Shayari
jab aai saaat-e-be-taab teri be-libaasi ki
to aaine mein jitne zaaviye the rah gae jal kar
gham-e-hayaat o gham-e-dost ki kashaakash mein
ham aise log to ranj-o-malaal se bhi gae
غم حیات و غم دوست کی کشاکش میں
ہم ایسے لوگ تو رنج و ملال سے بھی گئے
ग़म-ए-हयात ओ ग़म-ए-दोस्त की कशाकश में
हम ऐसे लोग तो रंज-ओ-मलाल से भी गए

jab aai saaat-e-be-taab teri be-libaasi ki
to aaine mein jitne zaaviye the rah gae jal kar
narmi havaa ki mauj-e-tarab-khez abhi se hai
ai ham-safir aatish-e-gul tez abhi se hai
mubham se ek khvaab ki taabir kaa hai shauq
nindon mein baadalon kaa safar tez abhi se hai
un ko ai narm havaa khvaab-e-junun se na jagaa
raat mai-khaane ki aae hain guzaare hue log
jo baat dil mein thi us se nahin kahi ham ne
vafaa ke naam se vo bhi fareb khaa jaataa
aisi koi khabar to nahin saakinaan-e-shahr
dariyaa mohabbaton ke jo bahte the tham gae
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ye aansu ponchh lijiye aur muskuraaiye
chaara nahin hai koi bhi rukhsat kiye baghair
ham haal to kah sakte hain apnaa pa kahein kyaa
jab vo idhar aate hain to tanhaa nahin aate
main ne apni palkon par gham-kade sajaae hain
aarzu ke maatam mein sogvaar hasti hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin