Shayari
aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
rindon ke haath se nahin TuuTi ye saaqiyaa
nashshe mein chuur ho gai botal sharaab ki
رندوں کے ہاتھ سے نہیں ٹوٹی یہ ساقیا
نشے میں چور ہو گئی بوتل شراب کی
रिंदों के हाथ से नहीं टूटी ये साक़िया
नश्शे में चूर हो गई बोतल शराब की

aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
pyaari surat vo haae kyaa hogi
jis ko be-dekhe pyaar aataa hai
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
mohabbat ek taraf se mazaa nahin deti
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
zindagi zor hai ravaani kaa
kyaa thamegaa bahaav paani kaa
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
aae kuchh abr kuchh sharaab aae
is ke baa'd aae jo azaab aae
tumhaari aankh mein kaifiyyat-e-khumaar to hai
sharaab kaa na sahi niind kaa asar hi sahi
badlaa huaa hai aaj mire aansuo kaa rang
kyaa dil ke zakhm kaa koi Taankaa udhaD gayaa