Mohammad AazamMohammad Aazam
Quote
"talaf karegi kab tak aarzu ki jaan aarzu taDap rahi hai har taraf lahuluhaan aarzu phiraa ke dida-e-tapaan mein mom ke mujassame kahaan kahaan karegi diid kaa ziyaan aarzu zaraa saa haath kyaa lagaa habaab saa bikhar gayaa jise samajh rahi thi ek aasmaan aarzu tu chashm hi mein rah agar pasand hai kushaadgi ki dil hai tang aur is mein yak jahaan aarzu isi ke hain sabab se sab ye hijr ki saubatein kahaan se aa gai hamaare darmiyaan aarzu tu aaftaab hai main gul duaa tire sukun ki kisi ki shaan qahr hai kisi ki shaan aarzu ilaahi khair itne sin pe aandhiyon ki dosti abhi to siikh paai bhi nahin uDaan aarzu shajar hajar zamin aasmaan sab ko zoaf hai magar ye ik javaan ki rahi javaan aarzu"
Mohammad AazamMohammad Aazam
Quote
"mohabbat chaahti hai jis ko afsaana banaa denaa use kaafi nahin hotaa hai divaana banaa denaa par-e-gul se judaa ham ne na dekhaa barg-e-bulbul ko nazar mein aa gayaa surat ko be-maanaa banaa denaa huaa thaa dil jo khaali do ghaDi ko ham na samjhe the ki ho jaaegaa ye kaabe ko but-khaana banaa denaa kisi ne bhi na dekhaa iztiraab-e-tishnagi meraa agar dekhaa to bas shishe ko paimaana banaa denaa nahin ab chaahtaa ye vahshi-e-be-khaanumaan teraa ki aanaa aur khaak-e-paa se kaashaana banaa denaa kisi ik tegh-e-jauhar-daar ko faazil jilaa de kar use aasaan hai basti ko viraana banaa denaa ham apni jaan se dete tumhein sadqa mohabbat kaa magar tum ne to chaahaa is ko jurmaana banaa denaa"
Mohammad AazamMohammad Aazam
Quote
"kahtaa huun main ki ghair ne hargiz kahaa nahin tujh ko na ho qubul jo meri duaa nahin in paaniyon kisi ko Duboe na sharm-e-shauq main aab aab us ki taraf dekhtaa nahin sau rukh se chumtaa hai tiraa pairahan khayaal sab mein huun meri jaan ye mauj-e-havaa nahin hairaan khaDaa huun vasl-e-judaai ke darmiyaan main kis shumaar mein huun agar aaina nahin guzraa mire darun se tu hi ba-rang-e-umr ab jaane vo darun bhi meraa thaa yaa nahin chuTki mahak uThi hai ye kaisi umiid ki ab tak to dastaras mein vo band-e-qabaa nahin kaam-o-dahan ko bakhsh chukaa hai jo pahle niib ab shahd sher de bhi to koi mazaa nahin"
Mohammad AazamMohammad Aazam
Quote
"rakkhaa thaa jise dil mein vo ab hai bhi nahin bhi yunhi mire jiine kaa sabab hai bhi nahin bhi pahunchaa hai tire mahr se qutbain kaa mausam din thaa to nahin bhi thaa ye shab hai bhi nahin bhi fariyaad ne sikhi hai tiri vaz-e-tabassum is rukh se ki sharminda-e-lab hai bhi nahin bhi hairat-kada-e-dahr hai ik khvaab kaa aalam dekhaa jo is aalam mein ajab hai bhi nahin bhi mil jaae to katraaun jo kho jaae to DhunDun ye kaisi talab hai ki talab hai bhi nahin bhi ye hijr ki dozakh hi bhali jaisi hai sab hai is vasl ki jannat se ki sab hai bhi nahin bhi"
Mohammad AazamMohammad Aazam
Quote
"ik nashtar-e-nigaah hai is se ziyaada kyaa dam bhar ki aah aah hai is se ziyaada kyaa gardan se tauq-e-khauf-o-talab ko nikaal dekh phir koi baadshaah hai is se ziyaada kyaa taaqat agar hai paanv mein sahraa kaa khauf kyuun bas ik kushaada raah hai is se ziyaada kyaa vo to havaa thi band na muTThi mein ho saki ab ranj khvaah-makhvaah hai is se ziyaada kyaa baalon ko apne chhoD miri shaam-e-gham ko dekh phir dekh kuchh siyaah hai is se ziyaada kyaa har-chand aaj bhi hai vahi kasrat-e-umid haari hui sipaah hai is se ziyaada kyaa ik kankari uchhaal ke toDo tilism-e-taab paani mein aks-e-maah hai is se ziyaada kyaa hain kaamyaab jin kaa yahaan ji nahin lagaa duniyaa ki dars-gaah hai is se ziyaada kyaa ghaTtaa hi jaaegaa ye lataafat ke saath saath ye jism zaad-e-raah hai is se ziyaada kyaa khun-e-jigar se she’r likho aur maa-hasal dam bhar ki vaah-vaah hai is se ziyaada kyaa"
Mohammad AazamMohammad Aazam
Quote
"kamaan saunp ke dushman ko apne lashkar ki kahaa ki fath-o-zafar baat hai muqaddar ki bulaavaa laai havaa-e-bahisht phir ik baar tuyur jaanch karo apne apne shahpar ki chalo rakh aaein vahaan ham bhi apne sar kaa gulaab sunaa hai bahuton ne us ki gali moattar ki pata chalaa ki vahi hai nisaab se baahar mashaqqaton se jo main ne kitaab azbar ki ba-juz havaala-e-sad-zakhm-e-be-nishaan kyaa hai ik aarzu ki jo dil se nikaal baahar ki pare hai surat-e-khubaan talaash-e-maani se mile na aab bhi kholein girah jo gauhar ki hai muntazir pas-e-darvaaza-fanaa shaayad jo ek bose mein chhine takaan din bhar ki"
Mohammad AazamMohammad Aazam
Quote
"chaahnaa ye hai jo ham dil-zadagaan chaahte hain nafa matlub hai aisaa ki ziyaan chaahte hain lutf-e-yak-jura se aise mein banegaa kyaa kaam daur-e-avval mein to ham ratl-s-giraan chaahte hain chaahte hain jo vo hotaa nahin ham se be-uzr aur be-uzr jo hotaa hai kahaan chaahte hain kaavish-e-aql se khulte nahin dil ke uqde ye to vo gul hain jo khilte hain jahaan chaahte hain subh-e-kaazib hain siyah-dil ye sabihaan-e-savaad ham hi saada hain ki us vaqt azaan chaahte hain"
Mohammad AazamMohammad Aazam
Quote
"is be-khudi mein rukhsat khuddaari ho gai hai mushkil hui jo aasaan dushvaari ho gai hai ik daagh-e-dil pe bhi ab apnaa nahin tasarruf ye sab zamin goyaa sarkaari ho gai hai is bojh ki na puchho gaThri hai dil ye jis ko jitnaa kiyaa hai halkaa kuchh bhaari ho gai hai shikva nahin sitam kaa par ab ye dekhtaa huun tum ko sitamgari ki bimaari ho gai hai koi talab na hasrat kuchh shauq hai na aadat ab teri yaad meri laachaari ho gai hai lahje ki pairvi se taptaa hai 'mir' koi vo 'mir' khatm jis par fankaari ho gai hai"
Mohammad AazamMohammad Aazam
Quote
"ye zamin kyon mujhe bhaai mujhe maalum nahin kyon ghazal aur banaai mujhe maalum nahin khud-bakhud raah liye jaati hai us ki jaanib ab kahaan tak hai rasaai mujhe maalum nahin be-khayaali mein kisi saanp ki gardan pakDi yaa kisi ki hai kalaai mujhe maalum nahin be-khudi puchh rahi hai ki hai kis kaa ye sher sher detaa hai duhaai mujhe maalum nahin sard mausam mujhe kuchh aur bhi dahkaataa hai taapnaa aag paraai mujhe maalum nahin sim-o-zar khaam liye huun main zamin ki surat kaise hoti hai safaai mujhe maalum nahin main ne khud apne khayaalon mein gaDhaa us kaa jamaal yaa khudaa ki hai khudaai mujhe maalum nahin akhz kartaa huun main khud apni jaDon se paani dusri koi sinchaai mujhe maalum nahin gardish-e-charkh mein pasti-o-bulandi kaisi farq-e-shaahi-o-gadaai mujhe maalum nahin ishq mein kuudo agar shauq hai marne kaa bahut is se gahri koi khaai mujhe maalum nahin"
Mohammad AazamMohammad Aazam
Quote
"hansi mein Taal rahe ho tum us ke rone ko na dekhtaa ho vo hone se pahle hone ko salaam bhuuk ko un ki karo jinhon ne kabhi bachaae rakkhaa thaa thoDaa anaaj bone ko diye gae hain khazaane unhi ko ahd-ba-ahd rahaa thaa kuchh bhi nahin jin ke paas khone ko ghalat nahin ki lagaati hain paar maujein bhi jo jaanti hain faqat Dubne Dubone ko bikharnaa ye hai ki maayus lauT jaati hai jo raat aati hai mujh mein mujhe samone ko jo aaj dekho to baiThe hain nil-kanTh bane gae the ham bhi samundar kabhi bilone ko pata chalaa ki ye aankhein mili hain us ke liye shab-e-firaaq ke gul raat bhar pirone ko kuchh aansuon se hi nikle to nikle kaam koi vo daagh huun ki samundar bhi kam hain dhone ko"
Mohammad AazamMohammad Aazam
Quote
"ye balaa dil pe kab aai mujhe maalum nahin dard ab kaisaa hai bhaai mujhe maalum nahin apne jalne kaa hamesha se tamaashaai huun aag ye kis ne lagaai mujhe maalum nahin haalat-e-hijr mein huun ye to khabar hai mujh ko par ye kis ki hai judaai mujhe maalum nahin haan bahut duur bahut duur vo rahtaa hai kahin kaise detaa hai dikhaai mujhe maalum nahin jism se mere ab us ki hi mahak aati hai kab vo yuun mujh mein samaai mujhe maalum nahin aati jaati hai vo ab saans ki surat mujh mein kab gai aur kab aai mujhe maalum nahin main to kah aaya khamoshi ki zabaan se sab kuchh kyaa diyaa us ko sunaai mujhe maalum nahin muddat-e-qaid kaa ikhfaa hai yahaan kaa dastur yaani kab hogi rihaai mujhe maalum nahin"
Mohammad AazamMohammad Aazam
Quote
"khafaa ho kar khayaalon mein bhi aanaa chhoD dete hain kisi ko yaar is darja bhi tanhaa chhoD dete hain samajhte hi nahin hain log naa-samjhi ki mushkil ko suhulat dekhte hain aur samajhnaa chhoD dete hain ye ham bhi jaante hain mulk-giri shauq hai be-jaa magar ham jiit kar fauran ilaaqa chhoD dete hain tire do ghunT pi kar tishnagi bhaDki to ye jaanaa vahi achchhe hain jo bilkul piyaasaa chhoD dete hain hamaare dil mein ab taaqat nahin sadme uThaane ki bahut bhaane lage jo us se milnaa chhoD dete hain guzarti hain jo fil-e-shab pe saj-dhaj kar tiri yaadein ham un par apne sag-haa-e-tamannaa chhoD dete hain hamaare munh pe us ne aaine se dhuup tak pheinki abhi tak ham samajh kar us ko bachcha chhoD dete hain tumhaaraa jaise ji chaahe koi anjaam likh lenaa chalo ham aaj ye qissa adhuraa chhoD dete hain hamesha jaan dete hain udhar maashuq duniyaa par idhar aashiq vahi duniyaa hamesha chhoD dete hain"
Mohammad AazamMohammad Aazam
Quote
"us se mil kar bhi khalish dil mein rahaa karti hai vasl ko hijr se kyaa chiiz judaa karti hai vo na maanegaa pa har shab koi mauhum si aas ik diyaa ban ke dar-e-dil pe jalaa karti hai auj-e-ausaan pe chaDh chaDh ke mohabbat ki sharaab jab utarti hai to kuchh aur nasha karti hai tujh mein kyaa baat hai ai dil ki vafaa-kesh ye aql meri baandi hai magar kaam tiraa karti hai naa-gahaan panja-e-qaatil se main kyaa chhuT gayaa us ki hasrat mire jiine ki duaa karti hai aasmaanon mein uDaa karte hain phule phule halke logon ke baDe kaam havaa karti hai"
Mohammad AazamMohammad Aazam
Quote
"shor-e-dil mein us taraf ki khaamushi se bach gai ik mohabbat phir kisi divaangi se bach gai vo gumaan us kaa ki hai khushiyon ki manzil koi aur ranj ye meraa ki vo apni khushi se bach gai jism-o-jaan ko raushan-o-sarshaar karti ik khanak main liye phirtaa huun jo us ki hansi se bach gai main ne jaanaa ab huaa har aag se khaali ye dil ik ye chingaari kahaan is phuljhaDi se bach gai nit-nae raste banaa letaa hai sailaab-e-balaa kaun si basti hai jo ghaarat-gari se bach gai din vo achchhaa jis mein ujyaale kaa mailaa-pan na ho raat vo achchhi jo kaali raushni se bach gai ik zamaane mein baDaa shohraa thaa meri 'aql kaa ab to bas vo hai jo zo’m-e-aagahi se bach gai she'r kyon kahte ho 'aazam' ye sukhan kis ke liye ab ghazal maqbul hai jo shaa'iri se bach gai"
Mohammad AazamMohammad Aazam
Quote
"jahaan darkaar thi kashti vahaan main ne bhanvar Daalaa mohabbat chaahiye thi us ko main ne 'ishq kar Daalaa udhar aankhon mein us ki ranj-o-maayusi ke aansu the main ye samjhaa kiyaa izhaar ne mere asar Daalaa khilaae phuul nok-e-khaar ne teri hatheli par ye kaisaa haath shaakh-e-gul pe tu ne be-khabar Daalaa khayaal aayaa mujhe miTTi ko jab sonaa banaane kaa to kar ke reza reza khaak mein sab apnaa zar Daalaa rahin aankhein na dil ab aur na sannaa’i magar dekho ki khaali ho ke main ne us ko kis khubi se bhar Daalaa lage duniyaa mein dil is ke liye vahshat zaruri thi banaa kar aadmi thoDaa saa is mein jaanvar Daalaa hayaa aai dubaara us ki jaanib dekhte 'aazam' ki pahli hi nazar ne us kaa pairaahan katar Daalaa"
Mohammad AazamMohammad Aazam
Quote
"nikhat gulon mein khuub hai farhat nahin rahi khushiyon ko kyaa huaa ki masarrat nahin rahi ye kah ke chheDtaa hai miraa dil dimaagh ko sunte hain tujh ko us se mohabbat nahin rahi ye faqr hai ki dard ki daulat gai hai aur ye dard bhi nahin ki vo daulat nahin rahi sach to ye hai ki mujh ko hi marne kaa shauq thaa haalat miri ye us ki badaulat nahin rahi chhoDe gae hain qaid se aazaad kab hue itnaa hi bas huaa ki hiraasat nahin rahi paDhtaa rahaa vo mujh ko miraa kar ke tarjuma kyaa jaantaa ki asl 'ibaarat nahin rahi ik 'arsa-e-sharaar thaa hasti kaa ye safar aisi to kuchh tavil masaafat nahin rahi"
Mohammad AazamMohammad Aazam
Quote
"ik shaghl shab-e-hijr ki zinat ki tarah hai baaqi jo taalluq hai vo tohmat ki tarah hai kyaa jaaniye kis lamha ye haathon se phisal jaae ik rishta jo naadaar ki ghairat ki tarah hai dekhun to sahi hoti hai kyaa vasl ki tausia ab hijr tiraa meri zarurat ki tarah hai ik sabz saa nuqta ye bataataa hai ki hai vo ab us se mulaaqaat alaamat ki tarah hai ik surat-e-mauhum ki zinda hai na murda dekho to zamaane mein qayaamat ki tarah hai lene ko hain angDaai ye khvaabida-o-paamaal jo sang yahaan hai vo imaarat ki tarah hai aagaah ki gulzaar hai ik aatish-e-namrud baaqi jo hai shaddaad ki jannat ki tarah hai hai sad-qalam-e-gul se chaman-zaar sahifa aur jumbish-e-gul-barg tilaavat ki tarah hai kam maarka-e-zist nahin jang-e-uhad se asbaab-e-jahaan maal-e-ghanimat ki tarah hai kyaa kahiye ki khud gharq rahe is mein gale tak kahte hue duniyaa ye najaasat ki tarah hai"
Mohammad AazamMohammad Aazam
Quote
"gudaaz tak hi kharaabi hunar sambhaalegaa ye khaak-e-sokhta kab kuza-gar sambhaalegaa khatar-pazir huun us be-dili mein girya bhej ye zalzala hi mire baam-o-dar sambhaalegaa tu hi to ik sadaf-e-dil ki aabru hai magar ye aab kitne dinon tak guhar sambhaalegaa ye dekhnaa hai ki tufaan-e-regzaar mein tu zamaam-e-samt ki zaad-e-safar sambhaalegaa giraani-e-shab-e-khaamosh-e-be-hisaab ke baad hisaab jitnaa hai murgh-e-sahar sambhaalegaa milaao ishq mein kuchh ranj-e-rozgaar se aab bahut na baada-e-khaalis jigar sambhaalegaa"
Mohammad AazamMohammad Aazam
Quote
"agar na maanein na samho ki jaante hi nahin zidon ki baat bhi hai kuchh mughaalate hi nahin mutaalibaat-e-mohabbat hain main huun aur tum ho ajiib hai ye musallas ki zaaviye hi nahin mire junun ke bharose pe kah diyaa us ne ham aae aap ke ghar par to aap the hi nahin bayaaz-e-dil ki karein to karein kahaan islaah kitaabat aisi hui hai ki haashiye hi nahin isi muhit mein vaapas palaT ke aanaa thaa to ban ke abr kabhi jaa se ham uThe hi nahin ujaaD ho gayaa sahraa-e-dil ki jaise yahaan ghazaal o zaigham o kargas kabhi rahe hi nahin ab is maqaam pe bim-o-rajaa hain be-maani ki chaahte hain use jis ko chaahte hi nahin yahi hai raasta ab duriyaan baDhaaeinge baDhin ham us ki taraf kaise faasle hi nahin koi fareb ki ham jis se dil ko bahlaaein talaash karte hain khat us ne jo likhe hi nahin"
Mohammad AazamMohammad Aazam