Shayari
mehndi mire lahu ki mubaarak ho aap ko
rang-e-hinaa hai is mein aur bu-e-vafaa bhi hai
yuun rah jahaan mein ki pas-e-marg ai 'sabaa'
rah jaae zikr-e-khair har ik ki zabaan par
یوں رہ جہان میں کہ پس مرگ اے صباؔ
رہ جائے ذکر خیر ہر اک کی زبان پر
यूँ रह जहान में कि पस-ए-मर्ग ऐ 'सबा'
रह जाए ज़िक्र-ए-ख़ैर हर इक की ज़बान पर

mehndi mire lahu ki mubaarak ho aap ko
rang-e-hinaa hai is mein aur bu-e-vafaa bhi hai
ye bhi to ik dalil hai us ke vajud ki
jab tak na maaniye use dil maantaa nahin
zaahid sharaab piine de masjid mein baiTh kar
yaa vo jagah bataa de jahaan par khudaa na ho
na khudaa hi milaa na visaal-e-sanam na idhar ke hue na udhar ke hue
rahe dil mein hamaare ye ranj-o-alam na idhar ke hue na udhar ke hue
kabhi teraa dar kabhi dar-ba-dar kabhi 'arsh par kabhi farsh par
gham-e-'aashiqi tiraa shukriya main kahaan kahaan se guzar gayaa
mahfil mein chaar chaand lagaane ke baavajud
jab tak na aap aae ujaalaa na ho sakaa
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
us but ke nahaane se huaa saaf ye paani
moti bhi sadaf mein tah-e-dariyaa nazar aayaa
nashsha thaa zindagi kaa sharaabon se tez-tar
ham gir paDe to maut uThaa le gai hamein
maut aa jaae yaa vo aa jaaein
aaj qissa tamaam ho jaae
raahat ke vaaste hai mujhe aarzu-e-marg
ai 'zauq' gar jo chain na aayaa qazaa ke baad
saahibaan-e-qasr ko milti nahin hai baad-e-marg
gor mein sar ke tale takiya ki jaagaa ek khisht