Shayari
har ek aankh mein aansu har ek lab pe fughaan
ye ek shor-e-qayaamat saa ku-ba-ku kyaa hai
jinhein taarikh bhi likhte Daregi
vo hangaame yahaan hone lage hain
جنہیں تاریخ بھی لکھتے ڈرے گی
وہ ہنگامے یہاں ہونے لگے ہیں
जिन्हें तारीख़ भी लिखते डरेगी
वो हंगामे यहाँ होने लगे हैं

har ek aankh mein aansu har ek lab pe fughaan
ye ek shor-e-qayaamat saa ku-ba-ku kyaa hai
hamin pe khatm hain jaur-o-sitam zamaane ke
hamaare baad use kis ki aarzu hogi
kitaabon se na daanish ki faraavaani se aayaa hai
saliqa zindagi kaa dil ki naadaani se aayaa hai
ab kisi aur kaa tum zikr na karnaa mujh se
varna ik khvaab jo aankhon mein hai mar jaaegaa
bahut si baatein zabaan se kahi nahin jaatin
savaal kar ke use dekhnaa zaruri hai
'umr-bhar 'ahd-e-ta'alluq ke nigah-daar rahe
apne baare mein koi khvaab na dekhaa ham ne
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
hijr mein kaif-e-iztiraab na puchh
khun-e-dil bhi sharaab honaa thaa
hamaare sar pe pech-o-kham kaa ye saafa viraasat hai
ki tum pagDi samajhte ho jise ham taaj kahte hain
ham ne mai-khaana-e-mohabbat mein
bu-e-mai par bhi din guzaare hain
din ke hangaame jilaa dete hain mujh ko varna
subh se pahle kai martaba mar jaaataa huun