Shayari
'aurat ke khaal-o-khad pe bahut daad ho ki ye
mere khudaa kaa shohra-e-aafaaq she'r hai
kab vo paighaam-rasaa ho ki mujhe sabr nahin
kaakul-e-kham ke liye she'r raqam kartaa huun
کب وہ پیغام رسا ہو کہ مجھے صبر نہیں
کاکل خم کے لئے شعر رقم کرتا ہوں
कब वो पैग़ाम-रसा हो कि मुझे सब्र नहीं
काकुल-ए-ख़म के लिए शे'र रक़म करता हूँ

na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
zindagi zor hai ravaani kaa
kyaa thamegaa bahaav paani kaa
khudaa ke haath hai biknaa na biknaa mai kaa ai saaqi
baraabar masjid-e-jaame ke ham ne ab dukaan rakh di
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
aae kuchh abr kuchh sharaab aae
is ke baa'd aae jo azaab aae
jiite ji ham to gham-e-fardaa ki dhun mein mar gae
kuchh vahi achchhe hain jo vaaqif nahin anjaam se