Shayari
saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye
haath se kho na baiThnaa us ko
itni khuddaariyaan nahin achchhi
ہاتھ سے کھو نہ بیٹھنا اس کو
اتنی خودداریاں نہیں اچھی
हाथ से खो न बैठना उस को
इतनी ख़ुद्दारियाँ नहीं अच्छी

saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye
ijaazat ho to main tasdiq kar luun teri zulfon se
sunaa hai zindagi ik khub-surat daam hai saaqi
savaal kar ke main khud hi bahut pashemaan huun
javaab de ke mujhe aur sharmsaar na kar
marne vaale to khair hain bebas
jiine vaale kamaal karte hain
mai-kada hai yahaan sukun se baiTh
koi aafat idhar nahin aati
ai gham-e-zindagi na ho naaraaz
mujh ko aadat hai muskuraane ki
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
use kaho ki akaarat gayaa hai samjhaanaa
use kaho ki taDaptaa hai dil khamoshi se
mushkilon mein muskuraanaa sikhiye
phuul banjar mein ugaanaa sikhiye
yaqin un ke vaade pe laanaa paDegaa
ye dhokaa to daanista khaanaa paDegaa
apni vahshat se hai shikva dusre se kyaa gila
ham se jab baiThaa na jaae ku-e-jaanaan kyaa kare