Shayari
ai shaikh apnaa jubba-e-aqdas sambhaaliye
mast aa rahe hain chaak garebaan kiye hue
piite hain jo sharaab masjid mein
aise logon ko paarsaa kahiye
پیتے ہیں جو شراب مسجد میں
ایسے لوگوں کو پارسا کہیے
पीते हैं जो शराब मस्जिद में
ऐसे लोगों को पारसा कहिए

ai shaikh apnaa jubba-e-aqdas sambhaaliye
mast aa rahe hain chaak garebaan kiye hue
maza dekhaa kisi ko ai pari-ru munh lagaane kaa
ab aaina bhi kahtaa hai ki main madd-e-muqaabil huun
phaaD kar khat us ne qaasid se kahaa
koi paighaam-e-zabaani aur hai
shaikh chal tu sharaab-khaane mein
main tujhe aadmi banaa dungaa
tum jaao raqibon kaa karo koi mudaavaa
ham aap bhugat leinge ki jo ham pe bani hai
aage mere na tikhi maar ai shaikh
raat kaa maajraa sunaa dungaa
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
kisi ke zakhm par chaahat se paTTi kaun baandhegaa
agar bahnein nahin hongi to raakhi kaun baandhegaa
sau fasaad ek ishq mein uTThe
boyaa ik tukhm uge hazaar darakht
mujh tak kab un ki bazm mein aataa thaa daur-e-jaam
saaqi ne kuchh milaa na diyaa ho sharaab mein
aae kuchh abr kuchh sharaab aae
is ke baa'd aae jo azaab aae
khudaa ke haath hai biknaa na biknaa mai kaa ai saaqi
baraabar masjid-e-jaame ke ham ne ab dukaan rakh di