SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byKaif Bhopali(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"salaam us par agar aisaa koi fankaar ho jaae siyaahi khuun ban jaae qalam talvaar ho jaae zamaane se kaho kuchh saaiqa-raftaar ho jaae hamaare saath chalne ke liye tayyaar ho jaae zamaane ko tamannaa hai tiraa didaar karne ki mujhe ye fikr hai mujh ko miraa didaar ho jaae vo zulfein saanp hain be-shak agar zanjir ban jaaein mohabbat zahr hai be-shak agar aazaar ho jaae mohabbat se tumhein sarkaar kahte hain vagarna ham nigaahein Daal dein jis par vahi sarkaar ho jaae"
Kaif BhopaliKaif Bhopali
Quote
"dar-o-divaar pe shaklein si banaane aai phir ye baarish meri tanhaai churaane aai zindagi baap ki maanind sazaa deti hai rahm-dil maan ki tarah maut bachaane aai aaj kal phir dil-e-barbaad ki baatein hain vahi ham to samjhe the ki kuchh aql Thikaane aai dil mein aahaT si hui ruuh mein dastak gunji kis ki khush-bu ye mujhe mere sirhaane aai main ne jab pahle-pahal apnaa vatan chhoDaa thaa duur tak mujh ko ik aavaaz bulaane aai teri maanind tiri yaad bhi zaalim nikli jab bhi aai hai miraa dil hi dukhaane aai"
Kaif BhopaliKaif Bhopali
Quote
"etakaaf mein zaahid munh chhupaae baiThaa hai ghaaliban zamaane se maat khaae baiThaa hai vaae-aashiq-e-naadaan kaaenaat ye teri ik shikasta shishe ko dil banaae baiThaa hai taalibaan-e-did un ke dhuup dhuup phirte hain ghair un ke kuche mein saae saae baiThaa hai is taraf bhi ai saahab iltifaat-e-yak-mizhgaan ik gharib mahfil mein sar jhukaae baiThaa hai dur-baash ai gulchin vaa hai dida-e-nargis aaj har gul-e-naazuk khaar khaae baiThaa hai kyuun sunaa nahin detaa faisla muqaddar kaa naama-bar mire aage khat chhupaae baiThaa hai subh ki havaa un se sirf itnaa kah denaa koi shama ki ab tak lau baDhaae baiThaa hai"
Kaif BhopaliKaif Bhopali
Quote
"daagh duniyaa ne diye zakhm zamaane se mile ham ko tohfe ye tumhein dost banaane se mile ham taraste hi taraste hi taraste hi rahe vo falaane se falaane se falaane se mile khud se mil jaate to chaahat kaa bharam rah jaataa kyaa mile aap jo logon ke milaane se mile maan ki aaghosh mein kal maut ki aaghosh mein aaj ham ko duniyaa mein ye do vaqt suhaane se mile kabhi likhvaane gae khat kabhi paDhvaane gae ham hasinon se isi hiile bahaane se mile ik nayaa zakhm milaa ek nai umr mili jab kisi shahr mein kuchh yaar puraane se mile ek ham hi nahin phirte hain liye qissa-e-gham un ke khaamosh labon par bhi fasaane se mile kaise maanein ki unhein bhuul gayaa tu ai 'kaif' un ke khat aaj hamein tere sirhaane se mile"
Kaif BhopaliKaif Bhopali
Quote
"jis pe tiri shamshir nahin hai us ki koi tauqir nahin hai us ne ye kah kar pher diyaa khat khuun se kyuun tahrir nahin hai zakhm-e-jigar mein jhaank ke dekho kyaa ye tumhaaraa tiir nahin hai zakhm lage hain khulne gulchin ye to tiri jaagir nahin hai shahr mein yaum-e-aman hai vaaiz aaj tiri taqrir nahin hai uudi ghaTaa to vaapas ho jaa aaj koi tadbir nahin hai shahr mohabbat kaa yuun ujDaa duur talak taamir nahin hai itni hayaa kyuun aaine se ye to miri tasvir nahin hai"
Kaif BhopaliKaif Bhopali
Quote
"teraa chehra subh kaa taaraa lagtaa hai subh kaa taaraa kitnaa pyaaraa lagtaa hai tum se mil kar imli miThi lagti hai tum se bichhaD kar shahad bhi khaaraa lagtaa hai raat hamaare saath tu jaagaa kartaa hai chaand bataa tu kaun hamaaraa lagtaa hai kis ko khabar ye kitni qayaamat Dhaataa hai ye laDkaa jo itnaa bechaara lagtaa hai titli chaman mein phuul se lipTi rahti hai phir bhi chaman mein phuul kanvaaraa lagtaa hai 'kaif' vo kal kaa 'kaif' kahaan hai aaj miyaan ye to koi vaqt kaa maaraa lagtaa hai"
Kaif BhopaliKaif Bhopali
Quote
"thoDaa saa aks chaand ke paikar mein Daal de tu aa ke jaan raat ke manzar mein Daal de jis din miri jabin kisi dahliz par jhuke us din khudaa shigaaf mire sar mein Daal de allaah tere saath hai mallaah ko na dekh ye TuuTi phuTi naav samundar mein Daal de aa tere maal o zar ko main taqdis bakhsh duun laa apnaa maal o zar miri Thokar mein Daal de bhaag aise rahnumaa se jo lagtaa hai khizr saa jaane ye kis jagah tujhe chakkar mein Daal de is se tire makaan kaa manzar hai bad-numaa chingaari mere phuus ke chhappar mein Daal de main ne panaah di tujhe baarish ki raat mein tu jaate jaate aag mire ghar mein Daal de ai 'kaif' jaagte tujhe pichhlaa pahar huaa ab laash jaise jism ko bistar mein Daal de"
Kaif BhopaliKaif Bhopali
Quote
"na aayaa maza shab ki tanhaaiyon mein sahar ho gai chand angDaaiyon mein na ranginiyon mein na raanaaiyon mein nazar ghir gai apni parchhaaiyon mein mujhe muskuraa muskuraa kar na dekho mire saath tum bhi ho rusvaaiyon mein ghazab ho gayaa un ki mahfil se aanaa ghiraa jaa rahaa huun tamaashaaiyon mein mohabbat hai yaa aaj tark-e-mohabbat zaraa mil to jaaein vo tanhaaiyon mein idhar aao tum ko nazar lag na jaae chhupaa luun tumhein dil ki gahraaiyon mein are sunne vaalo ye naghme nahin hain mire dil ki chikhein hain shahnaaiyon mein vo ai 'kaif' jis din se mere hue hain to saaraa zamaana hai shaidaaiyon mein"
Kaif BhopaliKaif Bhopali
Quote
"tan-e-tanhaa muqaabil ho rahaa huun main hazaaron se hasinon se raqibon se ghamon se gham-gusaaron se unhein main chhin kar laayaa huun kitne daavedaaron se shafaq se chaandni raaton se phulon se sitaaron se sune koi to ab bhi raushni aavaaz deti hai pahaaDon se guphaaon se bayaabaanon se ghaaron se hamaare daagh-e-dil zakhm-e-jigar kuchh milte-julte hain gulon se gul-rukhon se mah-vashon se maah-paaron se kabhi hotaa nahin mahsus vo yuun qatl karte hain nigaahon se kanakhiyon se adaaon se ishaaron se hamesha ek pyaasi ruuh ki aavaaz aati hai kuon se panghaTon se naddiyon se aabshaaron se na aae par na aae vo unhein kyaa kyaa khabar bheji lifaafon se khaton se dukh bhare parchon se taaron se zamaane mein kabhi bhi qismatein badlaa nahin kartin umidon se bharoson se dilaason se sahaaron se vo din bhi haae kyaa din the jab apnaa bhi taalluq thaa dashahre se divaali se basanton se bahaaron se kabhi patthar ke dil ai 'kaif' pighle hain na pighleinge munaajaaton se fariyaadon se chikhon se pukaaron se"
Kaif BhopaliKaif Bhopali
Quote
"ham un ko chhin kar laae hain kitne daavedaaron se shafaq se chaandni-raaton se phulon se sitaaron se hamaare zakhm-e-dil daagh-e-jigar kuchh milte-julte hain gulon se gul-rukhon se mahvashon se maah-paaron se zamaane mein kabhi bhi qismatein badlaa nahin kartin umidon se bharoson se dilaason se sahaaron se sune koi to ab bhi raushni aavaaz deti hai guphaaon se pahaaDon se bayaabaanon se ghaaron se baraabar ek pyaasi ruuh ki aavaaz aati hai kuon se pan-ghaTon se naddiyon se aabshaaron se kabhi patthar ke dil ai 'kaif' pighle hain na pighleinge munaajaaton se fariyaadon se chikhon se pukaaron se"
Kaif BhopaliKaif Bhopali
Quote
"ham ko divaana jaan ke kyaa kyaa zulm na Dhaayaa logon ne diin chhuDaayaa dharm chhuDaayaa des chhuDaayaa logon ne teri gali mein aa nikle the dosh hamaaraa itnaa thaa patthar maare tohmat baandhi aib lagaayaa logon ne teri laTon mein so lete the be-ghar aashiq be-ghar log buDhe bargad aaj tujhe bhi kaaT giraayaa logon ne nur-e-sahar ne nikhat-e-gul ne rang-e-shafaq ne kah di baat kitnaa kitnaa meri zabaan par qufl lagaayaa logon ne 'mir-taqi' ke rang kaa ghaaza ru-e-ghazal par aa na sakaa 'kaif' hamaare 'mir-taqi' kaa rang uDaayaa logon ne"
Kaif BhopaliKaif Bhopali
Quote
"allaah ye kis kaa maatam hai vo zulf jo bikhri jaati hai aankhein hai ki bhigi jaati hain duniyaa hai ki Duubi jaati hai kuchh biite dinon ki yaadein hain aur chaaron taraf tanhaai si mehmaan hain ki aae jaate hain mahfil hai ki ujDi jaati hai tadbir ke haathon kuchh na huaa taqdir ki mushkil hal na hui naakhun hain ki TuuTe jaate hain gutthi hai ki uljhi jaati hai kyaa koi mohabbat mein yuun bhi benaam-o-nishaan ho jaataa hai main huun ki abhi tak zinda huun duniyaa hai ki bhuli jaati hai"
Kaif BhopaliKaif Bhopali
Quote
"sirf itne jurm par hangaama hotaa jaae hai teraa divaana tiri galiyon mein dekhaa jaae hai aap kis kis ko bhalaa suuli chaDhaate jaaeinge ab to saaraa shahr hi mansur bantaa jaae hai dilbaron ke bhes mein phirte hain choron ke giroh jaagte rahiyo ki in raaton mein luuTaa jaae hai teraa mai-khaana hai yaa khairaat-khaana saaqiyaa is tarah miltaa hai baada jaise bakhshaa jaae hai mai-kasho aage baDho tishna-labo aage baDho apnaa haq maangaa nahin jaataa hai chhinaa jaae hai maut aai aur tasavvur aap kaa rukhsat huaa jaise manzil tak koi rah-rau ko pahunchaa jaae hai"
Kaif BhopaliKaif Bhopali