Shayari
sayyaad teraa ghar mujhe jannat sahi magar
jannat se bhi sivaa mujhe raahat chaman mein thi
'riyaaz' tauba na TuuTe na mai-kada chhuTe
zabaan kaa paas rahe vaza kaa nibaah rahe
ریاضؔ توبہ نہ ٹوٹے نہ مے کدہ چھوٹے
زباں کا پاس رہے وضع کا نباہ رہے
'riyāz' tauba na TuuTe na mai-kada chhūTe
zabāñ kā paas rahe vaz.a kā nibāh rahe

sayyaad teraa ghar mujhe jannat sahi magar
jannat se bhi sivaa mujhe raahat chaman mein thi
ye sar-ba-mohr botalein hain jo sharaab ki
raatein hain un mein band hamaari shabaab ki
khudaa ke haath hai biknaa na biknaa mai kaa ai saaqi
baraabar masjid-e-jaame ke ham ne ab dukaan rakh di
aap aae to khayaal-e-dil-e-naashaad aayaa
aap ne yaad dilaayaa to mujhe yaad aayaa
baDe paak tinat baDe saaf baatin
'riyaaz' aap ko kuchh hamin jaante hain
ham jaante hain lutf-e-taqaazaa-e-mai-farosh
vo naqd mein kahaan jo mazaa hai udhaar mein
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
zindagi zor hai ravaani kaa
kyaa thamegaa bahaav paani kaa
aae kuchh abr kuchh sharaab aae
is ke baa'd aae jo azaab aae
'ghaalib' chhuTi sharaab par ab bhi kabhi kabhi
piitaa huun roz-e-abr o shab-e-maahtaab mein
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
kaun sukhe hue phulon ki taraf dekhtaa hai
zakhm thoDe se hare hon to numaaish karein ham