Shayari
hami akele nahin zindagi se haare hue
bahut se log khaDe hain badan utaare hue
aansu hamaaraa us ki hatheli pe aa gayaa
shahzaada aaj apni haveli pe aa gayaa
آنسو ہمارا اس کی ہتھیلی پہ آ گیا
شہزادہ آج اپنی حویلی پہ آ گیا
आँसू हमारा उस की हथेली पे आ गया
शहज़ादा आज अपनी हवेली पे आ गया

hami akele nahin zindagi se haare hue
bahut se log khaDe hain badan utaare hue
mohabbat bojh ban kar hi bhale rahti ho kaandhon par
magar ye bojh haTtaa hai to kandhe Tuut jaate hain
sab log jo hairat se tujhe dekh rahe hain
sar teraa bahut chhoTaa hai dastaar baDi hai
mohabbaton ko kahin se madad nahin milti
ye jang aisi hai jis mein rasad nahin milti
tire baghair bhi kahti hai mujh se jiine ko
ye zindagi bhi sahi mashvara nahin deti
ehsaan kar rahaa hai tiraa hijr in dinon
main in dinon khudaa ke ziyaada qarib huun
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ai gham-e-zindagi na ho naaraaz
mujh ko aadat hai muskuraane ki
nazar bachaa ke jo aansu kiye the main ne paak
khabar na thi yahi dhabbe baneinge daaman ke
bataa khud ko bhalaa kaise sanvaarun
mujhe gham aainon mein dikh rahaa hai