Quote
"ab main ash'aar ke pairaae mein Dhal jaaungaa varna is raushni-e-tab’ se jal jaaungaa bakhshiye mujh ko ye pagDanDi ghanimat hai mujhe shaah-raahon pe chalungaa to kuchal jaaungaa apne saae se tasaadum na kahin ho jaae soch rakkhaa hai ki paTri hi badal jaaungaa meri khvaahish ko to khurshid bhi paasang nahin ye na samjho ki sitaaron se bahal jaaungaa ai 'muzaffar' mire ahbaab ko khush-fahmi hai jaise main un ke sanbhaale se sanbhal jaaungaa"







