SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byObaidullah Aleem(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"kuchh to bataao shaair-e-bedaar kyaa huaa kis ki talaash hai tumhein aur kaun kho gayaa aankhon mein raushni bhi hai viraaniyaan bhi hain ik chaand saath saath hai ik chaand gah gayaa tum ham-safar hue to hui zindagi aziiz mujh mein to zindagi kaa koi hausla na thaa tum hi kaho ki ho bhi sakegaa miraa ilaaj agli mohabbaton ke mire zakhm-aashnaa jhaankaa hai main ne khalvat-e-jaan mein nigaar-e-jaan koi nahin hai koi nahin hai tire sivaa vo aur thaa koi jise dekhaa hai bazm mein gar mujh ko DhunDnaa hai miri khalvaton mein aa ai mere khvaab aa miri aankhon ko rang de ai meri raushni tu mujhe raastaa dikhaa ab aa bhi jaa ki subh se pahle hi bujh na jaaun ai mere aaftaab bahut tez hai havaa yaa-rab ataa ho zakhm koi sher-aafrin ik umr ho gai ki miraa dil nahin dukhaa vo daur aa gayaa hai ki ab saahibaan-e-dard jo khvaab dekhte hain vahi khvaab naa-rasaa daaman bane to rang huaa dastaras se duur mauj-e-havaa hue to hai khushbu gurez-paa likkhein bhi kyaa ki ab koi ahvaal-e-dil nahin chikhein bhi kyaa ki ab koi suntaa nahin sadaa aankhon mein kuchh nahin hai ba-juz khaak-e-rahguzar siine mein kuchh nahin hai ba-juz naala-o-navaa pahchaan lo hamein ki tumhaari sadaa hain ham sun lo ki phir na aaeinge ham se ghazal-saraa"
Obaidullah AleemObaidullah Aleem
Quote
"hanso to rang huun chehre kaa rovo to chashm-e-nam mein huun tum mujh ko mahsus karo to har mausam mein huun chaahaa thaa jise vo mil bhi gayaa par khvaab bhare hain aankhon mein ai mere lahu ki lahar bataa ab kaun se main aalam mein huun log mohabbat karne vaale dekheinge tasvir apni ek shuaa-e-aavaara huun aaina-e-shabnam mein huun us lamhe to gardish-e-khun ne meri ye mahsus kiyaa jaise sar pe zamin uThaae ik raqs-e-paiham mein huun yaar miraa zanjirein pahne aayaa hai baazaaron mein main ki tamaashaa dekhne vaale logon ke maatam mein huun jo likkhe vo khvaab mire ab aankhon aankhon zinda hain jo ab tak nahin likh paayaa main un khvaabon ke gham mein huun"
Obaidullah AleemObaidullah Aleem
Quote
"saahib-e-mehr-o-vafaa arz-o-samaa kyuun chup hai ham pe to vaqt ke pahre hain khudaa kyuun chup hai be-sabab gham mein sulagnaa miri aadat hi sahi saaz khaamosh hai kyuun shola-navaa kyuun chup hai phuul to sahm gae dast-e-karam se dam-e-subh gungunaati hui aavaara sabaa kyuun chup hai khatm hogaa na kabhi silsila-e-ahl-e-vafaa soch ai daavar-e-maqtal ye fazaa kyuun chup hai mujh pe taari hai rah-e-ishq ki aasuda thakan tujh pe kyaa guzri mire chaand bataa kyuun chup hai jaanne vaale to sab jaan gae honge 'alim' ek muddat se tiraa zehn-e-rasaa kyuun chup hai"
Obaidullah AleemObaidullah Aleem
Quote
"chehra huaa main aur miri tasvir hue sab main lafz huaa mujh mein hi zanjir hue sab buniyaad bhi meri dar-o-divaar bhi mere taamir huaa main ki ye taamir hue sab vaise hi likhoge to miraa naam bhi hogaa jo lafz likhe vo miri jaagir hue sab marte hain magar maut se pahle nahin marte ye vaaqia aisaa hai ki dil-gir hue sab vo ahl-e-qalam saaya-e-rahmat ki tarah the ham itne ghaTe apni hi taazir hue sab us lafz ki maanind jo khultaa hi chalaa jaae ye zaat-o-zamaan mujh se hi tahrir hue sab itnaa sukhan-e-'mir' nahin sahl khudaa khair naqqaad bhi ab mo'taqid-e-'mir' hue sab"
Obaidullah AleemObaidullah Aleem
Quote
"ye aur baat ki is ahd ki nazar mein huun abhi main kyaa ki abhi manzil-e-safar mein huun abhi nazar nahin aisi ki duur tak dekhun abhi khabar nahin mujh ko ki kis asar mein huun pighal rahe hain jahaan log shoala-e-jaan se sharik main bhi isi mahfil-e-hunar mein huun jo chaahe sajda guzaare jo chaahe Thukraa de paDaa huaa main zamaane ki rahguzar mein huun jo saaya ho to Darun aur dhuup ho to jalun ki ek nakhl-e-numu khaak-e-nauha-gar mein huun kiran kiran kabhi khurshid ban ke niklungaa abhi charaagh ki surat mein apne ghar mein huun bichhaD gai hai vo khushbu ujaD gayaa hai vo rang bas ab to khvaab saa kuchh apni chashm-e-tar mein huun"
Obaidullah AleemObaidullah Aleem
Quote
"paa-ba-zanjir sahi zamzama-khvaan hain ham log mahfil-e-vaqt tiri ruh-e-ravaan hain ham log dosh par baar-e-shab-e-gham liye gul ki maanind kaun samjhe ki mohabbat ki zabaan hain ham log khuub paayaa hai sila teri parastaari kaa dekh ai subh-e-tarab aaj kahaan hain ham log ik mataa-e-dil-o-jaan paas thi so haar chuke haae ye vaqt ki ab khud pe garaan hain ham log nikhat-e-gul ki tarah naaz se chalne vaalo ham bhi kahte the ki aasuda-e-jaan hain ham log koi batlaae ki kaise ye khabar aam karein DhunDti hai jise duniyaa vo nishaan hain ham log qismat-e-shab-zadagaan jaag hi jaaegi 'alim' jaras-e-qaafila-e-khush-khabraan hain ham log"
Obaidullah AleemObaidullah Aleem
Quote
"aao tum hi karo masihaai ab bahalti nahin hai tanhaai tum gae the to saath le jaate ab ye kis kaam ki hai binaai ham ki the lazzat-e-hayaat mein gum jaan se ik mauj-e-tishnagi aai ham-safar khush na ho mohabbat se jaane ham kis ke hon tamannaai koi divaana kahtaa jaataa thaa zindagi ye nahin mire bhaai avval-e-ishq mein khabar bhi na thi izzatein bakhshti hai rusvaai kaise paao mujhe jo tum dekho sath-e-saahil se meri gahraai jin mein ham khel kar javaan hue vahi galiyaan huiin tamaashaai"
Obaidullah AleemObaidullah Aleem
Quote
"niind aankhon se uDi phuul se khushbu ki tarah ji bahal jaaegaa shab se tire gesu ki tarah dosto jashn manaao ki bahaar aai hai phuul girte hain har ik shaakh se aansu ki tarah meri aashuftagi-e-shauq mein ik husn bhi hai tere aariz pe machalte hue gesu ki tarah ab tire hijr mein lazzat na tire vasl mein lutf in dinon ziist hai Thahre hue aansu ki tarah zindagi ki yahi qimat hai ki arzaan ho jaao naghma-e-dard liye mauja-e-khushbu ki tarah kis ko maalum nahin kaun thaa vo shakhs 'alim' jis ki khaatir rahe aavaara ham aahu ki tarah"
Obaidullah AleemObaidullah Aleem
Quote
"viraan saraae kaa diyaa hai jo kaun-o-makaan mein jal rahaa hai ye kaisi bichhaDne ki sazaa hai aaine mein chehra rakh gayaa hai khurshid misaal shakhs kal shaam miTTi ke supurd kar diyaa hai tum mar gae hausla tumhaaraa zinda huun ye meraa hausla hai andar bhi zamin ke raushni ho miTTi mein charaagh rakh diyaa hai main kaun saa khvaab dekhtaa huun ye kaun se mulk ki fazaa hai vo kaun saa haath hai ki jis ne mujh aag ko khaak se likhaa hai rakkhaa thaa khalaa mein paanv main ne raste mein sitaara aa gayaa hai shaayad ki khudaa mein aur mujh mein ik jast kaa aur faasla hai gardish mein hain kitni kaaenaatein bachcha miraa paanv chal rahaa hai"
Obaidullah AleemObaidullah Aleem
Quote
"ek main bhi huun kulah-daaron ke biich 'mir' saahab ke parastaaron ke biich raushni aadhi idhar aadhi udhar ik diyaa rakkhaa hai divaaron ke biich main akeli aankh thaa kyaa dekhtaa aaina-khaane the nazzaaron ke biich hai yaqin mujh ko ki sayyaare pe huun aadmi rahte hain sayyaaron ke biich khaa gayaa insaan ko aashob-e-maaash aa gae hain shahr baazaaron ke biich main faqir ibn-e-faqir ibn-e-faqir aur askandar huun sardaaron ke biich apni viraani ke gauhar roltaa raqs mein huun aur baazaaron ke biich koi us kaafir ko us lamhe sune guftugu kartaa hai jab yaaron ke biich ahl-e-dil ke darmiyaan the 'mir' tum ab sukhan hai shoabada-kaaron ke biich aankh vaale ko nazar aae 'alim' ik mohammad-mustafaa saaron ke biich"
Obaidullah AleemObaidullah Aleem
Quote
"vo raat be-panaah thi aur main gharib thaa vo jis ne ye charaagh jalaayaa ajiib thaa vo raushni ki aankh uThaai nahin gai kal mujh se meraa chaand bahut hi qarib thaa dekhaa mujhe to taba ravaan ho gai miri vo muskuraa diyaa to main shaaer adiib thaa rakhtaa na kyuun main ruuh o badan us ke saamne vo yuun bhi thaa tabib vo yuun bhi tabib thaa har silsila thaa us kaa khudaa se milaa huaa chup ho ki lab-kushaa ho balaa kaa khatib thaa mauj-e-nashaat o sail-e-gham-e-jaan the ek saath gulshan mein naghma-sanj ajab andalib thaa main bhi rahaa huun khalvat-e-jaanaan mein ek shaam ye khvaab hai yaa vaaqai main khush-nasib thaa harf-e-duaa o dast-e-sakhaavat ke baab mein khud meraa tajraba hai vo be-had najib thaa dekhaa hai us ko khalvat o jalvat mein baar-haa vo aadmi bahut hi ajib-o-gharib thaa likkho tamaam umar magar phir bhi tum 'alim' us ko dikhaa na paao vo aisaa habib thaa"
Obaidullah AleemObaidullah Aleem
Quote
"vo khvaab khvaab fazaa-e-tarab nahin aai ajiib hi thi vo shab phir vo shab nahin aai jo jism o jaan se chali jism o jaan talak pahunchi vo mauj-e-garmi-e-rukhsaar-o-lab nahin aai to phir charaagh the ham be-charaagh raaton ke palaT ke guzri hui raat jab nahin aai ajab the harf ki lazzat mein jalne vaale log ki khaak ho gae khu-e-adab nahin aai jo abr ban ke barasti hai ruh-e-viraan par bahut dinon se vo aavaaz-e-rab nahin aai sadaa lagaaein aur apnaa mazaaq uDvaaein ye ahl-e-dard pe uftaad kab nahin aai kiyaa hai apne hi qadmon ne paaemaal bahut ye ham mein kaj-kalhi be-sabab nahin aai"
Obaidullah AleemObaidullah Aleem
Quote
"mohabbaton ke ye dariyaa utar na jaaein kahin jo dil gulaab hain zakhmon se bhar na jaaein kahin abhi to vaa'da-o-paimaan hai aur ye haal apnaa visaal ho to khushi se hi mar na jaaein kahin ye rang chehre ke aur khvaab apni aankhon ke havaa chale koi aisi bikhar na jaaein kahin jhalak rahaa hai jin aankhon se ab vujud miraa ye aankhein haae ye aankhein mukar na jaaein kahin pukaarti hi na rah jaae ye zamin pyaasi barasne vaale ye baadal guzar na jaaein kahin nidhaal ahl-e-tarab hain ki ahl-e-gulshan ke bujhe bujhe se ye chehre sanvar na jaaein kahin fazaa-e-shahr 'aqidon ki dhund mein hai asiir nikal ke ghar se ab ahl-e-nazar na jaaein kahin"
Obaidullah AleemObaidullah Aleem
Quote
"ham ne khulne na diyaa be-sar-o-saamaani ko kahaan le jaaein magar shahr ki viraani ko sirf guftaar se zakhmon kaa rafu chaahte hain ye siyaasat hai to phir kyaa kahin naadaani ko koi taqsim nai kar ke chalaa jaataa hai jo bhi aataa hai mire ghar ki nigahbaani ko ab kahaan jaaun ki ghar mein bhi huun dushman apnaa aur baahar miraa dushman hai nigahbaani ko be-hisi vo hai ki kartaa nahin insaan mahsus apni hi ruuh mein aai hui tughyaani ko aaj bhi us ko faraaz aaj bhi aali hai vahi vahi sajda jo kare vaqt ki sultaani ko aaj yusuf pe agar vaqt ye laae ho to kyaa kal tumhin takht bhi doge isi zindaani ko subh khalne ki ho yaa shaam bikhar jaane ki ham ne khushbu hi kiyaa apni pareshaani ko vo bhi har-aan nayaa meri mohabbat bhi nai jalva-e-husn kashish hai miri hairaani ko kuza-e-harf mein laayaa huun tumhaari khaatir ruuh par utre hue ek ajab paani ko"
Obaidullah AleemObaidullah Aleem
Quote
"aisi tez havaa aur aisi raat nahin dekhi lekin ham ne maulaa jaisi zaat nahin dekhi us ki shaan-e-ajib kaa manzar dekhne vaalaa hai ik aisaa khurshid ki jis ne raat nahin dekhi bistar par maujud rahe aur sair-e-haft-aflaak aisi kisi par rahmat ki barsaat nahin dekhi us ki aal vahi jo us ke naqsh-e-qadam par sirf zaat ki ham ne aal-e-saadaat nahin dekhi ek shajar hai jis ki shaakhein phailti jaati hain kisi shajar mein ham ne aisi baat nahin dekhi ik dariyaa-e-rahmat hai jo bahtaa jaataa hai ye shaan-e-barkaat kisi ke saath nahin dekhi shaahon ki taarikh bhi ham ne dekhi hai lekin us ke dar ke gadaaon vaali baat nahin dekhi us ke naam pe maarein khaanaa ab e'zaaz hamaaraa aur kisi ki ye 'izzat auqaat nahin dekhi sadiyon ki is dhuup chhaanv mein koi hamein batlaae puuri hui kaun si us ki baat nahin dekhi ahl-e-zamin ne kaun saa ham par zulm nahin Dhaayaa kaun si nusrat ham ne us ke haath nahin dekhi"
Obaidullah AleemObaidullah Aleem
Quote
"sukhan mein sahl nahin jaan nikaal kar rakhnaa ye zindagi hai hamaari sambhaal kar rakhnaa khulaa ki ishq nahin hai kuchh aur is ke sivaa razaa-e-yaar jo ho apnaa haal kar rakhnaa usi kaa kaam hai farsh-e-zamin bichhaa denaa usi kaa kaam sitaare uchhaal kar rakhnaa usi kaa kaam hai is dukh-bhare zamaane mein mohabbaton se mujhe maalaa-maal kar rakhnaa bas ek kaifiyat-e-dil mein bolte rahnaa bas ek nashshe mein khud ko nihaal kar rakhnaa bas ek qaamat-e-zebaa ke khvaab mein rahnaa basaa ek shakhs ko hadd-e-misaal kar rakhnaa guzarnaa husn ki nazzaargi se pal-bhar ko phir us ko zaaiqa-e-laa-zavaal kar rakhnaa kisi ke bas mein nahin thaa kisi ke bas mein nahin bulandiyon ko sadaa paaemaal kar rakhnaa"
Obaidullah AleemObaidullah Aleem
Quote
"kucha-e-ishq se kuchh khvaab uThaa kar le aae the gadaa tohfa-e-naayaab uThaa kar le aae kaun si kashti mein baiThein tire bande maulaa ab jo duniyaa koi sailaab uThaa kar le aae haae vo log gae chaand se milne aur phir apne hi TuuTe hue khvaab uThaa kar le aae aisaa ziddi thaa miraa ishq na bahlaa phir bhi log sach-much kai mahtaab uThaa kar le aae sath-e-saahil na rahi jab koi qimat in ki ham khazaanon ko tah-e-aab uThaa kar le aae jab milaa husn bhi harjaai to us bazm se ham ishq-e-aavaara ko betaab uThaa kar le aae is ko kam-zarfi-e-rindaan-e-giraami kahiye nashe chhoD aae mai-e-naab uThaa kar le aae anjuman-saazi-e-arbaab-e-hunar kyaa kahiye un ko vo aur unhein ahbaab uThaa kar le aae ham vo shaair hamein likhne lage jab log to ham guftugu ke nae aadaab uThaa kar le aae khvaab mein lazzat-e-yak-khvaab hai duniyaa meri aur mire falsafi asbaab uThaa kar le aae"
Obaidullah AleemObaidullah Aleem