Shayari
kisi ne jaan hi luTaa di vafaaon ki khaatir
tum hi bataao ki qissa ye kis kitaab kaa hai
pairon se baandh letaa huun pichhli masaafatein
tanhaa kisi safar pe nikaltaa nahin huun main
پیروں سے باندھ لیتا ہوں پچھلی مسافتیں
تنہا کسی سفر پہ نکلتا نہیں ہوں میں
पैरों से बाँध लेता हूँ पिछली मसाफ़तें
तन्हा किसी सफ़र पे निकलता नहीं हूँ मैं

kisi ne jaan hi luTaa di vafaaon ki khaatir
tum hi bataao ki qissa ye kis kitaab kaa hai
lambi hai bahut aaj ki shab jaagne vaalo
aur yaad mujhe koi kahaani bhi nahin hai
vo bhi na aayaa umr-e-guzishta ke misl hi
ham bhi khaDe rahe dar-o-divaar ki tarah
tiri duaaein bhi shaamil hain koshishon mein miri
musibaton kaa na Talnaa ajiib lagtaa hai
siyaah raat ke pahlu mein jism ke andar
kisi gunaah ki khvaahish ko paalte rahnaa
ham kisi aur vaqt ke hain asiir
subh ke shaam ke rahe hi nahin
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ghamon par muskuraa lete hain lekin muskuraa kar ham
khud apni hi nazar mein chor se maalum hote hain
tu chale saath to aahaT bhi na aae apni
darmiyaan ham bhi na hon yuun tujhe tanhaa chaahein
dauDti haanpti aai thi udaasi mujh tak
mere siine se lagi aur zaraa sustaai