Shayari
ham bhi ai jaan-e-man itne to nahin naakaara
kabhi kuchh kaam tu ham ko bhi to farmaayaa kar
eid tu aa ke mire ji ko jalaave afsos
jis ke aane ki khushi ho vo na aave afsos
عید تو آ کے مرے جی کو جلاوے افسوس
جس کے آنے کی خوشی ہو وہ نہ آوے افسوس
ईद तू आ के मिरे जी को जलावे अफ़्सोस
जिस के आने की ख़ुशी हो वो न आवे अफ़्सोस

ham bhi ai jaan-e-man itne to nahin naakaara
kabhi kuchh kaam tu ham ko bhi to farmaayaa kar
jitnaa ki ye duniyaa mein hamein khvaar rakhe hai
itne to gunahgaar zamaane ke nahin ham
sach ishq mein hain aashiq o maashuq baraabar
jo mushkil-e-majnun hai so hai mushkil-e-lailaa
lailaa chali thi haj ke liye jazb-e-ishq se
naaqa machal ke najd ki manzil mein rah gayaa
apni to is chaman mein nit umr yunhi guzri
yaan aashiyaan banaayaa vaan aashiyaan banaayaa
pichhaa kisi tarah ye miraa chhoDtaa nahin
haathon se ishq ke koi jaave kahaan nikal
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne
nahin nahin main bahut khush rahaa huun tere baghair
yaqin kar ki ye haalat abhi abhi hui hai
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
phir is ke baa'd manaayaa na jashn khushbu kaa
lahu mein Duubi thi fasl-e-bahaar kyaa karte
vo abr ghiraa jhuum ke rahmat ke din aae
piine ke pilaane ke masarrat ke din aae