Shayari
zikr meraa aaegaa mahfil mein jab jab dosto
ro paDeinge yaad kar ke yaar sab yaari miri
mar-mar ke jiein kis liye bande tire maulaa
jiinaa bhi zaraa maut saa aasaan banaa de
مر مر کے جئیں کس لیے بندے ترے مولیٰ
جینا بھی ذرا موت سا آسان بنا دے
मर-मर के जिएँ किस लिए बंदे तिरे मौला
जीना भी ज़रा मौत सा आसान बना दे

zikr meraa aaegaa mahfil mein jab jab dosto
ro paDeinge yaad kar ke yaar sab yaari miri
vaqt har zakhm kaa marham to nahin ban saktaa
dard kuchh hote hain taa-umr rulaane vaale
bujh gai shama ki lau tere dupaTTe se to kyaa
apni muskaan se mahfil ko munavvar kar de
apni urdu to mohabbat ki zabaan thi pyaare
uff siyaasat ne use joD diyaa mazhab se
kyuun sadaa pahne vo teraa hi pasandida libaas
kuchh to mausam ke mutaabiq bhi sanvarnaa hai use
kitnaa sochaa thaa dil lagaaeinge
sochte sochte hayaat hui
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
tum jafaa par bhi to nahin qaaem
ham vafaa umr bhar karein kyun-kar
itvaar ko aanaa tiraa maalum ki ik umr
be-pir tire ham ne hi atvaar ko dekhaa
ik musalsal jang thi khud se ki ham zinda hain aaj
zindagi ham teraa haq yuun bhi adaa karte rahe